~*~*~*~Dard ka Silsila~*~~*~~

by pankshivam on January 02, 2009, 11:12:31 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2059 times)
pankshivam
Guest
Dard ka silsila jab dil ke aarpar hota hai,
Zindagi gumshuda lagati hai, sanso ka waada tar tar hota hai...

Lakh koshisho ke baavjood aankhe nam ho hi jaati hai,
Na kaabu khud pe hota hai , na dil pe ikhtiyar hota hai...

Hosh nahi hota kisi baat ka khushiyo ki manzilo pe bhi,
Har aahat pe bechaini ka manzar beshumar hota hai...

~Pank~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
::silsila:: by nidhi_yadein in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
yeh Dard ka silsila.... by Manav Mehra in Shayri-E-Dard
silsila by kaushikbhawna008 in Miscellaneous Shayri
~Dard Ka silsila~ by pankshivam in Shayri-E-Dard
Ye Silsila Dard Se Toote Na,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
cara
Guest
«Reply #1 on: January 02, 2009, 12:11:08 PM »
kya baat hai pankshivamji....

dard ke silsila ,jab dil ke aar- paar hota hai,
kuj bayan nahi hota,woh hasta hain ya rota hain.

Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #2 on: January 02, 2009, 04:24:19 PM »
Bohat khoob Pank specialy last sher. Bohat kuch keh gaya aapka last sher main bayaan nahi kar sakta maza aa gaya dil me aaya kuch likhu par jo likhta aapke kalam ke aage phika lagta.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: January 02, 2009, 05:02:51 PM »
Waah Bhai waah,.
Kya Khoob Likha Hai,.
Really Good Yaar,.
Yunhi Likhte Raho,.
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #4 on: January 02, 2009, 05:12:42 PM »
Bohat khoob Pank specialy last sher. Bohat kuch keh gaya aapka last sher main bayaan nahi kar sakta maza aa gaya dil me aaya kuch likhu par jo likhta aapke kalam ke aage phika lagta.
Shukriya Shihab Sahab
Shukriya CaraJi Bahoot Khoob Likha aapne
Shukriya JaanasheenJi
Shukriya Ghayal Saheb
Ghayal Sahab Aapki Kalam se hamare post pe kuch aata to hamse jyada khush aur koi nahi hota,Aapne likh diya ye hi hamare liye bahut khushi ki baat hai....
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #5 on: January 02, 2009, 05:37:30 PM »
bahut khoob likha hai, pankhshivam ji.

Kyon is tarh bhari mehfil mein zaar zaar hota hai,
gale laga ke dawa bana le,dard jub tyaar hota hai.

yeh amaanat hai zindgi ki,inhe saja kar sawaara kar,
shaks kum hai, jinke paas aisa gubaar hota hai.

aankhen nam kyon hoti hai,inko behisaab barasne de
koi rokey nahi,tokey nahi,jub dil laachaar hota hai.
Logged
rubynaaz
Guest
«Reply #6 on: January 02, 2009, 05:45:21 PM »
khuda ka diya jab tumhe kam lagta hai
to mere dost sabko yehi gam lagta hai
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #7 on: January 02, 2009, 05:58:15 PM »
khuda ka diya jab tumhe kam lagta hai
to mere dost sabko yehi gam lagta hai

khuda ne diya sub kuch,woh kabhi kam nahi lagta
aur yeh dard bhee sach main ub to gam nahi lagta
kuch giley aur shikaayat bus zindgi se hai,
kuch chot aisi khaayi,jinpe murhum nahi lagta!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: January 02, 2009, 06:44:38 PM »
bahoot khoon Pank and Prateek ji
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #9 on: January 02, 2009, 10:16:24 PM »
Shukriya Prateek ji
Shukriya Poojaji
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #10 on: January 03, 2009, 12:27:09 AM »
Dard ka silsila jab dil ke aarpar hota hai,
Zindagi gumshuda lagati hai, sanso ka waada tar tar hota hai...

Lakh koshisho ke baavjood aankhe nam ho hi jaati hai,
Na kaabu khud pe hota hai , na dil pe ikhtiyar hota hai...

Hosh nahi hota kisi baat ka khushiyo ki manzilo pe bhi,
Har aahat pe bechaini ka manzar beshumar hota hai...

~Pank~

Bahut khoob Pank jii... bahut accha likha hai aapne....

Logged
Sonia01
Guest
«Reply #11 on: January 03, 2009, 12:29:01 AM »
Tum khafa hogaye to koi khushi na rahegi,
Tere bina chirago me roshni na rahegi;

Kya kahe kya guzregi dil par,
Zinda to rahenge par zindagi na rahegi.
(nm)
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: January 04, 2009, 09:17:20 PM »
Ek Nahi Mere Seene Me To Hazaaron Dard Palte Hain,.
Tabhi To Mere Muskuraane Par Ye Saare Log Jalte Hain,.

Maine Rishton Ko, Sachcha Samjha, Rishton Ki Kadar Ki,.
Maloom Na Tha, Ke Rishte Bhi Mausam Ki Tarah Badalte Hain,.

Ab Meri Hasi Ko Dekhkar, Tum Ye Na Samajhna ke Main Khush Hoon,.
"Azeem, Ke Aansoon Bhi Yaar, Ab Darr Darr Ke Nikalte Hain,.

___________________________________________-Jaanasheen.

Dil Se Ek Sachchi Koshish,.
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #13 on: January 06, 2009, 07:13:43 AM »
Dard ka silsila jab dil ke aarpar hota hai,
Zindagi gumshuda lagati hai, sanso ka waada tar tar hota hai...

Lakh koshisho ke baavjood aankhe nam ho hi jaati hai,
Na kaabu khud pe hota hai , na dil pe ikhtiyar hota hai...

Hosh nahi hota kisi baat ka khushiyo ki manzilo pe bhi,
Har aahat pe bechaini ka manzar beshumar hota hai...

~Pank~

Wah wah wah.. Kya Baat Hai PANK Ji.. Kamaal Ke Lafz Likhe Hain aapne.. Dard Ko Lafzon Me bahut Khubsoorati se piroya Hai aapne.. Bahut Bahut Khooooooob.. Applause


**~** Mann **~**
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #14 on: January 27, 2009, 08:23:22 PM »
[
Wah wah wah.. Kya Baat Hai PANK Ji.. Kamaal Ke Lafz Likhe Hain aapne.. Dard Ko Lafzon Me bahut Khubsoorati se piroya Hai aapne.. Bahut Bahut Khooooooob.. Applause


**~** Mann **~**
Shukriya Mann Bhai
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 04:29:51 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer