***Dard deke maafi maangte ho!***

by urs4evasomdev on December 22, 2005, 12:16:01 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 8
Print
Author  (Read 10450 times)
urs4evasomdev
Guest
Dard deke maafi maangna teri fitrat hai
Bin sochey samjhey maaf kar dena meri aadat!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dard deke kehte ho by urs4evasomdev in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 »
Humko Maafi de do ! by deepika_divya in Miscellaneous Shayri « 1 2 3 4 5 »
maafi chahata hoo.................. by sanjiv gaikwad in Other Languages
MAAFI MANGNA--माफ़ी मांगना..................bansi by BANSI DHAMEJA in Miscellaneous Shayri
-----/// Maangte kya hain /// ------ Hriday by ~Hriday~ in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Sairah
Guest
«Reply #1 on: December 22, 2005, 12:55:46 PM »
Very good yaar happy9
Logged
urs4evasomdev
Guest
«Reply #2 on: December 22, 2005, 01:02:23 PM »
Unhone maafi maangke hume paraya kar dia,
socha tha jisko apna usne hume pyaar se hi juda kar dia
jaane kab samjhega woh ke pyaar ki kashti mein,
dard tho woh bauhat deta hai......
lekin pyaar jab unse kar lia,
tho haq bhi unhi ka tho banta hai...
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #3 on: December 22, 2005, 05:13:30 PM »
very nice.......................... :oops:

pyar karnay ka koi saleeqa nahi hota!
wafa nibhanay ka koi tareeqa nahi hota!
pyar to woh hai jo ankhon say dil main utray!
ahsas dilaye pyar ka koi kisay, aisa nahi hota!
jo raz-e-dil kahna ho kabhi sanam say!
khat hi likha jay, yeh zaruri nahi hota!
Logged
urs4evasomdev
Guest
«Reply #4 on: December 23, 2005, 10:15:38 AM »
Pyaar karne ka saleeqa koi ise sikhay!
wafa nibhanay ka tareeqa koi ise bataye!
janwaar aur insaan mein farakh kya hai
ye bhi....... koi ise samjhaye!

Mohabbat ki kahani hum likhte hai,
Is duniyaan mein lakeere woh!
pyaar ka ehsaas woh dilata hai,
aur wafa nibhata hai woh!
Aye khuda! tujhse hai sab kuch sikha,
aakhir tujhse hai bada kaun gawah!
Logged
urs4evasomdev
Guest
«Reply #5 on: December 23, 2005, 03:32:15 PM »
ha ha ha!..........im sorry.......
badnaam_shayar..........
main mazaak kar rahi thi..........shahiri main bauhat mazaa aa raha hai.........thanx.........
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #6 on: December 23, 2005, 03:37:37 PM »
sorry kisliye bol rahi ho ye toh batao......................... tongue3

ishq karnay kay bhi kuch aa dab hotay hain
khule ankhoun main bhi kuch khuab hotay hain
har koi roo kay dekhai yeh zarore to nahi
khushk ankhoun main bhi selaab hotay hain...
Logged
urs4evasomdev
Guest
«Reply #7 on: December 23, 2005, 03:45:54 PM »
rona tho khushi ka bhi ek mukaam hota hai
hasna kabhi kabhi dukh ka bhi paegaam hota hai
khushi ya dukh jo bhi de hume Ae! khuda!
sab manzoor hai tujhse, aakhir
khuda ke yaha bhi khwaab hota hai!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #8 on: December 24, 2005, 11:38:04 AM »
Quote from: "urs4evasomdev"
rona tho khushi ka bhi ek mukaam hota hai
hasna kabhi kabhi dukh ka bhi paegaam hota hai
khushi ya dukh jo bhi de hume Ae! khuda!
sab manzoor hai tujhse, aakhir
khuda ke yaha bhi khwaab hota hai!



Hum toh kehte hain De de saare jahan k gam
Leke meri Khushian kar de unhe tu kam,
Arre jab likha hai kismat me rona toh kyun hasun mein,
Jab maar hee dala meri mahobbat ko toh kyun jeeon mein,
Leta hoon kabr mein apni mahobbat ki, k aye maut uthane use toh mujhe le jaaye.....................
Logged
urs4evasomdev
Guest
«Reply #9 on: December 24, 2005, 12:18:16 PM »
Quote from: "badnaam_shayar"
Quote from: "urs4evasomdev"
rona tho khushi ka bhi ek mukaam hota hai
hasna kabhi kabhi dukh ka bhi paegaam hota hai
khushi ya dukh jo bhi de hume Ae! khuda!
sab manzoor hai tujhse, aakhir
khuda ke yaha bhi khwaab hota hai!



Hum toh kehte hain De de saare jahan k gam
Leke meri Khushian kar de unhe tu kam,
Arre jab likha hai kismat me rona toh kyun hasun mein,
Jab maar hee dala meri mahobbat ko toh kyun jeeon mein,
Leta hoon kabr mein apni mahobbat ki, k aye maut uthane use toh mujhe le jaaye.....................

Inta dukh tujhe kis baat ka hai?
Pyaar ko pana, ye kiske haat ka hai?
Dia jo tujhe gam tho usi se hoja khush,
de de sabko isi baat ka dam,
ke tujhe hai nahi bichadne ka gam,

pyaar tho ab teri shareer main zinda hai,
khud ko maarke, usko bhi khalaas karta hai,
ab tho jiyu ya maru, ye dekhlegi duniyaan saari,
aye khuda! meri mohabbat ho jayegi sab pe bhaari....
Logged
urs4evasomdev
Guest
«Reply #10 on: December 24, 2005, 02:18:39 PM »
Insaan ne soch samajhke pyaar kab hai kia?
dilbar ke yaadon ko bhula kar kisne hai jia?
Asaan hota agar uske chahato ko mitana,
bhula kar har aashiq ji leta, apni zindagi ka fasana...
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #11 on: December 24, 2005, 04:00:30 PM »
Quote from: "urs4evasomdev"
Quote from: "badnaam_shayar"
Quote from: "urs4evasomdev"
rona tho khushi ka bhi ek mukaam hota hai
hasna kabhi kabhi dukh ka bhi paegaam hota hai
khushi ya dukh jo bhi de hume Ae! khuda!
sab manzoor hai tujhse, aakhir
khuda ke yaha bhi khwaab hota hai!



Hum toh kehte hain De de saare jahan k gam
Leke meri Khushian kar de unhe tu kam,
Arre jab likha hai kismat me rona toh kyun hasun mein,
Jab maar hee dala meri mahobbat ko toh kyun jeeon mein,
Leta hoon kabr mein apni mahobbat ki, k aye maut uthane use toh mujhe le jaaye.....................

Inta dukh tujhe kis baat ka hai?
Pyaar ko pana, ye kiske haat ka hai?
Dia jo tujhe gam tho usi se hoja khush,
de de sabko isi baat ka dam,
ke tujhe hai nahi bichadne ka gam,

pyaar tho ab teri shareer main zinda hai,
khud ko maarke, usko bhi khalaas karta hai,
ab tho jiyu ya maru, ye dekhlegi duniyaan saari,
aye khuda! meri mohabbat ho jayegi sab pe bhaari....


Bichadne ka gum nahi mujhe,
woh toh ab bhi hai mere saath,
jaise ab bhi hai uske haathoan me mera haath,

Gum toh is baat ka hai,
ki woh na ho saki meri,
dil jal uthata hai jab bhi dekhta hoon uske haathoan me or kisi ka haath,
yeh keh k ki Shayar toh hote hee Badnaam hai chor dia tha usne mera saath,
par uski mahobbat jinda hai  mere dil mein,mere jazbatoan me,meri shayari mein.......ab tum hee batao kaise chor sakta hoon me uska saath.......
Logged
urs4evasomdev
Guest
«Reply #12 on: December 24, 2005, 05:35:41 PM »
ye mere dil ke bauhat kareeb hai........

Gam tho tera saaf nazar ata hai,
Chupaoge kaise jab aankh bhar ata hai,
Dum hai tho sachi muskurahat chehre pe la,
Dil ke aaho ko ab aur na uspe luta,

Woh naazni fiza mein ud gaye,
Saath apne liye, parayon se jud gaye,
Kaabil na thi teri wafao ki woh,
Hoke kisi aur ki, jhumegi jo,

Kehti nahi main ke chor de tu uska saath,
Jaanti hu main, ye namumkin hai tere saath......
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #13 on: December 25, 2005, 03:49:39 AM »
Quote from: "urs4evasomdev"
ye mere dil ke bauhat kareeb hai........

Gam tho tera saaf nazar ata hai,
Chupaoge kaise jab aankh bhar ata hai,
Dum hai tho sachi muskurahat chehre pe la,
Dil ke aaho ko ab aur na uspe luta,
Woh naazni fiza mein ud gaye,
Saath apne liye, parayon se jud gaye,
Kaabil na thi teri wafao ki woh,
Hoke kisi aur ki, jhumegi jo,
Kehti nahi main ke chor de tu uska saath,
Jaanti hu main, ye namumkin hai tere saath......


Bahut din chupaya gam toh meine ankhein band karke,
par tu sahi kehta hai mere dost ab chupaon to chupaon kaise,
kaabil shayad hum hee nahi the unke,
shayad isiliye woh mujhe chor k chali gayi,
ab mein unke saath chootne ka gam bhulaon toh bhulaon kaise,
chehre pe muskurahat laon toh laon kaise............ sad5
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #14 on: December 25, 2005, 05:17:48 AM »
now thats for u minu........ye tumhare liye............... tongue3

sanveley zulfeyan bikhra anchal tumhara....
bijleyan ban kar lipat janay ko jee chatha hai..
tmhari ankheyen hain ye do theri jheleyan ...
janay q in main doube janay ko jee chatha hai...
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:02:42 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer