DARD K PHOOL

by fakharenaveed on March 14, 2005, 02:24:52 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 681 times)
fakharenaveed
Guest
dard ke phuul bhii khilate hain bikhar jaate hain
zakhm kaise bhii hoon kuchh roz mein bhar jaate hain

us dariiche mein bhii ab koii nahiin aur ham bhii
sar jhukaae hue chup-chaap guzar jaate hain

raastaa roke khadii hai yahii ulajhan kab se
koii puuchhe to kahein kyaa ki kidhar jaate hain

narm aavaaz bhalii, baatein mohazzab lahaje
pahalii baarish mein hii ye rang utar jaate hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Phool by yasir_sensitive in Shayri-E-Dard
PHOOL by muneeb in Shayri for Khumar -e- Ishq
Phool by Faqeer in Shayri-E-Dard
!!! || Dard Ke Phool || !!! by jeenu in Shayri-E-Dard
Dard ke phool by kamal.shayari in Share Poetry You Like
dhadkan
Guest
«Reply #1 on: March 14, 2005, 07:00:00 AM »
very nice Fareeeee...
Logged
dolly
Guest
«Reply #2 on: March 14, 2005, 08:07:57 AM »
Nice one Naveed..
Logged
HumTum
Guest
«Reply #3 on: March 14, 2005, 09:25:17 AM »
Quote from: "fakharenaveed"
dard ke phuul bhii khilate hain bikhar jaate hain
zakhm kaise bhii hoon kuchh roz mein bhar jaate hain

us dariiche mein bhii ab koii nahiin aur ham bhii
sar jhukaae hue chup-chaap guzar jaate hain

raastaa roke khadii hai yahii ulajhan kab se
koii puuchhe to kahein kyaa ki kidhar jaate hain

narm aavaaz bhalii, baatein mohazzab lahaje
pahalii baarish mein hii ye rang utar jaate hai

tabiyat hamare dil ki hai nasaaz aajkal
dhadkan hamari humse hai naraaz aajkal

pehle to humko dekh ke moonh pher letay thay
kya baat hai badlay se hain andaz aajkal

HumTum
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #4 on: March 14, 2005, 07:59:54 PM »
THANK YOU DHADKAN   DOLLY AND   HUM TUM
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #5 on: March 14, 2005, 08:00:16 PM »
Zara socho kissay apnaao gay jab hum nahi hongay...
Akelay tum bhi to reh jaao gay jab hum nahi hongay....
Faqat afsos milnay kay siwa kuch bhi nahi hoga....
Humain kho kay bohat pachtaao gay jab hum nahi hongay....
Dum aankhon main ruka hai dum ghaneemat hai ye aajao....
Na aaye ab to phir kab aao gay jab hum nahi hongay??
Humaray baad tanhaai bohat tarpaye gi tum ko aai dost....
Akelay bohat ghabraao gay jab hum nahi hongay...
Jo lamhay beet jatay hain kabhi wapis nahi aatay...
Kahan say phir humain laao gay jab hum nahi hongay...
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #6 on: March 14, 2005, 08:01:41 PM »

«Reply #7 on: March 15, 2005, 01:40:14 AM »
Kabhi kisi ko apne dil ka haal sunaya na kero
Kabhi Kisi ko apne ghum dikhaya na karo
Yeh is duniya ka aasul hai
Kay is duniya kay log behaasul hain
Inhein aapne pass bittaya na kero
Inhein aapni kahani sunaya na kero
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 05:35:40 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.133 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer