DARD KA EHSAAS NA HOTA..........

by khwaish on October 16, 2007, 06:35:17 PM
Pages: 1 [2] 3 4  All
Print
Author  (Read 4554 times)
Roja
Guest
«Reply #15 on: October 30, 2007, 11:29:56 PM »
Bahut khoob  =D>
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
bolne waale ko ehsaas hi kab hota hai. by pankaj_pups in Shayri-E-Dard
kahan dard-e-dil dard se nashaad hota hai by @kaash in Ghazals « 1 2  All »
dard ko bhi dard hota hai !!! by sarfira in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
dil ke zakhmo'n ka jab ehsaas mujhe hota hay by Syed Mohd Mahzar in Miscellaneous Shayri
dard kaa ehsaas nahee hota by jeet jainam in Miscellaneous Shayri
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #16 on: October 31, 2007, 03:48:38 PM »
BAHUT BAHUT SUKRIYA ROJA....

JEENE KA EK NAYA ANDAAZ LE KAR LAUTA
DIL MEIN EK CHUPA HUA EHSAAS LE KAR LAUTA
WOH DIYA JO JALTA RAHA AURO KI ROSHNI KE LIYE
BUJH JAANE PAR BHI,LOGO KI DUA LE KAR LAUTA
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #17 on: December 05, 2007, 04:46:39 PM »
BHOOLA KAR MUJHE,
WOH KHUSH TO REH PAAYENGE..

SAATH MERE NAHI TO KYA?
MUJHSE BICHADNE KE BAAD TO MUSKURAYENGE..

HAMARA KYA HAI?
HUM TANHAI MEIN,
USSE YAAD KARKE AANSU BAHAYENGE..


DUA HAI MERI KHUDA SE,
USSE KOI GHAM NA DENA,
HUM TO SEH GAYE,
PAR WOH TOOT JAAYENGE..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #18 on: January 20, 2008, 08:48:21 AM »
mukaddar mein nahi tha pyaar tera
hum phir bhi apni kismat azmaate rahe
log yahan khushiyon se sajate hai apne jeevan ko,
hum dard se apni zindagi sajaate rahe
Logged
lovely_ash
Guest
«Reply #19 on: January 20, 2008, 02:54:42 PM »
very nice khwaish tanx
Logged
punam
Guest
«Reply #20 on: January 21, 2008, 11:38:44 AM »
ek se badh kar ek likha aap ne khwaish ji..bahot khoob..

Kho gaya woh har ek khwaab jo juda tha aap se..
beh gaye saare armaan ashq bankar aankhon se...

ujad gaya hai premnagar kisi zalzale me...
ab rakha kuch nahi dard k siva iss zindagi me..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #21 on: January 21, 2008, 05:17:38 PM »
ek se badh kar ek likha aap ne khwaish ji..bahot khoob..

Kho gaya woh har ek khwaab jo juda tha aap se..
beh gaye saare armaan ashq bankar aankhon se...

ujad gaya hai premnagar kisi zalzale me...
ab rakha kuch nahi dard k siva iss zindagi me..


Bahut bahut shukriya punam aapka...aap ne yeh thread mein likha,hamari khuskismati Usual Smile..bahut khoob..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #22 on: January 21, 2008, 05:18:41 PM »
thanx a lot ash for appreciating
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #23 on: January 21, 2008, 05:23:30 PM »
AAPSE DOOR JAANE KA IRAADA NA THA
SADA SAAATH REHNE KA AAPSE VAADA JO THA...

AAP KABHI YAAD NA KAROGE,
YEH JAANTE THE HUM,
PAR ITNA JALDI BHOOL JAOGE
YEH ANDAAZA NA THA...
Logged
punam
Guest
«Reply #24 on: January 22, 2008, 01:45:26 PM »
thanx khwaish ji...
bahot hi acha likha aap ne...

chahat thi woh sada saath rahe
bhool pana unhe mumkin hi nahi..

chahat thi ki khili dhoop mile
ghan ghan baraste baadal nahi..

rooth kar mujhse kuch aise chale
mud kar na dekhe kuch bole nahi...

meri chahat ko woh samjhe nahi
tohmat lagane se pehle kuch soche nahi..
Logged
syednaami
Guest
«Reply #25 on: January 22, 2008, 02:13:12 PM »
Pyar agar ek ehsaas na hota,
Dunya main koi dildaar na hota,
Aashiqui to pir bhi hoti magar,
Bichhadna bhi hota magar
Dard ka shayad ehsaas na hota.



ME

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #26 on: January 22, 2008, 08:36:19 PM »
thanx khwaish ji...
bahot hi acha likha aap ne...

chahat thi woh sada saath rahe
bhool pana unhe mumkin hi nahi..

chahat thi ki khili dhoop mile
ghan ghan baraste baadal nahi..

rooth kar mujhse kuch aise chale
mud kar na dekhe kuch bole nahi...

meri chahat ko woh samjhe nahi
tohmat lagane se pehle kuch soche nahi..


kya baat hai punam, bahut khoob..aapka reply

khuda jaane kyon yeh rishta nibhaata hoon main
kya unhe bhi yuh,din raat yaad aata hoon main?

pyaar ka anjaan kya hoga,sochkar seham jaata hoon main
par phir bhi har ek saans mein tujhe basata hoon main

jaanta hoon is kahani mein aakhri panha judai ka hoga
par phir bhi" khwaish" tere itne kareeb kyon aata hoon main
Logged
Pooja
Guest
«Reply #27 on: January 22, 2008, 08:52:36 PM »
wah kaya baat hai bahoot khoob:
jaanta hoon is kahani mein aakhri panha judai ka hoga
par phir bhi" khwaish" tere itne kareeb kyon aata hoon main

bahoot khoob khwaish ji!!!

chahat per nahi koi zor
yah ab samjh atta hai
tu nahi zindagi main
iska koi na arth rah jaata hai

her pal hai dil-o-deemag mai tu
her taraf tu hi tu to najar atta hai
ajj bhi akar mere khayal-o-khwabo mai
mujhko apni baho mai samet.ta chala jaata hai

beet rahi hai zindagi ajj bhi tere hi sung
dard ka ahsaas inhi mai simat kar rah jaata hai
juda hokar bhi main tujhse juda nahi
inhi khayalo main jeevan bit.ta jaata hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #28 on: January 22, 2008, 08:57:04 PM »
AAPSE DOOR JAANE KA IRAADA NA THA
SADA SAAATH REHNE KA AAPSE VAADA JO THA...

AAP KABHI YAAD NA KAROGE,
YEH JAANTE THE HUM,
PAR ITNA JALDI BHOOL JAOGE
YEH ANDAAZA NA THA...


bahoot khoob

kuch vaadein rah jaate hai sanso ke sath
jo kah kar bhi nichaye nahi jaate
kuch vaadein ho jaate hai khud ke ander
jo nibha kar bhi, kabhi dikhaye nahi jaate
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #29 on: January 22, 2008, 09:07:06 PM »
"beet rahi hai zindagi ajj bhi tere hi sung
dard ka ahsaas inhi mai simat kar rah jaata hai.....
[/quote]

kya yeh line kuch kam thi,bahut hi khoob pooja,bahut hi acha likha hai...

aise lagta hai jaise in labon ko ab pyaas nahi hai
zakhm to aaj bhi hai par dard ka ehsaas nahi hai

kaise izzazat doon unhe kareeb aane ki
jab khud ki kismat par bhi vishvaas nahi hai

zindagi mein agar tu mil jaati to koi to raazdaar hota
ab halaat kuch aise hai zindagi ke
khud se bhi chupa, koi raaz nahi hai...


Logged
Pages: 1 [2] 3 4  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 06:09:54 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.143 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer