.*.*.*Dard hi Dard.*.*.*

by Style_guru on November 18, 2005, 02:46:50 PM
Pages: 1 ... 11 12 13 14 [15] 16 17 18 19 ... 36
Print
Author  (Read 34092 times)
tabassum shakeel
Guest
«Reply #210 on: June 02, 2006, 02:58:09 AM »
jo jaana hai to aae kyon jo aae ho na ab jaana
yahaan  ham hain kahaan hai ab tumhe jaana
ye is tarah se tera aana rula kar yun chale jana
ye to ik dushmani si hai nahi haai ye dostana
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dard by zindagi_kal_ho_na_ho in Shayri-E-Dard
dard dard ki had mein by husain52 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Dard ne itna dard diya by Ricky in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
ek dard yahan hai ek dard wahan hai by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dard Ko Dard Men Dekha by syednaami in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
Style_guru
Guest
«Reply #211 on: June 02, 2006, 03:22:02 PM »
The Style Guru Says........


Ye meri majboori thi jo mai aa na saka,
Ye khuda ki na manzoori thi ki main aa na saka,
Par ab ye teri sadayen hain jo mujhe le aayi hain,
Ye teri hi duayen hain jo mujhe le aayi hain.......
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #212 on: June 02, 2006, 03:38:27 PM »
sari sadaen tere liye thin saari doaaen tere liye
tu jo aaya khush me bahut hun dard kahin ab rota hai
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #213 on: June 02, 2006, 03:49:53 PM »
The Style Guru Says.......


Dard se yaari purani hai apni,
Ye dard hi to apna hum safar hai,
Ek teri hi chahat hume bachati hai is se,
Varna bahut hi gham-geen zindagi ki dagar hai.....
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #214 on: June 02, 2006, 03:53:36 PM »
dard ab kat bhi chuka hai bhool kyun jaate nahi
ya koi hai baat jo ham ko tum batlate nahi
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #215 on: June 02, 2006, 04:08:23 PM »
The Style Guru Says.......


Kaise bhool jayen ki tum kitne door ho,
Kaise bhool jayen ki tum bhi mazboor ho........
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #216 on: June 03, 2006, 03:09:25 AM »
main door kab hun tumse jab chaho azma lo
sirf aankh band karna ham samne hi honge
ya yun bhi karke dekho dil se sada do mujhko
ghanti yahan bajegi ham baat phir karenge
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #217 on: June 03, 2006, 02:36:24 PM »
The Style Guru Says.......


Tum door ho kar bhi paas ho is baat ka itmenaan hai,
Varna zindagi ka kya-Chand lamho ki mehmaan hai,
Ye tumhara hi aks hai jo mere saath rehta hai,
Varna ye zindagi to andheron se pareshan hai.....
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #218 on: June 03, 2006, 02:41:56 PM »
tum pukaro main na aaun tab ye kahna door hun main
jante ho tum  bhi ki kis tarah majboor hun main
Logged
nandini
Guest
«Reply #219 on: June 03, 2006, 03:32:27 PM »
kuch log zindagi me is kadar shaamil ho jaate he agar bhulna bhi chaho to or yaad aate he
bus jaate he wo dil me is kadar ki aankhe band karo to saamne nazar aate he
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #220 on: June 07, 2006, 06:48:14 AM »
The Style Guru Says.......


Well Said Nandini Ji!!!!


Arz Hai,

Jaane kya mujhse zamana chahta hai,
Mera dil tod kar mujhe hasana chahta hai

Jaane kya baat chalakti hai mere chehre se,
Aaj kal har apna mujhe aazmana chahta hai

Ye baat aur hai k meri mouzudgi unhe ganwara nahi,
Hamare aate hi koi mehfil se jaana chahta hai

Meri sookhi aankhon me ab aur ashq nahi bache,
Ab lahu rote hain hum ki WO hume bhulana chahta hai

Jaane kya mujhse zamana chahta hai,
Mera dil tod kar mujhe hasana chahta hai.......
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #221 on: June 07, 2006, 01:40:11 PM »
The Style Guru Says......

Quote from: "angel4u"
Nice all..





Thanx Angel!!!!
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #222 on: June 07, 2006, 01:49:11 PM »
The Style Guru Says.......

Quote from: "manu1979"
Quote from: "Style_guru"
The Style Guru says:


kaha tha tum say...mera intezaar na karna
duniya chahe jo kahe tum aitbaar na karna

aisa ho chuka hai kayi bar pehlay bhi
ab ki bar tum koi bhi sawal na karna

din raat kat rahey hein ab to ussi k khyal mein
wo lamhein wo ratein,unko yaad bar bar na karna

zindagi tanhi hi sahi..kat rahi hai ab tak
kis ne keh diya tha mohbat ka izhaar na karna....



hi guru ji how are you? hpoes you will be fine, ur line of poemshas toched my herats,it is too good to reda you again and again. beautiful brother keep it continue always.
regards
manu
take care




M cool as usual Manu Ji!!!
And thanx 4 the applause........
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #223 on: June 08, 2006, 12:08:34 PM »
The Style Guru Says.......


Hamare dil me dhadkan aapki sunai deti hai,
Aankhon me surat aapki dikhai deti hai,
Chalte to hum hain apna wajood le kar,
Lekin jab mudte hain to parchai aapki dikhai deti hai.......
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #224 on: June 09, 2006, 12:33:20 PM »
The Style Guru Says........


Jaane kya mujhse zamana chahta hai,
Mera dil tod kar mujhe hasana chahta hai,

Meri dhadkane aaj bhi chalti hain uske naam par,
Wo meri dhadkano ko mujhse churana chahta hai,

Meri wafa ka sila usne jafa se diya,
Wo mujhe andheron me roshni dikhana chahta hai,

Main raat ko din aur din ko raat keh to doon,
Magar wo khud ko wafa-e-paak manwana chahta hai,

Uski ek sada pe main apni jaan tak de du,
Phir kyon wo meri hasti mitana chahta hai,

Jaane kya mujhse zamana chahta hai,
Mera dil tod kar mujhe hasana chahta hai.....
Logged
Pages: 1 ... 11 12 13 14 [15] 16 17 18 19 ... 36
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 01, 2024, 06:23:23 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]

[October 29, 2024, 06:05:52 AM]

[October 27, 2024, 11:20:13 AM]

[October 27, 2024, 11:11:07 AM]

[October 27, 2024, 10:00:45 AM]

[October 27, 2024, 09:34:15 AM]

[October 19, 2024, 08:53:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8504 Real Poets and poetry admirer