dard bhari mulakaat......

by ranjana on August 17, 2006, 05:09:52 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2081 times)
ranjana
Guest
aao sunaau main tumhe apne dil ki baat
dard ki jheel bana hai dil aur aankho mein ashqo ke selaab

kahan se talaashe hum ishq -a- janun ko ab
jiski aankho mein jhaanko wahi hai ek tanhaai ki raat

ek barf si jami hai sabke jehan per ab jaise
fir bhi dil mein sulag rahi hai koi raaz ki baat

aao likh de hum fir se koi ek nayi ghazal a dost
ki fir se hui hai aaj meri unse ek dard bhari mulkaat
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Iss dard bhari zindagi main by Delicate_Doll in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Dard bhari Faryad by saif_Soz in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dard bhari pyaar hai from rahul agarwal by rahulbam4u in SMS , mobile & JOKES
Dard Bhari Kahaani,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
WO DARD BHARI RAAT by Meghna goel in Inspirational Stories and real life Incidences.
ranjana
Guest
«Reply #1 on: August 17, 2006, 05:17:32 AM »
ek muddat se aankh meri nahi soyi hai
kabhi kabhi meri halat per raat bhi bahut royi hai

dhoond rahi hun mein reit mein paani ke nishaan
meri zindagi thak ke kahi dard ki panhaa mein abhi soyi hai

dil mein sulag raha hai ek daba hua sa dard  koi
abhi dil mein daba hua jwalamukhi sa koi hai

ek saaya bahut der tak chalta raha mere saath saath
fir se dil mein unke aane ki  aahat ki umeed si jagi koi hai

aaiene mein abhi bhi dikhta hai aqs mujhe unka
andhero mein dubi hui meri hasti kahi ghum si hui hai

likhe maine apne lafaz bas unke liye hi sada
uski har baat mulakaat mere liye ek peheli si hui hai
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #2 on: August 17, 2006, 05:22:35 AM »

Too Good Ranju di.....
Bahut pyara likha hai... Both the Shayari are Marvellous....
=D> =D> =D>
[/b]
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #3 on: August 17, 2006, 05:33:26 AM »

Bahut dinn ho chaley tumsey miley hue
Apney dil ki baat tumsey karey hue...
Ek baar mujhsey mulakaat kar lo,
Dard ke siwa koi nayii baat kar do..

Har baar miltey ho tum aur
mujhey chodh jaatey hai...
Har baar tum mujhey aakar
kitnaa rulatey ho...
Aaj magar mujhpar pyaar ki barsaat kar do...

Har baar chubhta hai andhera
meri sooni aankhon mey,
Har baar dil machalta hai
yaad kar ke teri meethi baaton ko....
Yeh bhujhi raat meri aaj hasii raat kar do...

Ek baar mujhsey phir mulakaat kar lo..
Dard ke siwaa koii nayii baat kar do...

[/b]
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #4 on: August 17, 2006, 08:19:35 AM »
Ranju, Shikha

Bahut he achche! =D> =D> =D>

Aise he achcha likhte raho !

Rajbir
Logged
ranjana
Guest
«Reply #5 on: August 17, 2006, 09:14:31 AM »
wow Shikha too good ....bahut khoob .....

shukriya Rajbir.......... Usual Smile

aaj dekha unhe baad muddat ke maine
ek anjaan sa saaya jaise ajnabi pan ka thaa

kush na thaa woh mujhse bichar ke bhi
ek udasi ka naqab uski hansi mein bhi thaa

keh rahi thee uski aankhe raato ka fasaana
koi khawab un aankho ne bhi fir dekha na thaa

koi baadal thaa uski aankho mein bhi
tut ke aaj fir koi abar  mere dil per bhi barsa toh thaa
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #6 on: August 17, 2006, 09:18:28 AM »
amazing  words  Rajana  jee........  bahot  khoob.....  aap  likhte rahiye.........
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #7 on: August 17, 2006, 09:22:52 AM »
:razz:

Harr Manzil ke maud par tujhko main khada hai dekha......
Tujhe paane ki Tadap harr Anjaam ko kia aaj andekha......

Aa gaya woh dinn ki Manzil bhi poochti hai humse hamare ghar ka rasta......
De dete harr Nazm ko naam kisi aur ko agar yeh Dil tere liye na Tarasta.........!!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #8 on: August 18, 2006, 03:01:42 AM »
shukriya waheed .......good one gaurav .......

na jaane kis manzil ki mujhe talash thee
meri aankh nam aur udas thee

dil ke sehera mein kabhi khila thaa koi umeed ka phool
mere rajago ko kisi khawab ki talash thee

har rahe per dekha unko mud ke
meri rahao ko kisi  rahgujar ki talaash thee
Logged
ranjana
Guest
«Reply #9 on: August 19, 2006, 11:07:38 AM »
kaun is dil ko de ab sahara
band dil ke  darwaazo per kisi ki aahat nahi hai
raste sune ho gaye hain dil ki duniya ke
mere apne saaye bhi mujhse anjaan ho gaye hain!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #10 on: August 20, 2006, 03:35:13 AM »
Very Nice Ranjana...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: August 20, 2006, 07:29:55 AM »
Ranju bahoot hi kamal ka likha hai First two kavita apki to rula gai.....
good job shikha and BS JI!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: August 20, 2006, 07:32:01 AM »
Mile bichadne ke liye
kaya mulakaat thi
lub the chup
dil mai hajaar sawalaat thi

the ansoo uski bhi ankh main
kismat per apne heraan thi
na kaha kuch, aor chal diya wo
khamosh wo akhiri mulakaat thi......
Logged
ranjana
Guest
«Reply #13 on: August 20, 2006, 05:50:05 PM »
Quote from: "Pooja"
Mile bichadne ke liye
kaya mulakaat thi
lub the chup
dil mai hajaar sawalaat thi

the ansoo uski bhi ankh main
kismat per apne heraan thi
na kaha kuch, aor chal diya wo
khamosh wo akhiri mulakaat thi......


shukriya pooja .. too good dear.....


basi rehti hain bas unki koi tasveer in aankho mein
yeh khushbu mere kandhe per kiski bikhri hai

dil mein bhed chhipe hain na jaane kitne
aur yeh raat bhi aaj jaise kuch kehne ko nikali hai

reh gayi bas yaad mein ek hi baat ab toh
kya sach mein meri zindagi mein woh shaam usnke saath aakhri gujari hai
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #14 on: August 20, 2006, 06:02:50 PM »
very  nice  Ranjana..........  Pooja sis....  yeh dono  jodi  theek hai tongue3
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:34:04 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer