.*.*.*Dard hi Dard.*.*.*

by Style_guru on November 18, 2005, 02:46:50 PM
Pages: 1 ... 18 19 20 21 [22] 23 24 25 26 ... 36
Print
Author  (Read 34388 times)
Style_guru
Guest
«Reply #315 on: July 15, 2006, 04:01:44 PM »
The Style Guru Says.......


Aankhon me koi khwab utarne nahi deta,
Ye dil mujhe chain se marne nahi deta,
Bichde to ajab pyar jatata hai,
Mil jaye to had se guzarne nahi deta.......
                                             
                                               N/M
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dard by zindagi_kal_ho_na_ho in Shayri-E-Dard
dard dard ki had mein by husain52 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Dard ne itna dard diya by Ricky in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
ek dard yahan hai ek dard wahan hai by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dard Ko Dard Men Dekha by syednaami in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
tabassum shakeel
Guest
«Reply #316 on: July 16, 2006, 08:47:30 AM »
Ham aaj saath saath nahi chaand raat hai
Tere khyal saath hain aur chaand raat hai

Kal saath the to chaand na tha phir bhi khush the ham
Tere bina udaas hain aur chaand raat hai

Ik roz chaand idd ka tha chhat pe dekhati
Tune kaha tha aaj to mil chaand raat hai

Dil ka har ek zakhm hai hara chandni me aaj
Jo tu nahi to khak bas ye chaand raat hai

Dil pe navazishen  thin teri  chandani si hi
Har raat hi lagti thi jase chaand raat hai

Saare hi hain chhat pe khade  dekhate hain chaand
Mera hi chaand saath nahi chaand raat hai
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #317 on: July 17, 2006, 02:41:53 PM »
The Style Guru Says.......


Wo jo kabhi mera saaya thi,
Aaj unke bhi badle mizaaz hain,

Jo aayi hain tabdiliyan unke lehze me,
Un tabdiliyon me bhi koi raaz hai.....
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #318 on: July 17, 2006, 02:55:30 PM »
jhuk gae teri har zid par ham jo
tune hamko hai kya bata jana
jhukte aae na the kabhi bhi ham
tujh ko ham ne tha kuch  juda jaana
tune bhi ek hi bas thokar di
dil tooota hi tha apna jaana
har mulaqat me naya ilzaam
na kiya jo usaki safai den
aur phir ruthne ka shoq tujhe
hamne tujhko manya kab na bata
par tu samjha ise meri aadat
itani bebas bhi main nahi jaana
tujhse kuch ragbateb thi is dil ki
is liye tujhko tha sahaa jaana
tu jo har baar dil ko todega
ham bhi kab tak rakhen bharam jaana
sou sawalo ka deta ek javab
vo bhi aadha sa hi kyun hai jana
aisa gham kab talak uthaen ham
isase aasaan hai bas mar jaana
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #319 on: July 20, 2006, 06:08:48 PM »
muskurata hai savera teri khushboo bankar
dopahar aati hai yaaden teri aksar lekar
shaam milti hai hamesha tera chehra bankar
raat aati hai to gham aur bhi badh jaate hain
saare taron ki chamak hamko bas satati hai
chaand ki roshani hamko kabhi bhati hi nahi
chaandani aati hai har roz hi hansne ham par
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #320 on: July 21, 2006, 06:54:02 AM »
hamaare dil me jo rahte hain door hain itane
ki hamne aankhon se unko kabhi nahi dekha
ye aur baat hai is dil pe hukumat hai unaki
ki unake baad kisiko bhi bas nahi dekha
ab ye khabar hai ki vo aur door jaaenge
ki dil ko mere vo kuchh aor aazmaanege
ye khinchta jaata hai doori ki baat sun kar bas
mujhe bhi dekhna hai dil ki had ya doori ki
kahan talak main mahsoos unko karti hun
kahan talak vo nigahon me meri rahte hain
jo dooriyon se bhi main chhoo tak unko sakti hun
to dooriyon se mujhe phir vo kyon darate hain
hain sare dar ye unhi ke unhi ko shak sare
hame to dil se pata hai ki vo hamare hain
qalam hai unke liye lafz bhi unhi ke liye
kaha kya unka koi maine kabhi tala hai
rahen vo phir bhi khafa tab bhi ham khafa na hue
ki haq kahaan hai hame unse khafa hone ka
vo dil me aaj bhi hain kal bhi vo dil me honge
yahan rahen na rahen mere dil me vo honge
ki thodi saansen hain baaqi jo hain vo jeena hai
bas ab na lamba safar samne hi manzil hai
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #321 on: July 21, 2006, 01:40:18 PM »
The Style Guru Says......


Na teri khabar hai na thikana koi,
Na aane ki nishani hai na jaane ka bahana koi,

Main aaj bhi tere intezaar me hoon,
Main aaj bhi hoon tera deewana wahi.....
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #322 on: July 21, 2006, 03:34:08 PM »
ishq  karna hai to ye ahad bhi karna hoga
ab na khushiyon ka guzar is tarah assan hoga

ham pukarenge tumhe tum pe hai aao ki nahi
ham ko bas ek yahi intezaar karna hoga

raat mahkegi jo kabhi jaise phool juhi ka
aur ham jaan lenge yaad aaj kiya hoga

aur jab koi darkht hamko yun saya dega
meri tasveer pe saya vahan tera hoga

hichkiyan hotin agar yaad ki to mar jaate
sara waqt yaad mujhe toone to kiya hoga

aur bhi jeena hai ye soch ke dar lagta hai
tere bin jeena to bas mout se badtar hoga
Logged
phoenix
Guest
«Reply #323 on: July 21, 2006, 06:55:26 PM »
bahut khoob
Logged
phoenix
Guest
«Reply #324 on: July 21, 2006, 06:56:08 PM »
bahut khoob
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #325 on: July 22, 2006, 02:50:14 PM »
The Style Guru Says..........



Thanx Gum & Pheonix bhai!!!

Arz Hai,

Hichkiyan dila kar ye kaisi uljhane badha rahe ho,
Bas ye bata do k yaad kar rahe ho k yaad dila rahe ho?

Apne maathe ki lakeeron se poocho zara,
Mujhe gham de kar tum kyon aansu baha rahe ho?

Apni wafaon ko aaj samet lo daaman me ki,
Shayad tum mere dil me sama rahe ho ya meri zindagi se ja rahe ho......
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #326 on: July 22, 2006, 03:07:18 PM »
jaab bhi dekha hai tujhee ek sawaal paya hai
dil hai tera ki sawalon ka koi jangal hai
tujh ko kya koi naya tour yaad aaya hai
kya wafaon me koi aur sa rang dekh liya
ya ki phir aur hi hai baat tu bata bhi de
silsila tere sawalat ka jaari hi hai
kyun hamare hi dil me koi nai baat nahi
 tujhko janaa hai sawal koi mere paas nahi
mujhko dil pe hai bharosa vo galat hota nahi
tujhse poochun kyon sawaal tujhko dil ne jana hai
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #327 on: July 24, 2006, 10:25:38 AM »
The Style Guru Says........


Log hamari bebasi ka mazaak banate gaye,
Ek hum they ki yoon hi muskurate gaye,

Sare baazar bik rahi thi mohabbat meri,
Ek tum the ki keemat girate gaye.....
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #328 on: July 24, 2006, 12:06:59 PM »
tujhko jo maine jaana hai tujhko hi apna mana hai
tujhko samjh saken hain ab dil ko tere ab jaana hai
tujhko jo na pasand hai vo ab hame na karna hai
teri khushi ki chah hai apna hai kya ham jeete hain
zindagi ik azzab hai zahar ke pyale peete hain
tere liye hi khush han hamtere liye hi jeete hain
Logged
Pooja
Guest
«Reply #329 on: July 24, 2006, 03:18:29 PM »
Quote from: "Style_guru"
The Style Guru Says........


Log hamari bebasi ka mazaak banate gaye,
Ek hum they ki yoon hi muskurate gaye,

Sare baazar bik rahi thi mohabbat meri,
Ek tum the ki keemat girate gaye.....



wah kay abaat hai guru ji... bahoot acha likha hai apne!!!!
Logged
Pages: 1 ... 18 19 20 21 [22] 23 24 25 26 ... 36
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 03:32:52 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer