.*.*.*Dard hi Dard.*.*.*

by Style_guru on November 18, 2005, 02:46:50 PM
Pages: 1 ... 14 15 16 17 [18] 19 20 21 22 ... 36
Print
Author  (Read 34294 times)
tabassum shakeel
Guest
«Reply #255 on: June 17, 2006, 06:20:23 PM »
dard khamosh hai sada bhi nahi
door tak koi ab nishan bhi nahi
dil me hai aas jab bhi vo aae
saath apne vo zindagi laae
ham to bas ye doa hi karte hain
zindagi apni to nakaam rahi
uski bas kamyaab ho jaae
sari khushiya mile vo khil jaae
uski khushiyon ko dekhna hai hame
door se bas doa karna hai hame
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dard by zindagi_kal_ho_na_ho in Shayri-E-Dard
dard dard ki had mein by husain52 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Dard ne itna dard diya by Ricky in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
ek dard yahan hai ek dard wahan hai by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dard Ko Dard Men Dekha by syednaami in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
tabassum shakeel
Guest
«Reply #256 on: June 18, 2006, 02:41:03 PM »
hai mera dil phool sa aur sari duniya sangdil
us pe tera dard ye mujhse saha jaata nahi
laa ke de de dard apna mujhko main aadi si hun
tujh ko dekhun dard me mujhse saha jaata nahi
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #257 on: June 19, 2006, 08:15:25 AM »
dard tera tere bina likhna
kaisa ye dard hai kahun kaise
main likhun to bhi dard ho mujhko
na likhun to bhi dard mujhko ho
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #258 on: June 20, 2006, 01:32:32 PM »
dard khamosh hai sada hi nahi
aaj phir dard ka ahsaas hua
shaam dhalne ko hai tu aaya nahi
dil ko dar hai ki jaane kya hai hua
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #259 on: June 20, 2006, 05:45:32 PM »
DIL ME IK DARD HAI AUR AANKH ME AANSU MERE
TU SALAMAT RAHE BAS YEHI DOA HAI MERI
MAIN TO AADI HUN APNE GHAM KI BAHUT
KHUSH RAHE TU YAHI CHAHAT MERI
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #260 on: June 22, 2006, 12:16:59 PM »
kitani shamen dard tumhara hamko tanha likhna hai
aabhi jaao shaam hai baaqi kab tak hame siskana hai
tum aao to baat ho koi aaj bahut ham tanha hain
tum aao to saath ho koi aaj bahut ham tanha hain
Logged
ranjana
Guest
«Reply #261 on: June 22, 2006, 03:51:19 PM »
bahut khub tabassum............

tanah jindagi yun hi udas thee
aaj na jaane yah kaise payaas thee
woh vaada karte they saath nibhane ka
haath mein aayi sirf unki yahi ek aas thee
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #262 on: June 23, 2006, 07:08:30 AM »
thanx ranju aur bahut khoob aapne likha hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #263 on: June 23, 2006, 07:16:59 AM »
shukriya Tabassum
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #264 on: June 23, 2006, 04:06:01 PM »
The Style Guru Says.........



Thanx 4 the gr8 work Ranjana Ji!!
& Ultimate work by Tabassum Ji!!!

& Thanx 2 every1 for appreciation frnds

Arz Hai,

Zindagi guzar jayegi ahista-ahista,
Phir ye waqt dagmagyega ahista-ahista,
Tum mujhe yaad rakhoge kuch der,
Phir ye yaad bhi mit jayegi ahista-ahista.....
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #265 on: June 23, 2006, 04:48:25 PM »
ji bas yahi kasar baaqi thi...................shukriya
Logged
ranjana
Guest
«Reply #266 on: June 23, 2006, 04:58:50 PM »
shukriya ji..........

hamne aapse dard liya ahista -ahista
zamaane se apne ashq chipaaye ahista-ahista
aap dur hote hamse chale gaye bas.ahista-ahista
aapki yaad dil ko bahut tadpayegi magar AHISTA-AHISTA
Logged
Blue_angel
Guest
«Reply #267 on: June 23, 2006, 05:49:52 PM »
Style guru ji, Ranjana ji and Tabassum.S ji very great job!! kya bat hai app sab ki!!
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #268 on: June 24, 2006, 06:01:46 AM »
Quote from: "Style_guru"
The Style Guru Says.........



Thanx 4 the gr8 work Ranjana Ji!!
& Ultimate work by Tabassum Ji!!!

& Thanx 2 every1 for appreciation frnds

Arz Hai,

Zindagi guzar jayegi ahista-ahista,
Phir ye waqt dagmagyega ahista-ahista,
Tum mujhe yaad rakhoge kuch der,
Phir ye yaad bhi mit jayegi ahista-ahista.....




ye dil nahi koi saray ye sun lo tum aahista ahista
aata rahe aur jaata rahe jo koi yahan aahista aahista
samjhe nahi ho yun kaho to aur baat hai
samjhaenge magar tumhe ham aahista aahista
dard se ab to door chalo itna kaha to maan lo
dena hai ham ko dard  to likhte raho ye dard tum
haare hain zindaagi se ham tumse jo haare kya hua
mitati hain saari aas ab aahista aahista.......................
Logged
Sweetgirl
Guest
«Reply #269 on: June 24, 2006, 06:29:21 AM »
kya baat hai guru ji! bahot khub likha hai.. aap tho sach much ke guru ho! keep it up...
Logged
Pages: 1 ... 14 15 16 17 [18] 19 20 21 22 ... 36
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 11:30:35 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer