DARD KA Saher

by paani on January 08, 2007, 03:56:08 AM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9
Print
Author  (Read 7269 times)
paani
Guest
«Reply #75 on: June 08, 2007, 04:27:23 AM »
Pooja.. ji aapki  Hausla afjaai ka dil se shukriya.....  bus kuch likh lete hai jab bhi dil kartra hai.. wese aapki writing ka koi saani nahi hai......
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aai naseem-e-saher by javedarshad in Shayri for Khumar -e- Ishq
saher by muna massood in Shayri for Khumar -e- Ishq
Welcome saher by iAdmin in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
Ajnabi saher.. by Kohinoor in Shayri for Dard -e- Judai
saher mera ek maqbra by soudagar in Shayri-E-Dard
paani
Guest
«Reply #76 on: June 12, 2007, 07:40:15 AM »
Tadapta rahu mai aur mere halaat umr bar ki bechani ho
Tu  karm kar isqh mein ,aisi koi bekarari deja

Dekhu bhi to kya dekhu mai.. mere barbaad karwan ko
Tu aakar pass mere ..in aakhon ko maut si khumari deja

Teri yaad bhi aaye.. to sans lena hi namumkin sa ho mera
Dosti ka khyaal na kar ab.. raqib ko aisi koi bimari deja

Barsaat bhi ho.. aur pyaas bhi rahe mere hothno per sada
ek-ek bund ko tarsu.. saman aisi koi lachari deja


Logged
paani
Guest
«Reply #77 on: June 21, 2007, 07:13:44 AM »
Teri muhobat mein hum ne azeem kimat chukaai hai
Apno se kar befawai, tuze se wafa nibhaai hai...

Btta hai dil bhi tera tukdon mein teri fitrat ki tarha baazar mein
Hum ne to dil jala kar bhi apna teri kimat lagaai hai...

Apno se kar befawai, tuze se wafa nibhaai hai...

Afsos, saudagari ka saaman bana diya mere jazbaton ko bhi tune
ilzaam kyon du mai dunia ko, fakat ye  apani hi be-hayaai hai

Teri muhobat mein hum ne azeem kimat chukaai hai

Lakh baha le koi aasoon in aakhon se umr bar to kuch hassil na hoga  
Dard bada hai , aanch badi hai, aag jo hum ne dil mein lagai hai

Apno se kar befawai, tuze se wafa nibhaai hai...

Badlte badalon , badalte mausamon ki aadat kya shuak hai aapka sanam
Rut badli to tum badle, baat ye baarik si ab samz mein aaye hai

Teri muhobat mein hum ne azeem kimat chukaai hai..

Pa na sakoge tum bhi kabi 'Chaand' ko , taaron ki hasrart rakhte ho bus
Taaron hi Taaron ki bheed hai bus , aur bheed mein sirf Tanhaiyen hai..

Teri muhobat mein hum ne azeem kimat chukaai hai
Apno se kar befawai, tuze se wafa nibhaai hai...

 
 angry4
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #78 on: June 21, 2007, 07:34:26 AM »
Well expreesed pain..through ur poetry.. very touching... Good Work paani.. keep it up
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #79 on: June 21, 2007, 06:32:54 PM »
BAHUT  KHOOB PAANI JI...MAINE PEHLI BAAR AAPKI YEH RACHNA PADI HAI....BAHUT ACHA LIKHA HAI AAPNE....

MAINE KHUDA SE POOCHA....
KEEMAT AAKHIR KYA HAI PYAAR KI?
KHUDA BI HAS KAR BOLA
"AANSU BHARI AANKHEN
AUR UMAR INTEZAAR KI...."
Logged
Pooja
Guest
«Reply #80 on: June 21, 2007, 06:48:32 PM »
wah kaya baat hai... bahoot khoob khwaish ji!!

"Ansoo bhari ankhein aor umar intzaar ki"

wah kaya baat hai....lajawab...
Logged
paani
Guest
«Reply #81 on: June 22, 2007, 04:15:29 AM »
divya.. accha laga ki aapko dard-e-byan pasand aaya,,  Kahwaish ji aapne 4 lines mein kamal kar diya.. Pooja ji ... aap ka aana khusgawar mausam sa hai.. aate rahiyeee...
Logged
somesh agarwal
Guest
«Reply #82 on: June 22, 2007, 04:11:07 PM »
Puzzled !  :arrow:
dil dhadkta he baat banti he
jane kitne logo se milakat hoti he1
khawaishye kuch aarzu hoti he
kuch aarzuye khawab banti he
her khawab pure nahi hote
per her khawab main ik aas chup hoti he
Logged
somesh agarwal
Guest
«Reply #83 on: June 22, 2007, 04:17:56 PM »
[quote="Pooja"!!

"Ansoo bhari ankhein aor umar intzaar ki"


ye aach baat nahi he chura ke bhejna
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #84 on: June 22, 2007, 06:48:23 PM »
"Ansoo bhari ankhein aor umar intzaar ki"


ye aach baat nahi he chura ke bhejna[/quote]


SOMESHJI AAPKA YOINDIA MEIN SWAGAT HAI
AGAR AAP THODI SPELLINGS BARABAR LIKHOGE TO SAMAJ AAYEGA AAP KYA KEHNA CHAHTE HO...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #85 on: June 22, 2007, 07:22:25 PM »
KISMAT PAR AITBAAR KIS KO HAI
KHUSIYON SE INKAAR KIS KO HAI
DARD SE SAB YAHAN DARTE HAI
DARD SE YAHAN PYAAR KIS KO HAI
SAB YAHAN APNI APNI ZINDAGI JEE RAHE HAI
YEH DUNIYA HAI KHUDA KI
PAR AAJ INSAANIYAT SE YAHAN PYAAR KIS KO HAI
Logged
Pooja
Guest
«Reply #86 on: June 22, 2007, 09:02:56 PM »
Quote from: "somesh agarwal"
Quote from: "Pooja"!!

"Ansoo bhari ankhein aor umar intzaar ki"


ye aach baat nahi he chura ke bhejna[/quote



 Puzzled !  Puzzled !  Puzzled !  Puzzled !


Somesh ji apka Yoindia mai sawagat hai...
Pls clear kahe ki apne yaha kaya kahna chaha hai..
Logged
paani
Guest
«Reply #87 on: June 23, 2007, 04:27:38 AM »
Good Post by all u guys... welcome to Dard ka Saher.

khusbu ko phool, tasveer ko chera samzta raha,
Uske do gadi se saath ko mai, dunia samzta raha

Dikha wo cheara bhi bheed mein tamsbino ki tarha
Ek wo chera jise mai, apna samzta raha

Ahasas mein zakham khata raha, muskutara raha
dusron ke pyaar per apna haq samzta raha

Haan sach hai tere liye umr bhar rota, magar
shaayad muze hi koi bus Sapna samzta raha

Dard ko Dard ke ahshaas se mara gaya
Aakhir wo zakham bhi bara, jise mai gahra samzta raha

Raat teri yaad mein do aashon bhi gire
ek wo daman bhi gaya jise mai apna samzta raha

Jal gaya wo dil, shayad hi abaad ho kabhi
Tu bata, kya tu usse apna samzta raha ?


Jab naqaab utara tune haseen cherhe se apne
wo yaqeen bhi gaya, jise mai muhobat samzta raha

"NM" just last stanza added by me.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #88 on: June 23, 2007, 04:37:05 AM »
Nice sharing and adding Paani ji
Logged
paani
Guest
«Reply #89 on: June 26, 2007, 05:09:19 AM »
Shukriya Pooja ..ji

Anjaam hi raha hai, Bewafaai, Muhoobat ka jamane mein
Ek umr taq riston mein wo wafaayen dundta raha
Mahfilon ne choda na ,Karwaan ne choda usska saath
Kyon gumzada ho kar wo tanhaiyaan dundta raha

Hayraan hai, usske gunaah aur usski sharmindgi ka aalam bhi
Sar ko zuka kar bhi ab talak ilzam-e-nighayen dundta raha
Saabit hi na hua koi ilzaam , khuda ki khudaai se bhi uss per
Kyon, har shyy mein bhi wo sazayen dundta raha

Barbaad to karta hai, waqt ek bus, insaa ki wo Haesiyat kahan
Nadan hai wo shaks, yahan bhi kuud ki khatayen dundta raha
Zakham kha kar apne hi habibon se dard-e-inayaton ka muflis
Kyon, Garon ke daman mein panayen dundta raha

Berang hi hota hai husnn ka nur bhi, gr nazar se uttar jaaye
Bekar hi wo har nayi nazar mein nayi aadayen dundta raha
fakat ek Aitabaar hi kiya hota , mai maut tak saath deta
Ranjoor hi raha wafa se, har chare mein nayi bewafayen dundta raha

Mahfilon ne choda na ,Karwaan ne choda usska saath
Kyon gumzada ho kar wo tanhaiyaan dundta raha

........................ .................... ................. .......... ...... ..... ...
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:53:03 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer