.*.*.*Dard hi Dard.*.*.*

by Style_guru on November 18, 2005, 02:46:50 PM
Pages: 1 ... 22 23 24 25 [26] 27 28 29 30 ... 36
Print
Author  (Read 34083 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 4 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #375 on: August 29, 2006, 12:16:25 PM »
Mukaddar Mein Na Tha Mere ke Main Bhi Banoon Sikardar Mohabbat Ki Duniya Ka,..
Shayad Ilsiye Ek Toofaan Aate Hi Meri Hasti Mit Gayi,..

_________________________________________________ ___-Jaanasheen-
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dard by zindagi_kal_ho_na_ho in Shayri-E-Dard
dard dard ki had mein by husain52 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Dard ne itna dard diya by Ricky in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
ek dard yahan hai ek dard wahan hai by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dard Ko Dard Men Dekha by syednaami in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
shyama
Guest
«Reply #376 on: August 29, 2006, 09:19:40 PM »
Guru,

tere intezaar pe mujhe aitbaar hai,
na hogi zaroorat sawal karne ki, teri ankho se bayaan tera jawab hai,
waise to taare gin ke bhi kat-ti hein raatein,
teri yaad mein hum na soyenge raat bhar yeh tera jootha malaal hai,
na thi humme kabhi khwaish tujhe se izhaar sun-ne ki,
teri adaaye kehti hein tujhe mujh se mohabbat be-hisaab hai
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #377 on: August 30, 2006, 11:08:46 AM »
The Style Guru Says........


Thanx Janasheen bhai & Shyama Ji!!!


Arz Hai,

Aitbaar ki baaten karte hain wo,
Apne pyaar ki baaten karte hain wo,

Meri aankhon ki pyaas aaj bhi taaza hai,
Mere dil se nikal kar ashqon me utarte hain wo....
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #378 on: August 30, 2006, 12:53:08 PM »
Dushman ko bhi seenay say lagana nahin bhoolay,
Hum apnay buzargon ka zamana nahin bhoolay !
 
 
Tum aankhon ki barsaat bachayay huey rakhna,
Kuch log abhi aag lagana nahin bhoolay !
 
 
Yeh baat alag haath kalam ho gayey apnay,
Hum aap ki tasveer banana nahin bhoolay !
 
 
Ik umar huee main to hansi bhool chuka hoon,
Tum ab bhi meray dil ko dukhana nahin bhoolay !
 
 
Dushman ko bhi seenay say lagana nahin bhoolay,
Hum apnay buzargon ka zamana nahin bhoolay !


Ques...
Logged
shyama
Guest
«Reply #379 on: August 30, 2006, 10:48:07 PM »
Guru ji well said ke "mere dil se nikal kar ashqon mein utarte hein woh"

Arz hai: humm na thay itne ahm to dil se nikaal kar ashqon mein bahaa diya,
ab kya karo ge samet kar humme, kabhi samundar bhi kissi ne paaya hai..........
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #380 on: August 31, 2006, 03:28:00 AM »
bahut khoob tarun ,qutub ji aur shyama.................

ye naya khushiyon ka jo silsila sa jaari hai
jaane kyu lagta hai kisi bade gham ki ye taiyari hai

qismaton se ladte hue kitane sikandar hain yahan
aaj lagta hai ki apni bhi bas baari hai

jeet jaaen jo kabhi aisa naseeb apna nahi
haar yun maan len fitrat na ye hamari hai

dil hai ik dasht jahan gham hai darindo ki tarah
ye parinde si chahakti khushi tumhari hai

tujhko aawaz dun to rukna nahi aajana
ab na hai waqt ghadi bhar ki zindagi hamari hai
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #381 on: August 31, 2006, 07:07:48 AM »
Well said Tabassum ..

ab na hai waqt ghadi bhar ki zindagi hamari hai..

arz keyaa Hai..

Ab Tayray Aanay Kaa Imkan Nahee..
Ab Dard Kay Daldal say Nikal Aanay Ka Imkan Nahee..

Dard Kay Daryaa May gheeray Hai Hum..
Ab Issay Nikal Nay Kaa Imkan Nahee..

Ab Khoush Honay Kee Koyee Baath Nahee..
Ab Khoushee kay paas Aanay Kaa Imkan Nahee...


Ques...
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #382 on: August 31, 2006, 01:08:44 PM »
The Style Guru Says......



Thanx Shyama Ji, Tabassum Ji & Qutub bhai!!!

Arz Hai,

Ab tere aane ka imkaan nahi,
Ab koi safar-koi saamaan nahi,

Wo raaste jo tere khwab gaah tak jaate the,
Ab un raaston pe hamare nishan nahi,

Ab mere iraadon ko bas zameen hai pasand,
Ab mere iraadon ki koi udaan nahi,

Ab meri zindagi ko nahi kisi ki khwahish,
Ab main teri ruswai se pareshan nahi.....
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #383 on: August 31, 2006, 01:45:38 PM »
shukriya qutub ji aur tarun tumto jab bhi likhoge achcha hi likhoge ................

dil me ab apne bhi baqi koi arman nahi
rooh ghayal si hai aur jism me bhi jaan nahi

silsila ranj ka jaari hai na rukne pataa
roke isko yahaan aisa koi insaan nahi

ashq saathi hai bane ankhon me sapane na rahe
kya yahan shokhi ki achchi koi dukan nahi?

likhana dushman hai bana jab bhi likha rooth  gaya
aisa bhikya hai likha padhna jo asan nahi?

hans ke likhne pe shikayat kabhi ansu  pe mere
kaise ab likhun bata mujh me to ab jaan nahi

kar chuke sara  safar door na manzil mujhse
usko bhi chheen le tu itane bhi nadan nahi
Logged
shyama
Guest
«Reply #384 on: August 31, 2006, 07:10:44 PM »
thanks tabassum and guru

ab tu jaane, teri bewafai jaane
ab tujh se waffa ka imkaa nahin

mein to har baar muaf kiya tujh ko
tu naa bann sakka insaa, ab tere badalne ka imkaa nahin
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #385 on: September 01, 2006, 01:21:08 PM »
The Style Guru Says......


Well said Shyama Ji!!!
Logged
shyama
Guest
«Reply #386 on: September 01, 2006, 03:06:05 PM »
thanks guru ji

mein ne to bhulaaya tere kehen hise tujh ko
tu dost kissi aur ko banaye to mujhe kya!!!

Haa bhool gayi mein ik khwaab samajh kar tujhe
Ab ban ke haqeeqat aye to mujhe kya!!! (n/m)
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #387 on: September 01, 2006, 03:22:58 PM »
The Style Guru Says........


Gr8 Shyama Ji!!!


Ek tum hi se thi wafa ki umeeden,
Ab teri bewafai ka bojh uthana aur sahi,

Tere aane se ye gham kuch kam hota,
Ab is gham me izaafa aur sahi,

Raat dhale sab chiraagh bujha diye,
Ab teri yaad me dil jalana aur sahi,

Jo tu na mila hota to aur baat thi,
Ab tujhe dil se mitana aur sahi....
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #388 on: September 01, 2006, 03:59:54 PM »
bahut khoob tarun

sou zakhmo ka ghar mera dil ek tera gham aur sahi
teer sahen hain lakhon dil ne tera nishana aur sahi

uff na karenge ye vada hai tere sitam ki had bhi dekhen
dil apna aadi hai iska ek sitam bas aur sahi

raham ye karna khushi na dena sah pae na ham shayed
gham ki barish hamko pyari thoda bheegen aur sahi
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #389 on: September 02, 2006, 12:33:07 PM »
The Style Guru Says.......


Very nice Tabassum Ji!!!
Logged
Pages: 1 ... 22 23 24 25 [26] 27 28 29 30 ... 36
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 01, 2024, 02:18:19 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]

[October 29, 2024, 06:05:52 AM]

[October 27, 2024, 11:20:13 AM]

[October 27, 2024, 11:11:07 AM]

[October 27, 2024, 10:00:45 AM]

[October 27, 2024, 09:34:15 AM]

[October 19, 2024, 08:53:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8504 Real Poets and poetry admirer