dard ke rang (mere sang)

by bekarar on August 21, 2008, 05:28:43 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2357 times)
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
kuch funny si lagegi ye kavita lekin mahsoos karoge to shayad dard bhi mahsoos ho

in dardon ke kitne rang dekhe,
har dour ke dard ke azab dhang dekhe
pencil ka kho jana bhi ek dard tha,
homework na nipta pana,
usase bhi bada dard tha,

result me kam percentage pana bhi ek dard tha,
aur padosi ka mujhse achche marks lana,
usase bhi bada dard tha

paise na hone ke karan picnic par,
na ja pana bhi ek dard tha,
jo dost picnic gaye uske kisse sunna,
usase bhi bada dard tha,

ibtda-e-jawani me kisi hasina ki apni aur,
tavazzo ka na hona bhi ek dard tha,
aur apne kisi khas dost ki aur uski tavvazo,
ka hona usase bhi bada dard tha,

mehbooba ka milna bhi dard tha,
aur bichadna usase bhi bada dard tha,

noukari ka na milna bhi ek dard tha,
milne ke baad, nikala jaana usase bhi bada dard tha

har dard ka ehsaas bas dard hi raha yaaron,
na kabhi kam raha dard na bada dard tha

dard ki dastan ka kya bayan kare "bekrar"
ise batana bhi dard hai, chupana uase bhi bada dard tha
Logged
baadal102
Guest
«Reply #1 on: August 21, 2008, 05:34:11 AM »
dard ke rango ko badi khubi se sajaya hai aap ne  Applause
bahut khoob bekarar ji





Baadal
Logged
k.shael
Guest
«Reply #2 on: August 21, 2008, 05:44:56 AM »
EXCELLENT, SUPERUBB,
FABEULOUS WORK BROTHER,
KEEP GOING...
BY. K.SHAEL
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #3 on: August 21, 2008, 06:27:42 AM »
sanjeev ji bohut hi pyare shabdo ka use kar aapne har choti badi baat ko saral tarike se prakat kiya hai
vakai aapka likha kaabil-e-taarif hai
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: August 21, 2008, 04:18:45 PM »
Wah ji Wah Sanjeev..dard ko ek naye andaaz main pesh kiya hai aapne...Bohot Khoob... Applause  Applause

Dard kya hai, kya jaane hum
Umr ke ek hisse main koi dukh
Dil ko zakhm de jaata hai
Aur guzar jaaye waqt jab,
Wo dukh khatti meethi yaadain dilata hai

Gudiya ki shaadi ko,
Achche gudde ka na milna,
Saheliyon ka kabhi,
Bin baat hi lad padna
Kabhi bhai se takrar
Aur maa ki halki si maar
Ye bhi dard the ek umr main

Ab naye dard hain naye dukh
Purane dard lagte hain sukh !!
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #5 on: August 21, 2008, 04:39:04 PM »
dard ke rango ko badi khubi se sajaya hai aap ne  Applause
bahut khoob bekarar ji





Baadal


shukriya baadal....aapko pasand aaya..
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #6 on: August 21, 2008, 04:40:44 PM »
EXCELLENT, SUPERUBB,
FABEULOUS WORK BROTHER,
KEEP GOING...
BY. K.SHAEL

thanks a lot lil sis.....
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #7 on: August 21, 2008, 04:45:08 PM »
sanjeev ji bohut hi pyare shabdo ka use kar aapne har choti badi baat ko saral tarike se prakat kiya hai
vakai aapka likha kaabil-e-taarif hai

taarif ka shukriya bhawna .....
aap bhi apne anubhav bantate to achcha lagta........
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #8 on: August 21, 2008, 04:50:04 PM »
Wah ji Wah Sanjeev..dard ko ek naye andaaz main pesh kiya hai aapne...Bohot Khoob... Applause  Applause

Dard kya hai, kya jaane hum
Umr ke ek hisse main koi dukh
Dil ko zakhm de jaata hai
Aur guzar jaaye waqt jab,
Wo dukh khatti meethi yaadain dilata hai

Gudiya ki shaadi ko,
Achche gudde ka na milna,
Saheliyon ka kabhi,
Bin baat hi lad padna
Kabhi bhai se takrar
Aur maa ki halki si maar
Ye bhi dard the ek umr main

Ab naye dard hain naye dukh
Purane dard lagte hain sukh !!


bahoot achcha likha talat.....bahoot hi sachchi baat kahi tumne..
Ab naye dard hain naye dukh,
purane dard lagte hain sukh
 Applause Applause Applause Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: August 21, 2008, 06:14:06 PM »
 Applause Applause Applause

bahoot khoob Sanjeev and Celmira!!! bahoot he pyari kavita likhi hai app sono ne...

Celmira apki kavita ki last two line bahoot he achi lagi...
Logged
Talat
Guest
«Reply #10 on: August 21, 2008, 06:46:40 PM »
bahoot achcha likha talat.....bahoot hi sachchi baat kahi tumne..
Ab naye dard hain naye dukh,
purane dard lagte hain sukh
 Applause Applause Applause Applause


Aap ki poem itni pyaari lagi ki bas khud bakhud alfaaz jud gaye...shukriya Sanjeev  notworthy
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: August 21, 2008, 06:47:11 PM »
Applause Applause Applause

bahoot khoob Sanjeev and Celmira!!! bahoot he pyari kavita likhi hai app sono ne...

Celmira apki kavita ki last two line bahoot he achi lagi...

Thank You Pooja, aapko pasand aayi  happy3
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #12 on: August 22, 2008, 04:18:27 AM »
kuch funny si lagegi ye kavita lekin mahsoos karoge to shayad dard bhi mahsoos ho

in dardon ke kitne rang dekhe,
har dour ke dard ke azab dhang dekhe
pencil ka kho jana bhi ek dard tha,
homework na nipta pana,
usase bhi bada dard tha,

result me kam percentage pana bhi ek dard tha,
aur padosi ka mujhse achche marks lana,
usase bhi bada dard tha

paise na hone ke karan picnic par,
na ja pana bhi ek dard tha,
jo dost picnic gaye uske kisse sunna,
usase bhi bada dard tha,

ibtda-e-jawani me kisi hasina ki apni aur,
tavazzo ka na hona bhi ek dard tha,
aur apne kisi khas dost ki aur uski tavvazo,
ka hona usase bhi bada dard tha,

mehbooba ka milna bhi dard tha,
aur bichadna usase bhi bada dard tha,

noukari ka na milna bhi ek dard tha,
milne ke baad, nikala jaana usase bhi bada dard tha

har dard ka ehsaas bas dard hi raha yaaron,
na kabhi kam raha dard na bada dard tha

dard ki dastan ka kya bayan kare "bekrar"
ise batana bhi dard hai, chupana uase bhi bada dard tha

Jee Bhai Sanjeev...Fir se Taweel B'Tarteeb kuch alag hi andaaz aur kuch dard-e-bayaa'n bhi saaf va suffaf alfaaz k saath
aur kuch Lafzo ko jo Firaya Hai alag hi Maa'ne Me ki Har Dusri Line Paheli Line se Jeyaada Dil va Jehn-o-Fikra Ko Khinchti Hai

Allaah se dua karta hun ki 'aapko Wo Kalum se Nawaaze Jis k Kalaam Ki Kalum Aur Kari sada jari rahe '


Lugvi Maana kalum = hukumat va badshahi
            Kari = Rang-o-Sazi     
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #13 on: August 22, 2008, 10:50:10 AM »
kuch funny si lagegi ye kavita lekin mahsoos karoge to shayad dard bhi mahsoos ho

in dardon ke kitne rang dekhe,
har dour ke dard ke azab dhang dekhe
pencil ka kho jana bhi ek dard tha,
homework na nipta pana,
usase bhi bada dard tha,

result me kam percentage pana bhi ek dard tha,
aur padosi ka mujhse achche marks lana,
usase bhi bada dard tha

paise na hone ke karan picnic par,
na ja pana bhi ek dard tha,
jo dost picnic gaye uske kisse sunna,
usase bhi bada dard tha,

ibtda-e-jawani me kisi hasina ki apni aur,
tavazzo ka na hona bhi ek dard tha,
aur apne kisi khas dost ki aur uski tavvazo,
ka hona usase bhi bada dard tha,

mehbooba ka milna bhi dard tha,
aur bichadna usase bhi bada dard tha,

noukari ka na milna bhi ek dard tha,
milne ke baad, nikala jaana usase bhi bada dard tha

har dard ka ehsaas bas dard hi raha yaaron,
na kabhi kam raha dard na bada dard tha

dard ki dastan ka kya bayan kare "bekrar"
ise batana bhi dard hai, chupana uase bhi bada dard tha

Sahi kaha hai Sanjeev ji, ek zamaane mein yeh chhote chhote dard bahut bade laga karte thhe... Aur jaisa ki Celmira ne kaha "Ab naye dard hain naye dukh, purane dard lagte hain sukh" yeh bhi bilcul sach hai... Ab yeh baatein padh kar guzra waqt suhaana lagta hai.. Usual Smile Aur aaj ke dard..  icon_silent kabhi naa khatam hone wala safar...

Sanjeev ji aur Celmira... Sach mein, Bahut bahut khoob likha hai aap dono ne.. Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #14 on: August 22, 2008, 11:04:03 AM »
Thanks so much Mahiya  notworthy
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 04:36:47 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer