.*.*.*Dard hi Dard.*.*.*

by Style_guru on November 18, 2005, 02:46:50 PM
Pages: 1 ... 17 18 19 20 [21] 22 23 24 25 ... 36
Print
Author  (Read 34086 times)
tabassum shakeel
Guest
«Reply #300 on: July 02, 2006, 05:29:36 PM »
raat ke baad ek raat aai
aur phir der tak main roti rahi
sare gham yaad jane kyun aae
ek mala si main piroti rahi

tu na aaya na  khabar koi
main yunhi jaagati aur roti rahi
sare gham kyun uthae baitha hai
kya tujhe shoq hai ghamo ka hi
chhod de sare gham aur aage ja
tujh ko khushiyan talash kartin hain
tu mujhe  chahe bevafa kahle
tu mujhe chahe koi naam bhi de
meri chahat hai bas khushi teri
bas yahi aarzoo hai ik meri
zindagi me tujhe bhi khush dekhun
main kabhi to tujhe hansata dekhun
raat ke baad ek raat  aai
aur main der tak phir roti rahi.......................
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dard by zindagi_kal_ho_na_ho in Shayri-E-Dard
dard dard ki had mein by husain52 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Dard ne itna dard diya by Ricky in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
ek dard yahan hai ek dard wahan hai by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dard Ko Dard Men Dekha by syednaami in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
Style_guru
Guest
«Reply #301 on: July 03, 2006, 03:09:17 PM »
The Style Guru Says......


Mujhe dard ka naam hai pyara,
Mere dard ke afsaane bahut hain,

Main peeta hu dard ki mai,
Yoon to duniya me maikhane bahut hain,

Yu to wo kehte hain k wo humse hain posheeda,
Par is sheher me unke deewane bahut hain,

To kya hua jo kisi ne dekh liya chehra-e-chaand unka,
Is aag me jalne waale parwane bahut hain,

Mujhe roshni ki raah pe mat le chalo,
Meri zindagi me veerane bahut hain,

Main dard ki vaadiyon me bhatakta hu ab,
Mere dil me dard ke thikaane bahut hain,

Main bhi rota hu raaton ko uth uth kar,
Phir chup ho jata hu k abhi ashq bahane bahut hain,

Tum bhi aa jao is dard ki mehfil me,
Yahaan tumhare jaane pehchane bahut hain,

To kya hua jo tum bhi bewafa nikle,
Teri to bewafai ke bhi bahaane bahut hain,

Mujhe dard ka naam hai pyara,
Mere dard ke afsaane bahut hain......
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #302 on: July 03, 2006, 06:18:20 PM »
mujhe dard ka naam hai pyara
naam juda hai tujhse iska
mujhko sara dard gawara
gar ye mila hai mujhko tujhse
tu peeta hai dard ki may jo
ham ko us se nahi gila hai
tujh se judna dard hi hai ik
ye to tujh se mila sila hai
poshida hai kon yahan par
 kisake chehre par parda hai
ye to kabhi maine socha kab hai
jab se tujh ko jaan liya hai
kiska diwana kon yahan par
ye bhi jaane kisko pata hai
chaand sa chehra sab kyun dekhen
chaand ko ye manzoor kahan hai
tere virane mera ghar hain
ab unme bas main rahti hun
jis mehfil me tum ho us me
kis ko dekhen bolo ab ham
nazaren apni jhuki hain rahtin
tum ko dekh nahi kuchh dekha
wafa bewafa tum hi jaano
hamko to kuchh samajh na aaya
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #303 on: July 05, 2006, 01:51:01 PM »
The Style Guru Says..........


Apni bebasi pe aaj rona aaya,
Doosron ko kya maine apno ko bhi aazmaya,
Har dost ki tanhai maine door ki,
Phir bhi har mod pe khud ko akela paya........
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #304 on: July 10, 2006, 01:33:27 PM »
The Style Guru Says.....


Kismat ruk gayi,
Dil ke taar toot gaye,
Wo bhi rooth gaye,
Sapne bhi toot gaye,
Baaki reh gaye apne khazane me do aansu,
Yaad teri aayi to wo bhi lut gaye....
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #305 on: July 12, 2006, 04:01:35 PM »
The Style Guru Says........


Saaya tak uska nazar nahin aaya,
Qabr khudwakar be-khabar nahin aaya,

Mujhe sula kar, hua woh rukhsat kahin,
Qaatil mera wapis ghar nahin aaya,

Shauhrat mili use mere jaane ke baad,
Mujhse milne meri maiyyat par nahin aaya,

Be-sabr "Tarun" taak-ta raha magar,
Sham-ma bujh gayi par woh seher nahin aaya.....

Logged
ranjana
Guest
«Reply #306 on: July 12, 2006, 05:31:25 PM »
bahut khoob ji ...bahut aacha likha hai......
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #307 on: July 13, 2006, 02:01:20 PM »
The Style Guru Says..........


Shukriya Ji!!!
Par aapne kuch arz nahi kiya?Huh?

Neway Arz Hai,

Kuch to hawa bhi sard thi,
Kuch tha tera khayaal bhi,
Aise mein dil ko khushi ke saath,
Hota raha malaal bhi....

Logged
Pooja
Guest
«Reply #308 on: July 13, 2006, 02:04:06 PM »
kuch mehfil mai ki najar ki baat thi
kuch teri najar mai bhi agg thi
dil ki dil mai hi rah gai
waqat - waqat ki yah baat thi
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #309 on: July 13, 2006, 03:28:24 PM »
The Style Guru Says........


Nice stuff Poo......
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #310 on: July 13, 2006, 03:28:44 PM »
kuchh to hawa bhi sard thi
kuchh dil me bhi ik dard tha
likha na ham se ja saka
aisa vo ik khayal tha
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #311 on: July 13, 2006, 03:32:13 PM »
The Style Guru Says.....


Mehfilon me nazar ki baat karte hain,
Nazron ki aag ki baat karte hain,
Humne to khud ko kar diya "Unke" hawale,
Aur wo ek khayalaat ki baat karte hain.....
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #312 on: July 13, 2006, 03:41:50 PM »
baaten  na ab karenge ham
dil ko bahut jala chuke
tum ko yahi pasand hain
jaan ko bas jalaae ja
ham ko to likhna dard hai
isame bhi ham ko dard hai
lagta tumahara shoq hai
ham ko na ye pasand hai
baaten karo khushi ki to
ham bhi likhenge shoq se
jab ham likhen yahaan pe dard
dard hame  lage bahut.....................
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #313 on: July 14, 2006, 01:48:24 PM »
The Style Guru Says.....


Ho sakta hai humne anjaane me unhe rula diya,
Unhone duniya ke kehne pe hume bhula diya,
Hum to vaise bhi akele the,
Kya hua jo unhone ehsaas dila diya......
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #314 on: July 14, 2006, 02:16:53 PM »
tera diya har aansu mujhko
moti se bhi pyara hai
aisa hi najaane kaisa
naata ek hamara hai
tu khush ho to main khush rahti
tu  na hanse to main ro deti
tera mera naata dard ka naata hai
ek dard hi beech hamare aata hai
Logged
Pages: 1 ... 17 18 19 20 [21] 22 23 24 25 ... 36
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 01, 2024, 02:29:07 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]

[October 29, 2024, 06:05:52 AM]

[October 27, 2024, 11:20:13 AM]

[October 27, 2024, 11:11:07 AM]

[October 27, 2024, 10:00:45 AM]

[October 27, 2024, 09:34:15 AM]

[October 19, 2024, 08:53:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8504 Real Poets and poetry admirer