Dard ke pathar...

by Aryaan on December 20, 2004, 03:28:59 AM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 2319 times)
waheed_rose2004
Guest
«Reply #15 on: December 24, 2004, 07:27:38 AM »
Quote from: "dolly"
TOOOOOOOO!GUD ARYAANJI

dard dene ka andaaz kuch aisa hai,dard dekar puchte hain ab haal kaisa hai,
kisi ek se kya gila karna yaaron,
saari duniya ka mijaaz ek jaisa hai...


wah!!!!!!!!!!!  dolly................aryan...........bahot khoob......... :lol:
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
pathar by abeera in Shayri-E-Dard
Pathar say ....... by Anushka in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Dard Ke Pathar... by Aryaan in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
pathar se by ambunj in Shairi - E - Zindagi
pathar dil by sidushale in Shayri-E-Dard
Aryaan
Guest
«Reply #16 on: December 24, 2004, 02:59:50 PM »
Shukriya Waheed..
Logged
dolly
Guest
«Reply #17 on: December 25, 2004, 07:06:15 AM »
shukriya waheedji...

dard ke aasuonse bhara hai yeh mere dilka paimaana,
soch mein hain kise jaa kar sunaayein apna afsaana,
yehi iltazaa hai tujhse aye khuda,ab aisa haath thamaana,
jo saath to de zindagi bharka,par chalkaaye na yeh paimmana,
kyonki gar jochalka yeh,to doob jayega is dard mein zamaneka daana-daana......
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #18 on: December 25, 2004, 08:11:05 AM »
Bohat khoob Dolly..
Logged
dolly
Guest
«Reply #19 on: December 25, 2004, 08:34:40 AM »
shukriyaa aryaan ji,
aaye hain to kuch aap bhi farmaa deejiye,
koi dard-e-dastaan ki daastan hi sunaa deejiye
Logged
arzoo
Guest
«Reply #20 on: December 25, 2004, 08:41:08 AM »
very nice dolly...

afsane sunne vaale milenge bhaut es duniya mein
mager jo saath de zindagi mein vo milege mushkil se...
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #21 on: December 25, 2004, 09:18:35 AM »
ur wlecome dolly...........aryan...............
too good dolly.............arzoo,..........

Jal gaye mosavver , naqsh-o-negaar jal gaye
Khabron ki aag main akhbaar jalgaye

Fizay-e-sheher ki haraarat ?? Toba Toba !!!!!!
Sheher ke tamaam, dar-o-deevaar jal gaye !

Aaj khursheed , khud zameen pe utar aaya !!
Aaj ahl-e-dil , waqt-e-deedaar jal gaye !!

Phir urooj mela kaar-o-baar-e-zulm ko
Phir adl-o-insaaf ke bazaar jal gaye

Iss baar aag ke hamraah aai thi bahaar !!
Iss baar pholon ke khareedaar jal gaye !!

Garmey-e-haalaat-e-siyasat , na pooch :Waheed:
Jal gayee sahaafat , qalamkaar jal gaye ................
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #22 on: December 25, 2004, 09:24:48 AM »
gr8888888888888    all ..n..aryan Usual Smile
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #23 on: December 25, 2004, 10:20:07 AM »
Bohat khoob...Dolly, Arzoo, Waheed..

Shukriya Salma..
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #24 on: December 25, 2004, 12:29:48 PM »
ur welcome salma ji...........aryan......... :lol:
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #25 on: December 25, 2004, 01:10:09 PM »
Nice . keep it up.
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #26 on: December 27, 2004, 04:07:01 AM »
ShUkriYa Just_Hate_Love..Usual Smile


Beetey dinon ki yaadon ko, kaise main bhulaaun
Pathar ban kar pyar mein kab tak, apna dard chupaaun
Yaad aati hain reh reh kar jab, tere pyar ki baatein
Jaane kahan se aa jati hain, inn aankhon mein barsatein
Inn ashkon se kaise apne, gham ki aag bujhaaun..
Jiski khatir harr dukh main ne, hans hans kar apnaya
Pyar ki kasmein toar ke uss ne, aaj mujhe thukraya
Apni duniya lutt jane ka, kis ko haal sunaaun...


Logged
dolly
Guest
«Reply #27 on: December 27, 2004, 06:09:26 PM »
nice!!! aryaanji....waheedji...arzooji....

Arzooji....

Humaare saath to kuch aur hi pesh aaya yeh zamaana,
jise bhi kehna chaha,usine dhoond liya humse door jaane ka bahana,
gar kuch sun leta ye zaalim,to yon na bharta dard ke pyaalonse dil ka paimaana...
Logged
diva
Guest
«Reply #28 on: December 28, 2004, 03:34:21 AM »
hey mr aryaan aap ne toh humko hila ke rhadiya
bahut aacha likhte hai aap
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #29 on: December 28, 2004, 06:09:25 AM »
Bohat bohat shukriya Dolly & Diva...
Aap sab doston ki mohabbat hai jo aap itna pasand karte hain.... kehte hain shayri dil ka aaina hoti hai, jahan insaan ka bas na chale woh apne dil ki bharaas lafzon mein dhal kar ussey apne Qalam se shayri ka roop de deta hai..  Aap sab ka pyar isitarha saath raha tau aapke liye likhta rahoon ga.. ek baar phir aap sabka bohat shukriya.. nawaazish..
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 04:05:13 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer