dard ka tohfa

by Manav Mehra on August 29, 2007, 02:49:11 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1489 times)
Manav Mehra
Guest
kayun dard ka tohfa hum tujhse paate hain
har bar tujhse zaleel hone chale aate hain

umeed kar lete hain ki shayad koi dawa mile
aor tujhse zakhmo ke liye namak hi pate hain

hoti hai koshish,do pal hi sahi,sath toh bane
par inhi do palon mein,dooriyan aor badate hain

Batao bhi kya kar rahi ho tum mere sath "Manasi"
Tere "Manav" ke lubon par,din raat shabd yeh aate hain
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~Tohfa-e-Eid~ by Aryaan in Shairi - E - Zindagi
Mahobat ka tohfa by jochahohojayein in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Yeh Kaisa Tohfa Mila? by Devdas_online in Shayeri for Dard -e- Bewafai
TOHFA by BHONDU in Shayri for Dard -e- Judai
aaj tumhe tohfa kya dun... by zakhmi jaan in Shayri for Khumar -e- Ishq
Meena is back
Guest
«Reply #1 on: August 29, 2007, 03:07:18 PM »
wah wah manav ji... simple and very nice!!!

tumne diya hai to hume yeh tofa bhi kabool hai,
kya paya kya khoya, yeh sochna ab fazool hai,
dil diya hai, to koi hisab nahi rakhte hum,
humara to pyar me to bas yehi ek asool hai!
Logged
Manav Mehra
Guest
«Reply #2 on: August 29, 2007, 03:29:50 PM »
bohat hi hazir jawab diya hai apne meena ji.. aor sach manaiye dil chu gaya hai
apki baat bilkul sahi hai... payar mein kya tol-mol... maine bohaat bar khud ko samjhya hai.. lekin jab extreme level par baat aa jati hai.. phir thodi selfishness aa jati hai mann mein.. shayad mann mein utni shi'ddat nahi hai.. jitni app ne apne lafzon mein bayan ki hai

ho jati hai khatta,hisab mein ulaj jate hain
tujhse door baithe sanam,aaise waqt bitate hain

kabhi kho jate hain teri payari yaadon mein hum
toh kabhi girte ashQ,teri bedardiyan ginwate hain
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #3 on: August 29, 2007, 03:47:22 PM »
Manav and Meena

Bahut he sahi farmaya hai aap dono ne !

Keep it up !
Logged
SHONA
Guest
«Reply #4 on: August 29, 2007, 04:26:46 PM »
Beautifully written manav & equally good meena

bhigi aankho se muskurane mein maza aur hai
haste haste palke bhigane mein maza aur hai
baat zubaan se keh de to koi bi samaj le
khamoshi ko koi samjhe
to maza aur hai.....
Logged
Manav Mehra
Guest
«Reply #5 on: August 29, 2007, 04:33:46 PM »
Shukriya Rajbir...
Logged
Manav Mehra
Guest
«Reply #6 on: August 29, 2007, 04:45:01 PM »
Quote from: "SHONA"
Beautifully written manav & equqlly good meena

bhigi aankho se muskurane mein maza aur hai
haste haste palke bhigane mein maza aur hai
baat zubaan se keh de to koi bi samaj le
khamoshi ko koi samjhe
to maza aur hai.....

Shona.. abh aapko kya kahein

Ankhon mein Ashq jab suukh jayein,toh tadap ban jati
khamoshi jab hadh se bard jaye,toh ghutan ban jati hai
dekhna kahin payar mein zindagi se lamba intezar na ho
warna har Ashiq ki Mohabaat phir ek Sajja ban jati hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #7 on: August 29, 2007, 05:44:58 PM »
Quote from: "Manav Mehra"

Nice one all...

Ye ashq dil ki banjar zameen par padke khud patthar ban gaye,
Ye tanhayi ke sannate khauf bhare manzar ban gaye,
Teri tamanna ki hai meri har ek dhadkan ne dhadakte hue,
Meri mohabbat ka anjaan dekh kar sitare bhi sharmsaar ban gaye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #8 on: August 29, 2007, 05:57:44 PM »

khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #9 on: August 29, 2007, 06:40:18 PM »
BAHUT KHOOB MANAVJI,SHONA,ANGEL,MEENA...SAB NE ACHA LIKHA HAI

MERE HALAAT WOH SAMAJ NAHI PAATE
AUR HUM BHI UNHE KUCH KEH NAHI PAATE
DARD TO BAHUT HAI IS DIL MEIN "KHWAISH"
PAR HUM HAQEEQAT BAYAN KAISE KARE?
KHAMOSH LAB MAJBURIYON SE KHUL NAHI PAATE
KAASH WOH SAMAJ LETE AANKHON SE KAHI BAATON KO
BAS AB KYA KAHEN?
UNKE BINA EK PAL BHI HUM REH NAHI PAATE
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #10 on: August 30, 2007, 09:18:12 AM »
manav ji, akar kuch kehna asan hota hai aur karna utna hi mushkil, agar mai yaha pe is tara ki shayari karti hoon then on the other side maine bohot mayaus bhari shayari bhi ki hai. its not that i am "attacking" u personally. i just like the jugal bandi in shayari with anyone :D  i am sorry agar maine kuch galat likha ho ya apko hurt hua ho, maine yeh soch kar reply nahin likha tha!

thanks dosto! u have written nice also!!
 :D
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:42:20 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer