DARD & ASHQ

by BHONDU on September 30, 2007, 02:29:11 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 911 times)
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
Hai jagah abhi kafi dard,
Paimana bhar jane ke liye

Hai jagah aabhi kafi ashq
Tujhe aankho mein chupane ke liye

Hai pyaar aabhi kafi dard
Tujhe yaar banane ke liye

Hai wajah aabhi kafi ashq
Hujhe phir se bahane ke liye,

Hai nasha aabhi kafi dard
Nas nas mein bhar jaane ke liye

Unke liye taiyaar ho ashq,
Phir girker bikhar jaane ke liye

Hai dard bas kafi dard
Ye saans aakhri le jaane ke liye ......
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ASHQ....... by Gaurang in Shayri-E-Dard
Ashq.... by Gaurang in Shayri-E-Dard
ashq nahi behte..behta hai dard by keertika in Shayri-E-Dard
AshQ..AshQ..likhi...Kahaani...!!! by badnaam_shayar in Shayri-E-Dard
dard- e - ashq...K_A by khamosh_aawaaz in Miscellaneous Shayri
Pooja
Guest
«Reply #1 on: October 02, 2007, 02:13:28 PM »
wah wah wah kaya baat hai, bahoot khoob Dost Kavi ji!!! deewangi ko kitne simple words main kitani sadagi se bayan kiya hai....  bahoot khoob!!!
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #2 on: October 03, 2007, 08:38:25 AM »
Quote from: "Pooja"
wah wah wah kaya baat hai, bahoot khoob Dost Kavi ji!!! deewangi ko kitne simple words main kitani sadagi se bayan kiya hai....  bahoot khoob!!!


pooja ji aap bhool gayi hai yahan shayri ka jawab sirf shayri se diya jaata hai.. so kuch likhti to jada aacha lagta
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: October 03, 2007, 04:18:02 PM »
Koshish kar rahi hu ki Dard main na hi likha karu… shayad issi liye ajkal likh nahi pa rahi hu kuch bhi... magar apko kaise mana kar sakti hu.. ek koshish kar rahi hu .....shayad apko pasand ayye.....

Paimane ke bharne se bhi dard mit.ta nahi
Ashaq behte rahte hai, dard mit.ta nahi

Ajeeb hai payar, dil ke kareeb wo rahta hai
Jiska sath duniya main milta nahi

Kaya kaya wajah btaye is duniya ko
Ashaqo ka hanjoom kabhi rukta nahi

Hai nashe ka saroor jayada ya dard ka saroor
Khud hi samjho, Humse to ab yah antar hota nahi

Jaati hai zindagi to ab chali hi jaaye “Pooja”
Z Z kar marna, Mar mar kar zina ab humse hota nahi!!!!!
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #4 on: October 07, 2007, 12:11:55 PM »
bahut dino baad hum yahan aap se mulakaat hui aacha laga ..

her paimane ke ghoot mein wo dard cha jaata hai.
ashqo ki her boond mein wo dard yaad aata hai.

aajeeb hai sach mein pyaar, dil ki gehrai mein bas
pyaar kerne wale us dil jo maar jaata hai.

kya kya wajah bataye hum is duniya ko,
kaise samjhaye ashko mein khaar kaha se aata hai.

ek ghoot bhi mhay ki jaati nhi thi halak se
jaise kahega koi nasha kahan se chata hai.

rakhta nhi khud ke paas  koi bhi jalne ki cheez.
phir bhi wo ehsaas her pal zinda mujhe jalata hai.
Logged
Roja
Guest
«Reply #5 on: October 07, 2007, 01:53:35 PM »
Quote from: "BHONDU"
bahut dino baad hum yahan aap se mulakaat hui aacha laga ..

her paimane ke ghoot mein wo dard cha jaata hai.
ashqo ki her boond mein wo dard yaad aata hai.

aajeeb hai sach mein pyaar, dil ki gehrai mein bas
pyaar kerne wale us dil jo maar jaata hai.

kya kya wajah bataye hum is duniya ko,
kaise samjhaye ashko mein khaar kaha se aata hai.

ek ghoot bhi mhay ki jaati nhi thi halak se
jaise kahega koi nasha kahan se chata hai.

rakhta nhi khud ke paas  koi bhi jalne ki cheez.
phir bhi wo ehsaas her pal zinda mujhe jalata hai.



bahut khoob.....
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #6 on: October 07, 2007, 02:20:42 PM »
sukriya roja ji.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: October 08, 2007, 03:33:54 PM »
bahoot khoob dost kavi!!!

Dil ke ashaq ab dil mai rah jaate hai
Sisak kar kahin ander daffan ho jaate hai
Dil rahta hai udas udas her waqat ab
Aor hum khud hi khud ko samjh nahi paate hai

Rota dekh kisi ko jab rona atta hai
Tab kahin jakar samjh atta hai
Hum roye hai khud apne hi gum se
Ajj ki duniya main,
kaha kisi ko kisi ka gum samjh atta hai!!!!
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #8 on: October 24, 2007, 02:54:34 PM »
sukriya pooja ji...

dil jub se dard sehne laga hai.
ashq dil ke andar rehne laga hai...
sabse hui judai aur ashq tum behte rahe.
ab tum na juda hona dil kehne laga hai .
unki bewafai se ashq hue lal
kyn ki lahu bhi ashq ki tarah behne laga  hai

dil jub se dard sehne laga hai...
ashq dil ke andar rehne laga hai..
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:49:13 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer