.*.*.*Dard hi Dard.*.*.*

by Style_guru on November 18, 2005, 02:46:50 PM
Pages: 1 ... 26 27 28 29 [30] 31 32 33 34 ... 36
Print
Author  (Read 34280 times)
tabassum shakeel
Guest
«Reply #435 on: October 05, 2006, 03:08:39 PM »
  TUKADE TUKADE DIN BEETA HAI  
RUK RUK KAR HAI RAAT CHALI
IK IK LAMHA BARSON JAISA  
JAB BHI TUMHARI BAT CHALI
 
DIL KI HAR DHADKAN KO MAINE  
IK IK MUDDAT SAMJHAYA
RUKATI RUKATI SANSON KO
KAISE CHALNE PAR UKSAYA
 
IK IK AANSU JOD KE MAINE  
AANSU KA IK BANDH BANAYA
HANS HANS KAR AB RONA SEEKHA
BATEN KARKE CHUP REHNA
 
LEKIN SAB KUCHH BHOOL GAI MAIN
JAB BHI TUMHARI BAAT CHALI  

           
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dard by zindagi_kal_ho_na_ho in Shayri-E-Dard
dard dard ki had mein by husain52 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Dard ne itna dard diya by Ricky in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
ek dard yahan hai ek dard wahan hai by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dard Ko Dard Men Dekha by syednaami in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
Style_guru
Guest
«Reply #436 on: October 09, 2006, 01:32:38 PM »
The Style Guru Says......



Pyaar ka to dushman zamana hai,
Har aashiq ke pyaar ka apna fasana hai,

Sabko pata hai ashq hi milte hain pyaar me,
Phir bhi har koi pyaar ka deewana hai......

Logged
Style_guru
Guest
«Reply #437 on: October 09, 2006, 01:42:21 PM »
The Style Guru Says......


Wo na aaye unki yaad aa kar wafa kar gayi,
Unse milne ki tamanna sukun-e-dil tabaah kar gayi,

Aahat hui to socha ki asar DUA kar gayi,
Darwaza khula to dekha ki mazaak humse hawa kar gayi.....
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #438 on: October 11, 2006, 03:34:15 AM »
The Style Guru Says.........


Tere bagair bhi teri tarah zinda rahun,
Ye hausla bhi dua kar khuda na de mujhko,

Main is liye bhi usey khud manaunga,
Ki mujhse roothne wala bhula na de mujhko.....

Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #439 on: October 13, 2006, 08:13:07 PM »
   kamaal ka likha hai tarun.....

boya kiye hain khawaab tere
na vo ug sake
dekha hai aisa khwaab jo
pura na ho sake

dil me basa hai jo use likhti
chali gai
par uska zikr mujhse na
poora hi ho sake

yaadon se dosti hai tere
dam se janeja
yaaden na hon teri to bata
kaise ji sake
         
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #440 on: October 14, 2006, 03:24:24 PM »
The Style Guru Says......


Wo pyaar jo haqeeqat me pyaar hota hai,
Zindagi me sirf ek baar hota hai,

Aankhon ke milte milte dil mil jayen,
Ye ittefaq zindagi me sirf ek baar hota hai......

Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #441 on: October 16, 2006, 01:22:19 PM »
   suna hamne suna sab hai kaha tumne jo hai hamse
mohbbat ka ye qissa hai sabhi gham to chipe isame
magar phir bhi najane kyun mohabbat log karte hain
hamare pahle karte the hamare saath bhi to hain
hamaare baad bhi honge na ham honge na tum hoge
mohabbat karne wale saare hi diwaane hote hai
na hansane ke na rone ke vahaan bahane hote hain
ye qissa hai azal se aur rahega inteha tak ye
na koi ruk saka hai na koi hi rok paya hai
suna hamne suna hai sab awazen bhi hotin hain
mere hamdam ki saari guftgu jo mujhse kahti hain
main sun ke jaag jaati hun kabhi ik neend se ke bas
lage mujhko mere paas aake koi saaya lahraya
suna maine suna hai sab....................        
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #442 on: October 16, 2006, 04:28:42 PM »
The Style Guru Says.....


Dard-e-sehra me tum bhi nahi,
Dard-e-sehra me hum bhi nahi,
Ab batao ki is gham-e-zindagi ka sahara kaun bane?

Muflisi ke is daur me,
Zindagi ke is mod pe,
Is soone aasmaan ka sitara kaun bane?

Ab tu hi bata aye jaane waale,
Mere dil ka lahoo bahane wale,
Meri doobti kashti ka kinara kaun bane.....
Logged
tanhadil
Guest
«Reply #443 on: October 16, 2006, 07:02:47 PM »
Quote
Puzzled ! janab bahut khub
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #444 on: October 17, 2006, 03:56:27 PM »
The Style Guru Says......


Thanx Ji
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #445 on: October 19, 2006, 02:09:53 PM »
ab ek shiksta kishti ka
 majhdhar me saathi koun bane
gham dil ki apni aadat hain
khushiyon ka bahana koun bane

jazbaat kabhi the seene me
dil me achchi dhadkan bhi thi
ik saan jo chalna baqi hai
uska armaan ab koun bane
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #446 on: October 21, 2006, 10:29:15 AM »
The Style Guru Says......


Arz Hai,

Phir din dhal gaya phir raat aa gayi,
Phir tanhai me baithe ki baat aa gayi,

Abhi to taaron ki panaah me baithe hi they ki,
Chaand ko dekha aur aapki yaad aa gayi.....
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #447 on: October 22, 2006, 05:15:24 AM »
Bohat khoob Style_Guru & Tabassum...
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #448 on: October 23, 2006, 01:35:33 PM »
The Style Guru Says.....


Thanx Aryaan Bhai
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #449 on: October 23, 2006, 03:00:44 PM »
The Style Guru Says......




Arz Hai,

Log Badal gaye,
Zamana badal gaya,

Hum aankh se door kya hue,
Unka thikana badal gaya,

Ziqr-e-mehfil aksar hote hain naye rishte,
Aur hamari kismat ki pyaar purana badal gaya,

Hume tha naaz jinki wafa-parasti par,
Aaj wo mera deewana badal gaya,

Wafa-haya-eklakh-ada-nasha-ibadat,
Sab hi to tha mere yaar me,

Phir hui kya saazish posheedgi me,
Ki unka andaaz wo aashiqana badal gaya,

Hum apne dil ki baazi lagaye baithe,
Udhar unka wo dil lagana badal gaya,

Mere aane se jis sheher me aayi thi raunak,
mere jaate hi wo sheher purana badal gaya,

Maana ki ab tere gird raqeebon ki kami nahi,
Ab to fitratan tera wo pyaar nibhana badal gaya,

Kehte hain log humse ki ab hum wafa-shaar nahi,
Shayad ab hamara wo andaaz munsifana badal gaya,

Hum aankh se door kya hue,
Unka thikana badal gaya......
Logged
Pages: 1 ... 26 27 28 29 [30] 31 32 33 34 ... 36
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 01:35:29 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer