.*.*.*Dard hi Dard.*.*.*

by Style_guru on November 18, 2005, 02:46:50 PM
Pages: 1 ... 27 28 29 30 [31] 32 33 34 35 36
Print
Author  (Read 34369 times)
tabassum shakeel
Guest
«Reply #450 on: October 25, 2006, 03:39:51 PM »
      shukriya aryaan........

log badal gae zamana badal gaya...............


mousame badalin ruten badlin aasman badale
jinko chaha tha bahut unke bhi andaaz badale
nazaren bhi badlin aur tour baat ke badale
saari duniya hai meri badali kyun na main badali?
chahaten kaise badal saktin hain batalade koi
kya rafeeqon ko kabhi usase maine toula hai
ye shahar kuchh bhi nahi dil ka chaman tha mera
bas sake ya na base maine ye socha hi kab
meri ik soch hai jo mujhko kiye jaati hai bas tang
usko likhna hai mujhe jo ki mujhe padhta nahi
sare andeshe hain bemani kaash sach hote
kaash mousam se badal sakne wale ham hote
ham ne socha hi hai kab koi aur soch nahi
vo hai bas vo hi rahega na koi aur nahi...............    
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dard by zindagi_kal_ho_na_ho in Shayri-E-Dard
dard dard ki had mein by husain52 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Dard ne itna dard diya by Ricky in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
ek dard yahan hai ek dard wahan hai by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dard Ko Dard Men Dekha by syednaami in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
Style_guru
Guest
«Reply #451 on: October 26, 2006, 03:47:24 PM »
The Style Guru Says........


Bichad gaye to milne ki aas kya rakhna,
Hawa ke jhonkon ka hisaab kya rakhna,

Bas isi khayal se muskura diye hum,
Apni udaasi se kisi ko udaas kya rakhna,

Hum aaj bhi gham-deeda hain "Tarun",
Par dariya me reh kar pyaas kya rakhna,

Mere ishq-e-junoon me hosh ki kami na thi,
Main chup raha ki ek bewafa se aas kya rakhna......
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #452 on: October 27, 2006, 01:59:15 PM »
The Style Guru Says.....


Ek pal ka ehsaas ban ke aate ho tum,
Doosre hi pal khushbu ki tarah ud jaate ho tum,

Jaante ho ki tanhaiyon se darr lagta hai mujhe,
Phir bhi yoon tanha chhod jaate ho tum......

Logged
Style_guru
Guest
«Reply #453 on: October 28, 2006, 11:12:06 AM »
The Style Guru Says......


Mohabbat karne walon ko inkaar achha nahi lagta,
Duniya walon ko ikraar achha nahi lagta,

Jab tak nahi hoti kisi aashiq ki maut,
In zaalimon ko pyaar sachha nahi lagta.....

Logged
Pooja
Guest
«Reply #454 on: October 29, 2006, 12:29:13 AM »
Quote from: "Style_guru"
The Style Guru Says......




Arz Hai,

Log Badal gaye,
Zamana badal gaya,

Hum aankh se door kya hue,
Unka thikana badal gaya,

Ziqr-e-mehfil aksar hote hain naye rishte,
Aur hamari kismat ki pyaar purana badal gaya,

Hume tha naaz jinki wafa-parasti par,
Aaj wo mera deewana badal gaya,

Wafa-haya-eklakh-ada-nasha-ibadat,
Sab hi to tha mere yaar me,

Phir hui kya saazish posheedgi me,
Ki unka andaaz wo aashiqana badal gaya,

Hum apne dil ki baazi lagaye baithe,
Udhar unka wo dil lagana badal gaya,

Mere aane se jis sheher me aayi thi raunak,
mere jaate hi wo sheher purana badal gaya,

Maana ki ab tere gird raqeebon ki kami nahi,
Ab to fitratan tera wo pyaar nibhana badal gaya,

Kehte hain log humse ki ab hum wafa-shaar nahi,
Shayad ab hamara wo andaaz munsifana badal gaya,

Hum aankh se door kya hue,
Unka thikana badal gaya......



wah kaya baat hai.... bahoot khoob guru ji and tabu good work...
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #455 on: October 29, 2006, 08:24:06 PM »

thanx pooja................

kisi shaam yaad ki dehleez par
maine tujhko pukara tha phir is tarah
dil tha khinch sa gaya aankh purnam hui
raat ranjeeda ranjeeda shabnam hui

silsila ek jaari hai kab se sanam
bhoolane ka tujhe aur yaad karne ka
par khatm hota hardam ye yaadon pe hai
haan subah ki shuruwaat karti hun main
ek koshish se ki main tujhe bhool jaun
sari subah ek jaddo jahad hai meri

is tarah thak gai har dophar main
yaad karne lagi tujhko phir khil gai
shaam hoti hi hai yaad karne ke liye
laakh chaha magar yaad tu aagaya

ik khyaal aisa hai tu main tujhko likhun
meri sochen kabhi rukane paatin nahi
tujhko likhti hun hamdam tu padhta nahi
ispe bhi dil se mere tu jaata nahi.....
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #456 on: October 29, 2006, 08:25:05 PM »
    raat aai aur taare chamke hain
zehan me phir kyun chehra tera hai
ye ik adaat hai ya museebat hai
jab kabhi tanha hue aaya tu
kabhi dil ki koi chahat ban ke
kabhi naghma kabhi aansu ban ke
kabhi dil hi diye sa jalne laga
socha jab tu nahi hai paas mere
jaa chuka hai par phir bhi dil me hai
jyon koi seep ho samandar me
naqsh hai zehan me teri tasveer
dil pe likha hai har kaha tera
aur tu door kahin hai mujhse
kaise kahdun ke mera khwaab hai tu

     
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #457 on: October 29, 2006, 08:25:58 PM »
      main dukh ki ek raah par hun chal sako to saath do
hain ashq saath aahen bas jo chal sako to saath do

fareb itane kha chuke sitam sahe hazar hain
tum gar koi naya sitam jo dha sako to saath do

na rang hai na noor hai bas sadgi hi saath hai
jo inse tum nibha sako to bas phir mera saath do

Logged
Style_guru
Guest
«Reply #458 on: October 30, 2006, 04:27:30 PM »
The Style Guru Says......


Arz Hai,

Dil ka dard jab panno par aa jaata hai,
Ek aansu bhi dariya ban jaata hai,

Dil ke tootne ki aawaz bhi nahi hoti,
Aur saara dard gazal ban jaata hai.....

Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #459 on: October 31, 2006, 04:14:14 PM »
 jo door hi hona tha to kyun mujh se mila tha
jo dil hi dukhana tha to kyun hans ke mila tha

vaade bhi kiye aur unhe bhool bhi baitha
kya isliye hi tune bas mujhko chuna tha

apna hai dil bas aisa ik sach ka paristaar
kyun jhooth kaha mujhse kyun khwaab buna tha

ham vaise bhi uljhan me din raat hi uljhe the
ik tu jo mila hamne bhi hans ke dekha tha

ik khwaab bana tu hai ya waham ki parchhai
aisa hai fareb hota auron se suna tha

   
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #460 on: November 01, 2006, 04:07:43 PM »
apne aansu bhool chuke ham bas ik tu ab rona na
saare dukh ham bhool ke baaithe phir vo qissa kahna na
rusvaai ka ab dar kaisa ab to waqt bahut hai kam
saara jeevan dar ke jiye hain ab ham se ye hoga na
usake aansu moti jaise ek ladi me piro liye
haar bana vo jeet hai meri ab mujhse kuchh kahna na...............
   
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #461 on: November 01, 2006, 04:51:21 PM »
Bohat khoob Style_Guru & Tabassum...
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #462 on: November 02, 2006, 05:53:36 AM »
thanx  aryaan aapne kuchh nahi likha?Huh??
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #463 on: November 02, 2006, 06:01:14 AM »
 main kuch na kah sakungi
hai kqismaten kuch aisi
tujhse na gila hai
dil ne jo bhi chaha
vo door hua hamse
ab kon raha hai
ik khwab ka jaadu hai
dil pe mere chhaya sa
main qed vahan hun
mujh tak nahi aati hai
koi sada kahin se
main aise jagah hun
tu haath na jalana
ik jalata khwab me hun
tu lagta bhala hai
mera hai jo naseeba
vo mujhko mila hai
main ab na chup rahungi
bas tujh se kahungi
main khwab hun gardish ka
na dekh mujhe aise
main hun ek uljhan
bas rah tu door mujhse
tujhko jo dukh hua to
mujhko bhi dukh hi hoga
mera mujhe sahne de
tu bahut bhala hai.................  
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #464 on: November 02, 2006, 02:19:31 PM »
The Style Guru Says.......


Dard jab dawa ban jaye to kaun saani,
Zaher jab hawa ban jaye to kaun saani,

Kuch log apne ban ke aaye they zindagi me,
Jab apne hi daga kar jayen to kaun saani.....

Logged
Pages: 1 ... 27 28 29 30 [31] 32 33 34 35 36
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 12:12:02 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer