.*.*.*Dard hi Dard.*.*.*

by Style_guru on November 18, 2005, 02:46:50 PM
Pages: 1 ... 21 22 23 24 [25] 26 27 28 29 ... 36
Print
Author  (Read 34384 times)
Style_guru
Guest
«Reply #360 on: August 23, 2006, 01:31:09 PM »
The Style Guru Says.....




Zindagi me kuch pal aise bhi ayenge,
Jab hum tumhare saath na reh payenge,

Tum maayus na hona un raahon par,
Hum dil me honge bas saath na chal payenge.......
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dard by zindagi_kal_ho_na_ho in Shayri-E-Dard
dard dard ki had mein by husain52 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Dard ne itna dard diya by Ricky in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
ek dard yahan hai ek dard wahan hai by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dard Ko Dard Men Dekha by syednaami in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
sonia_april
Guest
«Reply #361 on: August 23, 2006, 02:14:52 PM »
very good...
Logged
sonia_april
Guest
«Reply #362 on: August 23, 2006, 02:15:07 PM »
very good...
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #363 on: August 23, 2006, 04:49:51 PM »
aaj hu ruswa magar has raha hu mai dheere dheere....
dekhte to hai ye sab k has raha hu mai yaha ....
koi na dekhe kabhi k mai jal raha hu magar dhere dheere....
chobte hai kante magar aahsaas na kisi ko hone dunga....
k baharo me murjhayunga magar dheere dheere....
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #364 on: August 24, 2006, 04:25:58 AM »
reza reza bhi hue khwaab magar khwaab rahe
toot ke bikhare hain aankho se ye jaate hi nahi
jaane ye khwaab hain ya hain koi dushman mere
jitna sisake hain hue taza nazar me meri
dhul ke nikhare hue ik phool se ban jaaten hain
jab kisi raat ye aansu me badal jaaten hain
lafz ye ban na sake aankh me rahte hain meri
padh sake inko koi aisi nazar hai bhi nahi
jisaki thi aisi nazar door hai nazaron se vahi
aur ye khwaab hain andhe se bina usake yahaan
usaki nazaron se nazar inko mile aise hain
usake bin saans na len khwab ye kuchh aise hain
ji ka janjaal bhi hain rooh ki khwahish bhi hain
kya bataun ye mere khwaab bhala kaise hain?
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #365 on: August 24, 2006, 02:21:15 PM »
The Style Guru Says.......


Well said Tushar bhai & Tabassum Ji!!!


Arz Hai,

Wo nadiyan na theen aansu the mere,
Jis par wo kashti chalate rahe,

Akele hi sahi par Manzil mile unhe ye dua thi meri,
Isliye hum der talak aansu bahate rahe......
_________________
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #366 on: August 24, 2006, 02:36:32 PM »
ashq ham bahane nahi dete ham kuchh aise hain
vo jo aankhon me meri khwaab ban ke rahten hain
ashq bahne se kahin unko koi dard hua
sah nahi sakte ye ham kya karen kuchh aise hain
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #367 on: August 24, 2006, 09:47:43 PM »
tushar,,,tabassum...aur style guru,,,kya baat hai :D:D:D
Isse dilse uski yaad haat thi nahi
Inh ankhoin se uske liye ansu rokh the nahi
Isse hath se uska naam mit tha nahi
Aabh ye toota hua dil jorta nahi
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #368 on: August 25, 2006, 02:58:56 PM »
The Style Guru Says........


Thanx Anjani Ji!!! Vaise aap ab anjaane nahi hain


Neway Arz Hai,

Yoon hi sapno se dil lagaya karo,
Kisi ki khwabon me aaya jaaya karo,

Jab bhi dil kahe ki koi tumhe bhi manaye,
Bas hume yaad kar ke rooth jaya karo.....
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #369 on: August 26, 2006, 07:11:44 AM »
justju ek khwaab ki mar ke bhi jo poori naho
khwaab ye jisane banae usake bhi khwaab poore na hon
ek bas hai qafila sa khwaabon ka likhati hun main
inko jab bhi padhna chaha khud hi ro deti hun main
khwaab hain ya hain ye aansu ya ki bas koi aah hain
khwaab se ye kyun nahi hain kyun ye be unwan hain....................
_________________
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #370 on: August 28, 2006, 01:44:43 PM »
The Style Guru Says.......


Zinadagi ki asli udaan abhi baaki hai,
tumhare iraadon ka imtehan abhi baaki hai,

Abhi to naapi hai sirf mutthi bhar zameen,
Aage to saara aasman abhi baaki hai....

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #371 on: August 28, 2006, 02:01:35 PM »
Bahoot Khoob Yaar,..
Keep Going
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #372 on: August 28, 2006, 02:11:46 PM »
The Style Guru Says.......


Thanx Bhai!!!
Aap nahi likhenge???


Neway Arz hai,

Zindagi har ghadi dhalti rahi,
Jaise ret mutthi se fisalti rahi,

Gile shikwe bhool ke hum hanste rahe,
Kyonki zindagi thokaron se hi sambhalti rahi.....
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #373 on: August 28, 2006, 07:25:33 PM »
zindagi ki khasiyat ye hi to hai
isko jisane chaha usko na mili
isko rakha tthokar me hamne hai
aur dekho ki jiye jaate hain ham
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #374 on: August 28, 2006, 07:26:30 PM »
Quote from: "Style_guru"
The Style Guru Says.......


Zinadagi ki asli udaan abhi baaki hai,
tumhare iraadon ka imtehan abhi baaki hai,

Abhi to naapi hai sirf mutthi bhar zameen,
Aage to saara aasman abhi baaki hai....


himmaten apni kahaan ab joojhne ki rahne de
jo bhi kuchh jaisa bhi hai usko tu vaisa rahne de
na zammeen hi mil saki hamko koi apni ho jo
sari zindagi khana badoshi mehi kaati hai yahaan
hasraten na aasmaa ki na hi chahat chand ki
mere haathon me hain aansu aankh se dhalke hue
Logged
Pages: 1 ... 21 22 23 24 [25] 26 27 28 29 ... 36
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 10:41:11 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer