dard ka paimana

by vikas2210 on April 10, 2006, 11:42:26 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2424 times)
vikas2210
Guest
mera dard tera dard
eh dard bada be-dard

shayron ke mahfil mai
sab kehte hai
mera dard bada hai tumse

issi baat par lik dete hai
gazale aur deewan

mai kahan jjaun kisse kahun
kaise kisi ko batooun
kitna dard hi mere dil mai

kaise katti hai raaten
kaise niklata hai din

in roti aankho ko kisko dikhaun
riste zakham dil ke kaise chupaun

dard ka koi paimana hota to
naap ke main bhi batata
kitna dard hai mere dil mai.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
paimana by neerajB in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mera Paimana....... by md.ayad in Kaifiyaat-ae-maye
Paimana (CSET) by MANOJ6568 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Paimana Mere Aansuo Se Bhar Jayega....SK by Shayaries_King in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Saaki mujhe bas ek paimana chaahiye....... by vipul kumar in Ghazals
Delicate_Doll
Guest
«Reply #1 on: April 10, 2006, 11:44:49 AM »
bahut he gheri shayari likhe ho vikas jee...bahut he khoob.........!!!
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #2 on: April 10, 2006, 11:54:46 AM »
salam ji shukriya bahut bahut

dard ka rishta mere dil se kuch aisa hai
jaise suraj ka chhand se
dard hai tabhi to dhadkta hai dil mera
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #3 on: April 10, 2006, 11:56:58 AM »
Excellent work Vikas ...
Keep it up ...
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #4 on: April 10, 2006, 11:57:59 AM »
JHL sukriya

kuch aap bhi likhte to aur bhi  acha lagta.......
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #5 on: April 10, 2006, 12:01:53 PM »
Mohabbat humse nidhayi na jaayegi,
Zamane se thokare khaayi na jaayegi,
Daastaan hamari zindagi ki unhe,
Apne hi muh se sunaayi na jaayegi ...
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #6 on: April 10, 2006, 12:09:16 PM »
Isq Da dhaya rabb ne kehar hai
dard mein dooba sara shehar hai

paimane darr paimane pe zindagi basar hai
zinda lash mein baaki naih koi kasar hai

meri takdeer se na milana apna mataam
iss kismat mein jaaney kitne kehar hain
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #7 on: April 10, 2006, 12:12:27 PM »
very nice JHL

dastan-e-mohabbat sunai nahi jaati
yeh to woh say hai jo chupai nahi jaati
zindgi se jo thi payari wo kabhi parayi nahi hoti
dil ke kareeb jo thi wo kabhi duur nahi hoti
Logged
mohsin akhter
Guest
«Reply #8 on: April 10, 2006, 01:22:38 PM »
har dard par ek wasile yaar hota
kash ke wo bewafa mera dildaar hota
main maut ko gale lagakar har raat ko sota
kam se kam bewafa zindagi se to door hota
Logged
roshni246
Guest
«Reply #9 on: April 11, 2006, 10:39:21 AM »
Jo mere saath tune kiya
Woh mera dil hi tha jo sehta gaya

Dard dil main aaj itna hua
aanso banker ankho se wo behta gaya

kis se mange bhala aaj hum apni khoshi ko
Pyaar tera bhi ab nafrat main badalta gaya

jo mere saath tune kiya
woh mera dil hi tha jo sehta gaya

meri khamoshiya bhi tujhko ab chobne lagi
Zeher teri zuban ka kaya kuch kahta gaya

saath chalne ke liye raaste bhi mil gai the
per chaar qadam tu aage ham se chalta gaya

kaisi teri mohbbat thi woh mere sanam
dushmano ke gale tu khood milta gaya

teri khatir ham tu sab se lad aye the
per hamare khilaaf kaya kuch tu sunta gaya

prachai bhi aaj ki roshni ko chopa rahi thi
usi maazi ke andhero main aaj bhi tu liptta gaya

teri liye nazro se aaj sabki gir gaye the hum
tere wastte chorda tha sabko aur tu hume hi chord gaya

itne qabil nahi hai ke thaam le aaj koi hame
ek teri waja se sara jhaa bewafa ban gaya


~roshni~
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #10 on: April 12, 2006, 10:08:39 AM »
wooooow Roshni very nice.   and mohsin ji good one.

Dard jo itna bhadha hai
ki aanshu tham gaye hai
ab ek maza sa aane laga hai
khawabo tu jo aane laga hai
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #11 on: April 12, 2006, 10:35:01 AM »
Pathar agar tha uska dil
To mera kaanch ka na banaya hota
Unhain pighalna nahi aaya to
Mujhe sambhalna hi sikhaya hota

Koi makaam hee na rahe to pata kiss kaam ka hai
Is bechain khamoshi ki wajah kya anjaam kya hai
Usse ja kay koi kahe mujhe le lena hai apni safai mein zehar bhee
Wo fakath ye to bata dain ke meri aaisii khata kya hai
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #12 on: April 12, 2006, 10:42:57 AM »
nirbhay ji   aap yahan aaye khuda ki kudrat hai.

kabhi hum aapki shayri ko kabhi apne thread ko dekhte hai.

neer bahut hi badhiyaaaaaaaaa.
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #13 on: April 12, 2006, 10:45:19 AM »
Quote from: "vikas2210"
nirbhay ji   aap yahan aaye khuda ki kudrat hai.

kabhi hum aapki shayri ko kabhi apne thread ko dekhte hai.

neer bahut hi badhiyaaaaaaaaa.



Hhehe Ye sabb kya hai bhai?? Mujhe yahan likhna mana hai kiya sad5
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #14 on: April 12, 2006, 10:54:14 AM »
arrrrrr bade bhaiiiiiiiii     aap aaye mehrbani aapki.........

u r most welcome dear.......
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:48:38 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer