***Dard deke maafi maangte ho!***

by urs4evasomdev on December 22, 2005, 12:16:01 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8
Print
Author  (Read 10564 times)
urs4evasomdev
Guest
«Reply #60 on: January 16, 2006, 12:47:17 PM »
Quote from: "badnaam_shayar"
very nice aall of u......................

Chala hoon maut ki raah par,
Jaanke k koi na dega ab mera saath,
Akela pad gaya tha jindagi ki raah mein,
Isliye ab pakad liya maut ka haath,
Do ghut khoon k pila de saaki.......aur nahi pee jaati mujhse ye zehereeli Sharaaab............

Maut ki raah pe tho saare chal baithey,
dikhawa jhutha, saare kar baithey.......

saath tera fir bhi hum de baithey,
dikhaya pyaar tujhe, ye khata kar baithey,

sharaab tho bas hume kahani sunaane lagey,
pi le saare ghuth inke, shayd tu sach keh baithey....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dard deke kehte ho by urs4evasomdev in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 »
Humko Maafi de do ! by deepika_divya in Miscellaneous Shayri « 1 2 3 4 5 »
maafi chahata hoo.................. by sanjiv gaikwad in Other Languages
MAAFI MANGNA--माफ़ी मांगना..................bansi by BANSI DHAMEJA in Miscellaneous Shayri
-----/// Maangte kya hain /// ------ Hriday by ~Hriday~ in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
urs4evasomdev
Guest
«Reply #61 on: January 16, 2006, 07:18:20 PM »
sochte sochte aap waqt gava baithey,
yaadon ki duniyaan mein kho gaye they....

jaante hai hum, aap nadan hai,
pyaar ki khubsurti se anjaan hai,

aankhon mein aansu layenge hum,
ab tho khud ko hi rulayenge hum,

is tara dil mein humaare aapko basayenge hum,
tu chahe na chahe, usi tara tujhe tadpayenge hum...
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #62 on: January 17, 2006, 04:27:54 AM »
Dard diya tha kabhi maine,
Ye maanta hooon mein,
Us dard mein tadpi thi tum,
Ye jaaanta  hoon mein,
Par woh dard tujhe paane k liye tha,
Ismein meri khata kya thi......shayad yahi k ab bhi jindaa hoon mein...
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #63 on: January 17, 2006, 10:15:58 AM »
wowwwwwwwwww exccellent mina ji and badnaamji
Logged
urs4evasomdev
Guest
«Reply #64 on: January 17, 2006, 10:19:19 AM »
Quote from: "badnaam_shayar"
Dard diya tha kabhi maine,
Ye maanta hooon mein,
Us dard mein tadpi thi tum,
Ye jaaanta  hoon mein,
Par woh dard tujhe paane k liye tha,
Ismein meri khata kya thi......shayad yahi k ab bhi jindaa hoon mein...

dard apne dete hai, jaanti hu main....
magar yu dhoka na dete hai, maanti hu main.....
Kehte ho ishq karte ho humse,yehi tho khata ho gayi,
paane ki chahat mein, had se gujar gaye,
ab ye sab baaton ka kya faida,
hum aapke ho nahi saktey, yehi hai is janam ka kaida!!!
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #65 on: January 17, 2006, 10:25:51 AM »
Quote from: "urs4evasomdev"
Quote from: "badnaam_shayar"
Dard diya tha kabhi maine,
Ye maanta hooon mein,
Us dard mein tadpi thi tum,
Ye jaaanta  hoon mein,
Par woh dard tujhe paane k liye tha,
Ismein meri khata kya thi......shayad yahi k ab bhi jindaa hoon mein...

dard apne dete hai, jaanti hu main....
magar yu dhoka na dete hai, maanti hu main.....
Kehte ho ishq karte ho humse,yehi tho khata ho gayi,
paane ki chahat mein, had se gujar gaye,
ab ye sab baaton ka kya faida,
hum aapke ho nahi saktey, yehi hai is janam ka kaida!!!



kerte hai humse kayde kaanoon ki bate......
bulaya jo humne to humse milne bhi na aa sake.....
kerte hai wo humse befai ki bate......
hum itne badnaseeb aapni sachai bhi na bata sake......
Logged
urs4evasomdev
Guest
«Reply #66 on: January 17, 2006, 10:30:56 AM »
badnaasebi tho humaari thi, jo aapse mil padey,
kayde tho humne tode, teri chahat ki yaadd main,
na bulao hume ab, aur dukh dene ki chahat mein,
karte rahe ho humse bewafai, yehi aakhir tere armaan hai .......
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #67 on: January 17, 2006, 10:37:26 AM »
Quote from: "urs4evasomdev"
badnaasebi tho humaari thi, jo aapse mil padey,
kayde tho [you]humne tode,[/you] teri chahat ki yaadd main,
na bulao hume ab, aur dukh dene ki chahat mein,
karte rahe ho humse bewafai, yehi aakhir tere armaan hai .......




tumne o de kayde kaha hum hi bewafai ka daman thame baithe hai ,.,...

tum kerte rahe hume maff hum aab tak tumhe dukh hi dete rehte hai .....

kiya jo humne uska gila hume bhi hai bahut magar kya kare.....

aab to tumse hume zukhmo ki ummed hi baki hai.,...........
Logged
urs4evasomdev
Guest
«Reply #68 on: January 17, 2006, 10:57:30 AM »
aakhir umeede tho hum lagaye baithey they,
dosti mein teri, hum jhuth ko sachae lagaye baithey they,

itna jo tadpaya hai, tho bhuktega bhi ab tu,
khushiyaan se dur, bhatkega ab tu,

zakhm tho hum bhi de baithenge,
ehsaan- faramosh hum bhi ban baithenge.........

maafi na maang aur ab humse,
dard saha na jaye, aur ab humse.....
Logged
urs4evasomdev
Guest
«Reply #69 on: January 19, 2006, 06:04:53 PM »
humne aaj duah kia hai,
kisi ke liye ji jaan se fariyaad kia hai,
woh humaare bhai se badkar ban gaye,
humaare khushi unse jud gaye,

ab denge uska saath,
bas yehi raha armaan,
unk liye duah karo dosto,
jisne humaare liye duah kia ho........
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #70 on: January 20, 2006, 03:43:24 AM »
Very nice minu.......................

Le jaonga tujhe,
In takdeer ki lakiron se ladke,
Chahunga tujhe ye Zameen aasmaa ek karke,
Lad jaonga us khudaa se bhi,
Kyunki ab bahut dekh liya us khuda ki Ibaadat karke...................
Logged
urs4evasomdev
Guest
«Reply #71 on: January 20, 2006, 03:10:28 PM »
yu na ladna takdeer se humaare liye,
ho na jaye woh gussa,
yu na ladiye zameen aasman ek kark,
ho na jaye woh khafa,
aakhir zindagi jo deta hai,
wahi tho leta hai,
humaari, uski aagey kaha chali hai............
Logged
phoenix
Guest
«Reply #72 on: January 20, 2006, 06:00:35 PM »
lakeeron se lad jao ye tumhari kismat nahi,
bana sakte ho tum ye lakeeren par meeta sakte nahi,
na samajhna ki dhoka diya hai laakeeron ne,
woh tum the jo ishaare na samajh paaye,
aur na khafa ho in lakeeron se "badnaam shaayar",
kahin ruswa na ho jao apno ki mehfil me tum
Logged
urs4evasomdev
Guest
«Reply #73 on: January 21, 2006, 08:59:23 PM »
bauhat acha likha phoenix.......
do keep writing.........

lakeeron se ladna humaare bas mein nahi,
inko apnana, humaari zid hai yehi,
ab tho haar maan gaye khuda se,
insaaniyat ki raah pe chal ke,

na karungi ab ek "uff" bhi in khuda k faislo se,
saare chot seh lenge, ye soch ke,
k jab upar jayenge usse puch lenge, yeh bol ke
ke is nainsaafi ka kya jawab hai uske paas,
na dia pyaar, bas dia nafrat, le jau ab hume apne saath........
Logged
urs4evasomdev
Guest
«Reply #74 on: January 22, 2006, 04:50:28 PM »
tujhse pyaar karne ka ji chata hai,
labo pe tere hasi laane ka ji chata hai,
phulo se teri zindagi sajane ko ji chata hai,

aaj na raha pyaar, na teri chahat,
tune ab yu bewafai ki,
ke ab tujhse bewfai karne ko ji chata hai.
ke ab teri har ek hasi ko mitane ka ji chata hai.......
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 02:33:59 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer