.*.*.*Dard hi Dard.*.*.*

by Style_guru on November 18, 2005, 02:46:50 PM
Pages: 1 ... 29 30 31 32 [33] 34 35 36
Print
Author  (Read 34372 times)
Style_guru
Guest
«Reply #480 on: November 29, 2006, 03:53:05 PM »
The Style Guru Says....


Teer Teri Nazron Ke Aaj Hum,
Seene Pe Kha Ke Dekhenge,

Mohabbat Ke Dard Par,
Chaar Ashq Baha Ke Dekhenge,

Aap Lootiye Hume Khoobsurti Se,
Hum Lutne Ka Fasana Dekhenge,

Tere Ishq Ki Mehfil Me Aaj,
Hum Bhi Taqdeer Aazma Kar Dekhenge....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dard by zindagi_kal_ho_na_ho in Shayri-E-Dard
dard dard ki had mein by husain52 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Dard ne itna dard diya by Ricky in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
ek dard yahan hai ek dard wahan hai by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dard Ko Dard Men Dekha by syednaami in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
Style_guru
Guest
«Reply #481 on: November 29, 2006, 03:54:53 PM »
The Style Guru Says......


Well Said Janasheen Bhai!!
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #482 on: November 30, 2006, 08:37:06 AM »
Well said all..

Bhoot Khoob Tabassum ,

"
phoolon ki tarah jama hain is kunj me ham aaj
kal khushboo ki manind bikhar jayenge ham log

jis tarah guzarta hai koi vadiye gul se
is dard ki vaadi se guzar jaege ham log

kal ham na rahenge magar ye harf rahenge
bas is tarah kagaz pe bikhar jaenge ham log

"

Gam Saath Calaygaa Jab tak chalay gay hum log,
Yaa dard kaa silseela toutaygaa jab naa Hogay Hum log..

Ques...
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #483 on: December 03, 2006, 05:55:44 PM »
  thanx  janasheen  bhai aur thanx a lot qutub ji



    main hun khaamosh is gham se ki verna log dekhenge
suna to hai sabhi ne bas tamaasha log dekhenge

hai ik armman bas apna bharm duniya ka rah jaae
jo jaae jaan to jaae na herf aae ye dekhenge

bahut mushkil hai sah jana bahut aasaan hai kah dena
pade dil pe hain chhale se unhe bhi hans ke dekhenge

ye thi kya zindagi koi na bachpan na jawaani thi
sabhi rote se bas aaye socha khushi ko dekhenge

chalin hon aandhiya si jab to gushan yun ujaddate hain
in aankho ne jo dekha hai use kya log dekhenge
     
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #484 on: December 04, 2006, 05:51:22 AM »
Well said Again Tabassum ...

Dard Nay Tayraa Mujhay Gamgee Banaa Deyaa..
Tunay keeyaa jo Bayaa, Mujkoo Rulaa Deyaa...

Ques...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #485 on: December 04, 2006, 06:07:20 AM »
Kuch Tou Ehsaas-e-Ziyaan Thaa Pehley
Dil Ka Ye Haal Kahaan Thaa Pehley


Ab Tou Jhaunkey Se Larz Uthhta Houn
Tishna Khwaab-e-Garaan Thaa Pehley

 
Ye Alag Baat Ke Gham Raas Hein Ab
Iss Mein Andesha-e-Jaan Thaa Pehley

 
Ab Bhi Tuu Pass Hey Lekin
Iss Qadar Dour Kahaan Thaa Pehley

 
Derey Daley Hein Bagaulon Ne Jahan
Iss Taraf Chashma Rawaan Thaa Pehley

 
Ab Woh Darya, Woh Hasti Na Woh Laug
Kya Khabar Kaun Kahaan Thaa Pehley


N/M

Ques...
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #486 on: December 05, 2006, 06:33:30 PM »
thanx qutub ji aur bahut khoob share kiya aapne

vo hamse yun aashna tha pahle
ki dhadkano me uski bhi hamara naam tha pahle

magar phir yun hua ki kya kahen ab kah nahi sakte
vagrna chahaton me usaki apna naam tha pahle

badalna tha jise badla nahi badle to ham badle
vo dil me aaj bhi vaisa hi hai jaisa ki tha pahle

gai gar jaan bhi  apni to  aankhon me vahi hoga
vahi hansta sa ik chehra hamare sath tha pahle
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #487 on: December 06, 2006, 03:16:26 PM »
The Style Guru Says........



Ishq Me Zakhm Paaye Hain Aise,
Zindagi Ek Saza Ho Gayi Jaise,

Wo Gaye Bhi To Aisi Tauhmaten De Kar,
Hum Hi Bewafa Ho Gaye Jaise,

Har Shab Unke Istaqbaal Me,
Dard Ki Imtehaan Ho Gayi Jaise,

Wo Aag Aisi Laga Gaye Waqt-e-Rukhsat,
Chahat Jal Ke Dhuan Ho Gayi Jaise....
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #488 on: December 06, 2006, 03:38:46 PM »
   herf banate rahe hain lafz aise
bolna ham to bhoolen hain jaise

teri chahat ko bas hain likhte rahe
bol paaen ise bata kaise?

ishq apna dhuaan dhuaan jaisa
tazadam isame main rahun kaise?

koi ilzaam na shubha tujh par
chahaten apni tujhse kuchh aise

likhti aai hun saath tere bas
tere jaisa magar likhun kaise?      
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #489 on: December 08, 2006, 12:34:38 PM »
The Style Guru Says.....



Dard Jab Hadh Se Badha To Muskura Gaye,
Hum Apne Hi Saaye Ko Dekh Kar Ghabra Gaye,


Wo Teri Nazar Thi Ya Falak Ka Ishara,
Teer Teri Nazron Ke Hum Hanste Hue Kha Gaye,


Hui Jab Jard Ki Imtehaan Mere Dil Par,
To Dard Hi Marham Ban Kar Dil Pe Chaa Gaye,


Ek Aarzu Thi Ki Tujhse Phir Deed Ho Jaaye,
Ye Aarzu Liye Hi Mere Saare Armaan Murjha Gaye,


Ek Din Jab Lagi Tere Raqeebon Ki Mehfil,
To Hum Bhi Apni Qabr Se Uth Tere Dar Par Aa Gaye....
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #490 on: December 08, 2006, 02:01:50 PM »
bahut khoob


har kali gar gulab ho jaae
shakhe gul mahtaab ho jae

UNKE khat hamne kho diye verna
ik mukammal kitaab ho jaae

ek halki si muskurahat hi
sou gulon ka javaab ho jaae      
Logged
Roja
Guest
«Reply #491 on: December 09, 2006, 02:54:05 AM »
Quote from: "Style_guru"
The Style Guru says:


kaha tha tum say...mera intezaar na karna
duniya chahe jo kahe tum aitbaar na karna

aisa ho chuka hai kayi bar pehlay bhi
ab ki bar tum koi bhi sawal na karna

din raat kat rahey hein ab to ussi k khyal mein
wo lamhein wo ratein,unko yaad bar bar na karna

zindagi tanhi hi sahi..kat rahi hai ab tak
kis ne keh diya tha mohbat ka izhaar na karna....


nice one guru ji..and tabassum di..

Dard pehlu main palta raha raat ber
Tere khathir mai jalthi rahii raat ber

Aasuwon main dubakar jo tum chal diye
Bekhudi main mai chalthi rahii raat ber

Shaam se hii udasi thi chayee huyee
Gam tumara satata rahaa raat ber

Khushq thi aankh dil ro rahaa tha magar
Ashq apne chupathi rahii raat ber

Kwaab jiske "Roja" ne dekhe sada
Chand wo bhi jalata rahaa raat ber...!! :cry:
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #492 on: December 11, 2006, 07:14:49 AM »
Well said all..

Ques....
Logged
paani
Guest
«Reply #493 on: December 11, 2006, 11:48:49 AM »
wah guru
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #494 on: December 17, 2006, 01:28:40 PM »
thanx malli and qutub ji


SHAAM AAI JHOOM KE PHIR AANKH ME AANSUN MERE
SHAAM KO MAIN DEKH PAAUN KAISE KAH AB BIN TERE
DIL KE SAARE ZAKHM HANSATE DEKH KE HALAT MERI
JAAN KI YE KASHMAKASH BHI AANKH SE ZAHIR MERI
SHAAM BHI AFSURDA SI PHIR DHAL GAI YUN RAAT ME
AAJ BHI DIL KO YAQEEN HAI TERI JHOOOTHI BAAT ME
SHAAM AB ZYADA KAHAN HAIN ZINDIGI KI SHAAM HAI
WAQT E AKHIR LUB PE MERE EK TERA HI NAAM HAI
JANEJA AB HAM NAHI HAM TERI EK TASVEER HAIN
SEKADON TOOTE HUE KHWABON KI EK TAABIR HAIN
KHWAAB KYUN TOOTA HAMARA YE NA HAMSE POOCHHNA
NA KABHI AB TU PALAT KE MERI JANIB DEKHNA
AAH BHI NIKALE NA LUB SE DARD KA VO DOUR HAI
TU MOHABBAT ISKO NA KEHNA KE YE KUCHH AUR HAI ..........................
Logged
Pages: 1 ... 29 30 31 32 [33] 34 35 36
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 12:30:24 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer