.*.*.*Dard hi Dard.*.*.*

by Style_guru on November 18, 2005, 02:46:50 PM
Pages: 1 ... 31 32 33 34 [35] 36
Print
Author  (Read 34364 times)
waheed_rose2004
Guest
«Reply #510 on: January 10, 2007, 06:04:15 PM »
vdery  nice  work  Tabassum jee.....  Style Guru
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dard by zindagi_kal_ho_na_ho in Shayri-E-Dard
dard dard ki had mein by husain52 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Dard ne itna dard diya by Ricky in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
ek dard yahan hai ek dard wahan hai by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dard Ko Dard Men Dekha by syednaami in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
tabassum shakeel
Guest
«Reply #511 on: January 10, 2007, 06:36:56 PM »
   thanx waheed ........

 kyun un pe aitbaar na toote hai doston
sou zakhm leke dil mera roothe na doston

daaman pe ude unke na mere lahu ke daag
ye ek fikr dil pe bas taari hai doston

ab waqt na itna hai ki shikve karen tumse
ab bas hai ik iltija ye tumse doston

jo dil hain gham se choor na unke paas jaaiye
aisa na ho ki aankh ho nam sabki doston
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #512 on: January 10, 2007, 06:37:53 PM »
shaam se judta gaya naam ek shaam ke baad
justju jisaki na ki dil me rakha shaam ke baad

khwaab e paikar me mere yun sa utarna uska
muskurana bhi vo kaisa tha bhala shaam ke baad

na koi ahad, na paima, na hi chahat koi
ek ajab vaada rahaa usase sada shaam ke baad

bhoolne me bhi use ujalaten dekho kitani
silsila ek puraana tha gaya shaam ke baad

ab shabistaan me rotin hain kyun yaaden usaki
jab raha saath na vo ek ajab shaam ke baad


Logged
Style_guru
Guest
«Reply #513 on: January 15, 2007, 01:17:55 PM »
The Style Guru Says.....



Yoon to humsafar bhi hain-Humnawa bhi WO hain,
Mere tamaam dard bhi hain-Dawa bhi WO hain,

Mere chehre pe padti har shikan bhi WO hain,
Mere dil se uthne wali har Dua bhi WO hain,

Wahi hain mere ragon me behne waala Lahu,
Mere khuda se meri har Ilteza bhi WO hain,

Wahi hain mere Zehen me lagne wali aag,
Mere dil se uthne wala Dhuaan bhi WO hain,

Kabhi WO ban jaate hain Dil-e-Qaraar hamare,
Kabhi de ke Dil-e-Beqarari Imtehaan bhi WO hain,

Hai kaisa ajab ki WO har pal saath hain mere,
Jo gaye Khuda ke paas to Wahan bhi WO hain.....




[/size]
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #514 on: January 16, 2007, 07:36:49 AM »
very nice ye tumhara favourite song ......aage ke kuchh stanzas likhe hain ........ye song to aap sabne hi suna hoga .....isaki dhun bhi sab ko hi yaad hogi... ye ek koshish hai usi song ke kuchh aur stanzas likhne ki ise ham usi dhun me gaa sakte hain.............



ye dil ki daastan hai
likh sake jise na ham
lafz ashq ban gaye
tham chuki hai ye qalam
ik nigaah aise thi
phool lafz banate the
jo likha use likha
ab kaho likhen kya ham

fizan bhi hai javaan ................................

kuchh khyaal saath hain
saath me jo jaaenge
laakh koshishen karen
ab na likh sakenge ham
dhadkane gavaah hain
teri yaad ki sanam
yaad saath bas teri
saans jaaegi ye tham

fizaan bhi hai ........................

najaane kaise aahaten
bulati hamko hain sanam
ye mout ke badhate qadam
ye muskurate ham sanam
ye saath apna mukhtasir
ye dilme chahaten javaan

suna raha hai ye sama................

hai waqt itna ab kahaan
ki rootho tum manaye ham
haan chhod silsile ye bas
ki baaz aaye inase ham
mana sake na tu hame
jo roothen ek baar ham

suna raha hai ye sama.......................


ham ungaliyon pe gin saken
bas itani shaamen baqi hai
ki uname kitani roothi hain
zara bata bhi de sanam
jo roothi hain unhe bhula
zara sa tu ab muskura

suna raha hai ye samaa.....................
Logged
paani
Guest
«Reply #515 on: January 18, 2007, 11:35:19 AM »
Very nice SG...
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #516 on: July 20, 2007, 10:24:04 AM »
The Style Guru Says.....



Dil Me Teri Chahat Ke Armaan Rakhte Hain,

Jo Khuda Ko Pasand-Wo Imaan Rakhte Hain,


Bahut Gehra Hai Dariya Mere Sabr Ka ‘Tarun’,

Zakhm Kha Ke Bhi Chehre pe Muskan Rakhte Hain,


Humne Hoton Ki Larzish Bhi Qaabu Kar Li,

Mehfil-eDushman Bhi Qaabu-e-Zuban Rakhte Hain,


Meri Kahani Me Koi Naya Qirdar Na Aaya Par,

Harf Dar Harf Ek Naya Anzaam Rakhte Hain,


Na Doston Se Bani Na Dushmano Se Thani,

Hum Ji Kar Bhi Maut Sa Itmenaan Rakhte Hain…
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #517 on: July 20, 2007, 08:15:28 PM »
Quote from: "Style_guru"
The Style Guru Says......


Arz-e-Gustakhi hai,


Theher Jaao Ki Gulshanon Ke Nazaare Abhi Baaki Hain,
Mere Baaghon me aani Bahaaren Abhi Baaki Hain,

Yaad Kar Apna Muddaton Ke Saath Ka Vaada,
Meri Kashti Na Chhod Ki Kinaare Abhi Baaki Hain,

Ho Teri Raza To Main Apni Rooh Aazad Kar Doon,
Ye Aur Baat Ki Chand Din Hamare Abhi Baaki Hain,

Tujhe Jaate Hue Bhi Duayen Deta Hai Ye Dil Mera,
Tu Chala Gaya Par Gham Tumhare Abhi Baaki Hain,

Hai Aaj Bhi Teri aas Liye Dil Me Baitha 'Tarun' Wahin,
Kam Hua Faasla Par Chand Deewaren Abhi Baaki Hain....

BAHUT KHOOB TARUNJI...BAHUT ACHA LIKHA HAI AAPNE....
Logged
syednaami
Guest
«Reply #518 on: May 05, 2008, 03:18:38 AM »


nice one guru ji..and tabassum di..

Dard pehlu main palta raha raat ber
Tere khathir mai jalthi rahii raat ber

Aasuwon main dubakar jo tum chal diye
Bekhudi main mai chalthi rahii raat ber

Shaam se hii udasi thi chayee huyee
Gam tumara satata rahaa raat ber

Khushq thi aankh dil ro rahaa tha magar
Ashq apne chupathi rahii raat ber

Kwaab jiske "Roja" ne dekhe sada
Chand wo bhi jalata rahaa raat ber...!! :cry:


Kuchh likhon par rota hai yeh dil, -
Tere haal-e-dil ko padhke aankhen hui nam, -
Jo likha hai tumne woh lajawaab hai nazam, -
Tu apne dard men mujhe bhi shareek kar, -
Aur dede mujhe tu apne saari umr ke gham. -


(Syed Naami)
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #519 on: May 08, 2008, 08:31:40 AM »
Nice One Sabne Bakhoob Kamaal Ka Likha Hai,. Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #520 on: May 08, 2008, 08:32:49 AM »
Shehar Mein Dhoond Raha Hoon Ke Sehra De De,.
Koi Haatim Jo Mere Haath Mein Kaasa De De,.

Ped Sab Nange Faqeero'n Ki Tarah Sehme Hain,
Kis Se Ummeed Ye Ki Jaaye Ki Saaya De De,.

Waqt Ki Sangzani Noch Gayee Saare Naqoosh,
Ab Wo Aaeena Kahaa'n Jo Mera Chehra De De,.

Dushmano ki Bhi Koi Baat To Sach Ho Jaaye,
Aa Mere Dost Kisi Din Mujhe Dhoka De De,.

Main Bahot Jald Hi Ghar Laut Ke Aa Jaaunga,
Meri Tanhayee Yahaa'n Kuch Dino'n Pehra De De,.

Doob Jaana Hi Muqaddar Hai To Behtar, Warna,.
Tune Patvaar Jo Chheeni Hai To Tinka De De ,.

Jis Ne Qatro'n Ka bhi Mohtaaj Kiya Mujhko,.
Wo Agar Josh Mein Aa Jaaye To Dariya De De,.

Tum Ko "Rahat" Ki Tabiyat Ka Nahi'n Andaaza
Wo Bikhaari Hai Magar, Maango To Duniya De De,.

_______________________________-Rahat-
Logged
syednaami
Guest
«Reply #521 on: May 08, 2008, 01:44:38 PM »
Buhat shukriya taareef ka janab.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #522 on: May 14, 2008, 12:04:20 PM »
U Are Welcome Ji,.
Logged
Roja
Guest
«Reply #523 on: May 14, 2008, 12:12:53 PM »
Kuchh likhon par rota hai yeh dil, -
Tere haal-e-dil ko padhke aankhen hui nam, -
Jo likha hai tumne woh lajawaab hai nazam, -
Tu apne dard men mujhe bhi shareek kar, -
Aur dede mujhe tu apne saari umr ke gham. -


(Syed Naami)

Diwane ki tarah apne hi darr main
Mayus thi mai talthi sehar mein
Hawa sansanate chalne lagi thi
Ghatawon main bijli jalne lagi thi
Andhera tha chaya, meri nazar main..

Kadam ut rahe they magar paav they woh
Kaleje pe ghayal bade ghav they woh
Gam-e-dard ki hi dawa aa rahi thi
Mera ghar jalane hawa aa rahi thi
Sab mujhpe hasne lage they
Tha kohram aaya mere hi ghar main..
Logged
syednaami
Guest
«Reply #524 on: May 14, 2008, 12:35:36 PM »
Yet to say but not to stay
My words have no ending bay
Your boat always goes stray
What should I say more here --
When my answer was a sway.


(Syed Naami)
Logged
Pages: 1 ... 31 32 33 34 [35] 36
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 06:25:31 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.208 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer