Dard hi Dard....

by Aryaan on January 18, 2005, 01:31:51 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1964 times)
Aryaan
Guest


Jism ke ek koney mein dil hai hum sabke paas
Maloom nahi zinda hain ya marr gaye iss ke ehsaas

Samajhte hain hum sab khud ko darya dil
Lekin raah mein ek chota bacha gaya mil

Uss ne meri puri soch badal di
Mere ehsasaat ko ek nai zindagi di

Woh masoom sa bacha sarak kinare kuch dhoond raha tha
Sardi ke maare woh buri tarha thatharr raha tha

Poochne par pata chala dhoond raha tha woh kuch khaane ko
Main ne kaha kyun zehar dhoond rahe ho marr jaane ko

Tan pe kuch phate huwe kapre they uss ne pehne
Haath mera thaam kar laga woh kehne

Bhaiya bohat dino se kuch khaya nahi hai
Sarr pe mere maaN baaP ka saaya nahi hai

Ro rahi hai bhook ke maare meri teen saal ki behna
Kuch khaaye baghair mushkil hai usska chup rehna

Yeh sunn ke mera kaleja phat gaya
Reh gaya main bus saktey mein khara

Sochne laga ho sakta hai duniya mein itna dard kaisey..
Yeh soch kar usske hath mein thama diye main ne kuch paisey

Khushi se woh bola, kuch kaam do ge tau karoon ga
Saari umr aapko duaayein deta rahoon ga

Usski khuddaari mere dil ko choo gai
Dard mein usski himmat mere dil mein utar gai

Main ne ussey poocha parhne kahan jaate ho
Woh bola sahab kyun ghareeb ka mazaaq uraate ho

Ban-na chahta hoon doctor ek sacha
Kar sake ilaaj bin paison ke bhi acha

Kuch soch kar unn dono ko main apne ghar le aaya
Usski zindagi sanwaarne ka maQsad dil mein banaya

Mere bharose ko uss ne pura kar dikhaya
Apni mehnat se doctor ban ke saamne aaya

Khushi ke maare main phoola nahi samaaya
Mere pair chuwe uss ne, main ne ussey gale se lagaya

Yeh waqea mere dil pe sawaal gehra kar gaya
Sochne par majboor kiya
KYA INSAAN APNE EHSASAAT MEIN MARR GAYA..

Kitne bache hain jinhe koi sahara mil jaaye
Ek acha shehri aur insaan ban ke woh dikhlaye

Kitne lachaar hain log, jinki zindagi ek andhera hai
Unhein zaroorat hai hamari hum unnka sawera hain

Mere dil mein sirf ek sawaal hai
Parhe likhe hain hum phir bhi
Bhoole hain insaniyat ke khayaal ko

Aao mil ke iss jahan ke dard ko baantein
Dard ke sookhey jungle ko pyaar se kaatein..
     
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dard by zindagi_kal_ho_na_ho in Shayri-E-Dard
dard dard ki had mein by husain52 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Dard ne itna dard diya by Ricky in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
ek dard yahan hai ek dard wahan hai by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dard Ko Dard Men Dekha by syednaami in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
pandit
Guest
«Reply #1 on: January 18, 2005, 02:19:36 PM »
Quote from: "Aryaan"


Jism ke ek koney mein dil hai hum sabke paas
Maloom nahi zinda hain ya marr gaye iss ke ehsaas

Samajhte hain hum sab khud ko darya dil
Lekin raah mein ek chota bacha gaya mil

Uss ne meri puri soch badal di
Mere ehsasaat ko ek nai zindagi di

Woh masoom sa bacha sarak kinare kuch dhoond raha tha
Sardi ke maare woh buri tarha thatharr raha tha

Poochne par pata chala dhoond raha tha woh kuch khaane ko
Main ne kaha kyun zehar dhoond rahe ho marr jaane ko

Tan pe kuch phate huwe kapre they uss ne pehne
Haath mera thaam kar laga woh kehne

Bhaiya bohat dino se kuch khaya nahi hai
Sarr pe mere maaN baaP ka saaya nahi hai

Ro rahi hai bhook ke maare meri teen saal ki behna
Kuch khaaye baghair mushkil hai usska chup rehna

Yeh sunn ke mera kaleja phat gaya
Reh gaya main bus saktey mein khara

Sochne laga ho sakta hai duniya mein itna dard kaisey..
Yeh soch kar usske hath mein thama diye main ne kuch paisey

Khushi se woh bola, kuch kaam do ge tau karoon ga
Saari umr aapko duaayein deta rahoon ga

Usski khuddaari mere dil ko choo gai
Dard mein usski himmat mere dil mein utar gai

Main ne ussey poocha parhne kahan jaate ho
Woh bola sahab kyun ghareeb ka mazaaq uraate ho

Ban-na chahta hoon doctor ek sacha
Kar sake ilaaj bin paison ke bhi acha

Kuch soch kar unn dono ko main apne ghar le aaya
Usski zindagi sanwaarne ka maQsad dil mein banaya

Mere bharose ko uss ne pura kar dikhaya
Apni mehnat se doctor ban ke saamne aaya

Khushi ke maare main phoola nahi samaaya
Mere pair chuwe uss ne, main ne ussey gale se lagaya

Yeh waqea mere dil pe sawaal gehra kar gaya
Sochne par majboor kiya
KYA INSAAN APNE EHSASAAT MEIN MARR GAYA..

Kitne bache hain jinhe koi sahara mil jaaye
Ek acha shehri aur insaan ban ke woh dikhlaye

Kitne lachaar hain log, jinki zindagi ek andhera hai
Unhein zaroorat hai hamari hum unnka sawera hain

Mere dil mein sirf ek sawaal hai
Parhe likhe hain hum phir bhi
Bhoole hain insaniyat ke khayaal ko

Aao mil ke iss jahan ke dard ko baantein
Dard ke sookhey jungle ko pyaar se kaatein..
     


wah  aryaan...
kya khoob zamaane ki hakikaton se parda uthaya hai,
is zamaane ke pathar dil insaano ko jagaya hai,
agar ho gaye kuch aur aap jaise log,
to garv se keh sakenge hum log,
ki humne aone aadarsho ko ohir se apnaya hai. Puzzled !
Logged
pandit
Guest
«Reply #2 on: January 18, 2005, 02:20:22 PM »
Quote from: "Aryaan"


Jism ke ek koney mein dil hai hum sabke paas
Maloom nahi zinda hain ya marr gaye iss ke ehsaas

Samajhte hain hum sab khud ko darya dil
Lekin raah mein ek chota bacha gaya mil

Uss ne meri puri soch badal di
Mere ehsasaat ko ek nai zindagi di

Woh masoom sa bacha sarak kinare kuch dhoond raha tha
Sardi ke maare woh buri tarha thatharr raha tha

Poochne par pata chala dhoond raha tha woh kuch khaane ko
Main ne kaha kyun zehar dhoond rahe ho marr jaane ko

Tan pe kuch phate huwe kapre they uss ne pehne
Haath mera thaam kar laga woh kehne

Bhaiya bohat dino se kuch khaya nahi hai
Sarr pe mere maaN baaP ka saaya nahi hai

Ro rahi hai bhook ke maare meri teen saal ki behna
Kuch khaaye baghair mushkil hai usska chup rehna

Yeh sunn ke mera kaleja phat gaya
Reh gaya main bus saktey mein khara

Sochne laga ho sakta hai duniya mein itna dard kaisey..
Yeh soch kar usske hath mein thama diye main ne kuch paisey

Khushi se woh bola, kuch kaam do ge tau karoon ga
Saari umr aapko duaayein deta rahoon ga

Usski khuddaari mere dil ko choo gai
Dard mein usski himmat mere dil mein utar gai

Main ne ussey poocha parhne kahan jaate ho
Woh bola sahab kyun ghareeb ka mazaaq uraate ho

Ban-na chahta hoon doctor ek sacha
Kar sake ilaaj bin paison ke bhi acha

Kuch soch kar unn dono ko main apne ghar le aaya
Usski zindagi sanwaarne ka maQsad dil mein banaya

Mere bharose ko uss ne pura kar dikhaya
Apni mehnat se doctor ban ke saamne aaya

Khushi ke maare main phoola nahi samaaya
Mere pair chuwe uss ne, main ne ussey gale se lagaya

Yeh waqea mere dil pe sawaal gehra kar gaya
Sochne par majboor kiya
KYA INSAAN APNE EHSASAAT MEIN MARR GAYA..

Kitne bache hain jinhe koi sahara mil jaaye
Ek acha shehri aur insaan ban ke woh dikhlaye

Kitne lachaar hain log, jinki zindagi ek andhera hai
Unhein zaroorat hai hamari hum unnka sawera hain

Mere dil mein sirf ek sawaal hai
Parhe likhe hain hum phir bhi
Bhoole hain insaniyat ke khayaal ko

Aao mil ke iss jahan ke dard ko baantein
Dard ke sookhey jungle ko pyaar se kaatein..
     
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #3 on: January 18, 2005, 07:26:45 PM »
Thanx  Pandit.....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: January 18, 2005, 07:45:29 PM »
wah!!!! bahoot khoob bahoot achy Aryaan!!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #5 on: January 19, 2005, 12:28:01 AM »
Bohat shukriya Pooja...
Logged
Princess21
Guest
«Reply #6 on: January 19, 2005, 12:35:27 AM »
nice all!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #7 on: January 19, 2005, 04:03:55 AM »
Thanks Princess...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #8 on: January 19, 2005, 07:41:22 AM »

Bahain ashk kyun tumhare inhe rok lo khudara
Mujhe dukh qubool saare, ye situm nahi gawaara
Main gham-o-alam ki maujon se ulajh raha hoon tanha
Mujhe aa ke do sahaara mujhe thaam lo khudara
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: January 19, 2005, 10:24:51 PM »
wah!!!! bahoot khoob!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #10 on: January 21, 2005, 07:17:55 PM »
Shukriya  Pooja.....Usual Smile
Logged
TAMANNA-e-mohabbat
Guest
«Reply #11 on: May 10, 2008, 09:11:25 PM »
wah wah bahut KHOB....
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #12 on: July 05, 2008, 09:49:00 PM »
Thanks Tamanna...
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #13 on: July 06, 2008, 03:08:08 AM »
Quote
Jism ke ek koney mein dil hai hum sabke paas
Maloom nahi zinda hain ya marr gaye iss ke ehsaas

Samajhte hain hum sab khud ko darya dil
Lekin raah mein ek chota bacha gaya mil

Uss ne meri puri soch badal di
Mere ehsasaat ko ek nai zindagi di

wah wah Aryaan jee bahut accha likha hai aapne.  Applause
Logged
sarthika
Guest
«Reply #14 on: July 06, 2008, 04:16:02 AM »
bahoot khon Aryaan, bhoot he achi kavita likhi hai apne!!!
bahoot sahi kaha:

Kitne lachaar hain log, jinki zindagi ek andhera hai
Unhein zaroorat hai hamari hum unnka sawera hain
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 01:06:44 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer