DARD KA Saher

by paani on January 08, 2007, 03:56:08 AM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9
Print
Author  (Read 7337 times)
Roja
Guest
«Reply #60 on: April 14, 2007, 02:37:58 AM »
Le gaya cheenkar kaun mera sabbo karaar
Bekarari-e-dil mujhe kabhi aisi toh na thi?
[/color]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aai naseem-e-saher by javedarshad in Shayri for Khumar -e- Ishq
saher by muna massood in Shayri for Khumar -e- Ishq
Welcome saher by iAdmin in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
Ajnabi saher.. by Kohinoor in Shayri for Dard -e- Judai
saher mera ek maqbra by soudagar in Shayri-E-Dard
harshit101
Guest
HI
«Reply #61 on: April 14, 2007, 01:01:32 PM »
REALLY GUD ONE YAR,SIMPLY EXCELLENT
Logged
paani
Guest
«Reply #62 on: April 17, 2007, 05:19:12 AM »
Nice all ,Roja thanx Harshit ji..

Khud ko rula kar usski waffawon ka silla rakha
muskurahtaon ko chaha usski, per khud se gila rakha
ab ye shikve shikayten mushkil hai pichha chore mera
usski chaton ki chot ka asar ..k jakham ek aur naya mila.!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #63 on: April 17, 2007, 01:10:06 PM »
Good Ones Roja & Paani...
Logged
paani
Guest
«Reply #64 on: April 23, 2007, 04:39:19 AM »
Thanx a Lot Arryan. write ur two line also.. Khub roja ji..
Logged
Roja
Guest
«Reply #65 on: April 23, 2007, 10:07:12 PM »
Thanks Aryaan/Paani

Kya phir chale aaye meri hayaat main
Mera aashiyan nahi hai kul kainaat main
Pyar ki bathein kaise tumse kare o Bewafa Sanam
Ki lahoo tapakne laga hai mere jajbaat main..!!
[/color]
Logged
paani
Guest
«Reply #66 on: April 24, 2007, 04:25:42 AM »
Quote from: "Roja"
Thanks Aryaan/Paani

Kya phir chale aaye meri hayaat main
Mera aashiyan nahi hai kul kainaat main
Pyar ki bathein kaise tumse kare o Bewafa Sanam
Ki lahoo tapakne laga hai mere jajbaat main..!!
[/color]


so senti Roja..... khub
Logged
paani
Guest
«Reply #67 on: May 05, 2007, 05:16:46 AM »
tuze haasil ho saarwat jahan ki.. aur isqh bhi haasil ho
muze deja saare Gum apna .... dard meri inayaat kar ja..
youn na milega sukun tuze bhi.. iss Sahar mein..jahir hai
Sirf waqt ke haalat hai ye.. bus waqt ko deja
muhobat to ek bahana hai dil ka khali pan sajane ka
labo pe muhobat fir la kar kisi ko apnai kahani deja.....
Logged
paani
Guest
«Reply #68 on: May 08, 2007, 07:03:45 AM »
Ab teri muhobat ka hisaab koi chukaye bhi to kase..
Bahut jala hai dil yaad mein teri ..ab aur jalaye bhi to kase
Be-sabr dum bharta tha ..wo yaar wafa aur aytbaar ke kisson ka
KhudA se zuthen hai ye risten.. koi usse samzaye bhi to kase
Zindgi ke gulshan se churaai thi..phoolon ke khusbu mene
Ab viran hai gulshan  u ki .. koi isse lutaye bhi to kase
Bhige mausam se aati hai ..usske pyaar ki khusbu ab tak
Ajeeb hote hai ye mausam.. koi inhe sukhaye bhi to kase
Aakhon se bahte PAANI ne choden hai jo khaare se nishaan baaki
Ab ye raste ban gaye hai sada ke liye..koi inhe mitaye bhi to kase..
Ye ishq ka uthta dhuaan bhi maut se gutan deta hai. har baar
Har baar marta hu mai.. koi is gutan se bachaye bhi to kase..
 
Ab teri muhobat ka hisaab koi chukaye bhi to kase..
Logged
paani
Guest
«Reply #69 on: May 10, 2007, 05:18:38 AM »
Yahan Dard ke virane ne luut liye hai.. IshQ ke charag sab ke sab.!!
Ajeeb hai dard ka Sahar ye bhi.. Dillon ko roshan karte hai log muhobat jala kar .!!!!
Logged
paani
Guest
«Reply #70 on: June 07, 2007, 11:50:00 AM »
Duri aur duri darmayan ho bus fir se
dekhna palat kar.usse. ek baar haasil ho jaye

berukhi ke ucche paharon se lauta bhi hai koi
dua karo mera laut aana bhi mushkil ho ho jaye

Yaadon ke mausam ko bhula dena mausam tha wo
lahar si ho tum, iltaza se meri , tumhara bhi koi Sahil  ho jaye..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #71 on: June 07, 2007, 03:06:02 PM »
Quote from: "paani"
Log aaten hai , jaaten hai Bheed ki tadaat banke
ik main hun, tanhaayien ka sabab ban gaya hun
is kadr aabaad kiya hai Gum ko mene ,
rafta rafta DARD ka Sahar ban gaya hun.!!

Naa-waaqif tha ishq ki ucchayion se kal tak
le main muhoobat ka butt ban gaya hun..
jis shiddat se lagaya tha, ik dard ka pathar TUNE
aaj ussi DARD ka main Mahal ban gaya hun..!!

rafta rafta DARD ka Saher ban gaya hun.!!

Aashiq ki Dua hai, khuda tuze niyaamte bakshe jaahan ki
is itminaan se barbaad kiya kudko, ke kahar ban gaya hun
ja ab to ja mere dil-e-azeez in nazroon se dur tu
hadd tak bewaffaai mein duba hun , Zahar ban gaya hun

Dil mein to rakhna meri waffa ki raakh kam se kam
mar ke bhi tere armaano ki kask ban gaya hun..
bepahanaa muhoobat ki intihaan bhi to dekho yaaron
jis se kahffa tha, usi ki aakhan ka ask ban gaya hun..!!!

Rafta Rafta Dard ka Sahar ban gaya hun..


To be continued ....


sabse pahle mafi chahugi ki apki itani achi rachna itani deri se padi maine.. ek ek shabad dil ko chu raha hai apki is rachna ka... bahoot hi dil se aor dil ki gahraio se likha hai apne..... shabad kam hai apki is rachna ki parshansa karne ke liye... dard ko bahoot hi ache tarah se piroya hai apne..... bahoot bahoot bahoot Khoob Paani ji!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #72 on: June 07, 2007, 03:10:59 PM »
Quote from: "paani"
Hum dono ke darmyaan
Bichdi yaadon ka dard,  
Bari barsaaton mein
Sukhi raaton ka dard
Kitna milta hai gar samze bhi koi
Teri aakhon se meri akhon ka dard......!!!!!
sleepy5



wah kaya baat hai, Teri ankhon se meri ankhon ka dard,..  bahoot khoob Panni ji bahoot hi avha likhte hai app!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #73 on: June 07, 2007, 03:16:03 PM »
Quote from: "paani"
Quote from: "Pooja"
bahoot khoob Roja, Jaansheen and Paani....


durio ka ahsaas hua tere jaane ke baad
dil mai tanhaaio ka ghar hua tere jaane ke baad
ja chuka tha tu kabse, yah pata hi na chala
khamosh ghar ka, khundhar hua tere jaane ke baad


Nice one pooja

wo bus duri aur dard ka ahsaas deta hai
har baar umeed karta hun.. wo ajeeb hai ajeeb se haalat deta hai
yahan jab shuk chuka hai , baaki katra bhi Paani ka...
wo khara samander hai, har baar ik nai pyaas deta hai..!!!!!!


chaha tha jise din raat, ajj uski chahat hi na rahi
dard bana nasoor, mout ke liye zaher ki jarurat na rahi
hua bahoot shor her taraf, phir sab kuch jaise thum gaya
chalati rahi zindagi, ab zindagi se koi chahat na rahi
Logged
Pooja
Guest
«Reply #74 on: June 07, 2007, 03:19:31 PM »
apki is post ki ek ek rachna padi hai ajj...

Paani ji, Jaansheen and Roja bahoot hi acha likha hai app sab ne...good work!!!
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 09:36:57 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer