***Dard deke maafi maangte ho!***

by urs4evasomdev on December 22, 2005, 12:16:01 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8
Print
Author  (Read 10499 times)
Chorni
Guest
«Reply #45 on: January 06, 2006, 12:23:48 PM »
Quote from: "badnaam_shayar"
Ankhon men raha dil men utar kar naheen dekha,
kashti ke musafir ne samandar naheen dekha...
Pathar muJhe kehta hai mera chahne wala,
men moum hon uzne muJhe ch0okar naheen dekha...




Chooney se kashish khatm ho jati hai
mohabbat to insaan ke dil mein samati hai

pyaar to kisi ke dil se kiya jata hai jism se nahin
dil ki khoobsurti dil se dekhi jati hai aankhon se nahin
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dard deke kehte ho by urs4evasomdev in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 »
Humko Maafi de do ! by deepika_divya in Miscellaneous Shayri « 1 2 3 4 5 »
maafi chahata hoo.................. by sanjiv gaikwad in Other Languages
MAAFI MANGNA--माफ़ी मांगना..................bansi by BANSI DHAMEJA in Miscellaneous Shayri
-----/// Maangte kya hain /// ------ Hriday by ~Hriday~ in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
badnaam_shayar
Guest
«Reply #46 on: January 07, 2006, 05:12:28 AM »
bilkul sahi kaha aapne chorni ji................dil ki khoobsoorti dil se..........................aankhon se nahi.............wah wah........
Logged
anitha
Guest
«Reply #47 on: January 07, 2006, 09:16:48 AM »
kya baat hai BS and chorni ji...its too good....

welcome to yoindia...chorni ji

hai har dilko kahaan hai samaj, na thode dil uska kabhi
ki ladiyaan kitne naazuk hain, ki chote se chote ghum pe bhi bhikhar jaate

mitaaleinge apne aapko par na mitne deinge apne dilko
har dhum dua karte hain aabaad rahe woh jo chod gaya humko
Logged
Chorni
Guest
«Reply #48 on: January 07, 2006, 10:09:31 PM »
Quote from: "anitha"
kya baat hai BS and chorni ji...its too good....

welcome to yoindia...chorni ji

hai har dilko kahaan hai samaj, na thode dil uska kabhi
ki ladiyaan kitne naazuk hain, ki chote se chote ghum pe bhi bhikhar jaate

mitaaleinge apne aapko par na mitne deinge apne dilko
har dhum dua karte hain aabaad rahe woh jo chod gaya humko[/qu

Humari duaa khuda kab maanta hai
is judaai ka haal ye pagal dil hi jaanta hai

ye ishq ka gum lene ka hum ne khud gunaah kiya
humara hai ye dosh kioon hum ne ye dard-e-gum liya
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #49 on: January 08, 2006, 07:53:04 AM »
thnx anitha ji and gud ane u too.........and bahooot khoob chorni ji.......................
Logged
urs4evasomdev
Guest
«Reply #50 on: January 11, 2006, 09:52:02 AM »
wow gaurav..........
   aapne bauhat acha likha!!!!!!!!!
Logged
urs4evasomdev
Guest
«Reply #51 on: January 11, 2006, 11:50:38 AM »
Quote from: "badnaam_shayar"
Ankhon men raha dil men utar kar naheen dekha,
kashti ke musafir ne samandar naheen dekha...
Pathar muJhe kehta hai mera chahne wala,
men moum hon uzne muJhe ch0okar naheen dekha...


hum aapko humesha galat samjhate rahe,
pyaar ki gehraye pe dil band karte gaye,
aankhen bhi kahi dhoka kha jaati hai,
isliye humne aakhon par hi jaga bana liya,
socha tha aap dhoka samajhkar hume aakhon se hata denge,
par tere kambhaqt dil ne mujhe pehchaan liya,
aur is moum ko chukar hum bhi aapke saath jalte rahe.....!!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #52 on: January 11, 2006, 01:46:08 PM »
"kitaabon mein mere fasaane dhoondte hain
naadaan hain guzre zamaane dhoondte hain

jab woh the....!! talaash-e-zindagi bhi thi
ab to maut ke thikaane dhoondte hain..!!

kal khud hi apni mehfil se nikaala tha..!!
aaj hue se deewaane dhoondte hain...!!

musaafir be-khabar hain teri aankhon se
tere shahar mein maikhaane dhoondte hain

tujhe kya pataa ae sitam dhaane waale
hum to rone ke bahaane dhoondte hain...!!

unki aankhon ko youn dekho na
naye teer hain...!! nishaane dhoondte hain..!!


roshni..............!!!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #53 on: January 11, 2006, 07:38:20 PM »
very nice minu and roshni ji........................

Hamsafar gham jo muhabbat men diya hai tumne,
Yeh bhi mujh par bara ehsaan kia hai tumne,
Jab bhi takraai meray jism se yeh shokh hawa,
Mujh ko mehsoos hua yeh keh chUa hai tumne,
Aik muddat se issi din ki thi hasrat dil mei,
Aaj men khush hoon keh devaana kaha hai tumne,
Kya mere dil ke dharakne ki hi awaaz hai yeh,
Ya keh phir kaan men kuch aa ke kaha hai tumne,
Hichkiyaan bhee to bari kambakht nahi aati hain,
Jo yeh sochoon keh mujhe yaad kiya hai tumne.................
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #54 on: January 13, 2006, 08:52:34 AM »
Quote from: "roshni246"
"kitaabon mein mere fasaane dhoondte hain
naadaan hain guzre zamaane dhoondte hain

jab woh the....!! talaash-e-zindagi bhi thi
ab to maut ke thikaane dhoondte hain..!!

kal khud hi apni mehfil se nikaala tha..!!
aaj hue se deewaane dhoondte hain...!!

musaafir be-khabar hain teri aankhon se
tere shahar mein maikhaane dhoondte hain

tujhe kya pataa ae sitam dhaane waale
hum to rone ke bahaane dhoondte hain...!!

unki aankhon ko youn dekho na
naye teer hain...!! nishaane dhoondte hain..!!


roshni..............!!!!



Iss dil mein basa tha pyar tera
uus dilko kabhi ka tod diya

badnaam na hone denge tujhe aaur
Iss Gard-e-sheher mein humne..
tera naam hi lena chor diya.


Nirbhay......!!!
Logged
urs4evasomdev
Guest
«Reply #55 on: January 13, 2006, 12:07:59 PM »
yaadein tho aap chor gaye hai,
saath na raha yehi yaadein reh gaye hai,
socha tha jaante hai hum aapko,
par khata thi meri jo samjha na aapko!!!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #56 on: January 14, 2006, 09:48:23 PM »
nice urs ji...

dil ke kis kone me woh berukhi chupa rakhi ti unone ne,
dil lagane ke baad bhi humne yeh jana nahin,
aab tak intezaar me baithe hai hum unke,
bewafa hai woh, aaj tak humne yeh mana nahin!
Logged
urs4evasomdev
Guest
«Reply #57 on: January 15, 2006, 01:09:40 PM »
WOW! bauhat pasand aya!....meena ji.....keep writing......

kisi aur ki galti ki saza khud na bhukto,
naseeb uska kharab hai, yehi samajh lo.....

kisi aur ke pinjrey se khud ko mukt kar lo,
naseeb khushiyaan layega, yehi yakeen kar lo !!!!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #58 on: January 15, 2006, 05:32:16 PM »
thanx urs ji..apne bhi to kamal ka likha hai!

yakeen ka daman chod ka, naumeedo ka mahal banaya hai,
phoolon ko chod humne aab sirf kaanton ko hi apnaya hai,
aas ke deepak khud hi buja kar "Meena",
jeena  ke liye aab gum ka diya jalaya hai!

 :D
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #59 on: January 15, 2006, 06:13:50 PM »
very nice aall of u......................

Chala hoon maut ki raah par,
Jaanke k koi na dega ab mera saath,
Akela pad gaya tha jindagi ki raah mein,
Isliye ab pakad liya maut ka haath,
Do ghut khoon k pila de saaki.......aur nahi pee jaati mujhse ye zehereeli Sharaaab............
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 04:29:52 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.166 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer