DARD KI DAASTAAN....

by khwaish on February 11, 2008, 10:25:11 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 11
Print
Author  (Read 10523 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
MUDDAT BEET GAYI,HUMARE HONTH HAI AAJ BHI SILE HUE
KAL HI BICHADE THE,PAR LAGA JAISE SADIYA BEET GAYI HAI MILE HUE...

JAB MILTA HOON UNSE TO SOCHTA HOON APNE DIL KI BAAT KEH DOON
PAR JAB BHI LAB KHULE,DONO TARAF SE SIRF SHIKAYATE AUR GILE HUE...

EK UMANG SI THI DIL MEIN KE WOH HUME KABHI GALE LAGAYENGE
AAJ GALE LAGAYA BHI TO USNE ALWIDA KEHNE KE LIYE,
KHOOB INAAM HAI HUME MOHABBAT MEIN MILE HUE...

KYA KAHOON APNI KISMAT KE BAARE MEIN,MAIN "KHWAISH"
KAANTO SE BHAR GAYE THE PAIR MERE
YEH DEKH KAR PUCHA HAR SHAKS NE,
YEH KAANTO KE ZAKHM PAIRO PAR KAISE??
JAB KI TERI RAAHON MEIN THE SIRF PHOOL HI KHILE HUE...

"KHWAISH" KI AANKHON MEIN EH DOST
KABHI UTAR KAR DEKHNA ZARA
TOOTE HUE SAPNE,BIKHRE HUE KHWAISHE,
TADAPTE HUE AANSU HI MILENGE TUJHE,
IN AANKHON MEIN DARD KE SAATH MILE HUE..

AUR KUCH NA KEH SAKOONGA MAIN TUJHE EH DOST
AAJ LIKHTE HUE KALAM NE BHI MUJHE THAAM KAR KAHAN
"NA LIKH AB KHWAISH APNE DARD KI DASTAAN
DEKH TERE ASHKO SE AAJ KAAGAZ BHI GILE HUE..."


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
---daastaan--- by killbill in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Saari daastaaN kah diya mayne! by shara63 in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
Ankahee ishq ki ikk daastaan hun.. by nashwani in Ghazals « 1 2  All »
-----/// Daastaan wafaa ki ///----- Hriday by ~Hriday~ in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Daastaan...foolon ki.... by deepraghav in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
punam
Guest
«Reply #1 on: February 11, 2008, 11:11:36 AM »
Bahot khoob likha kittu ji...padh ke dil bhari ho gaya..itna dard ..Huh?
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #2 on: February 11, 2008, 07:08:04 PM »
Khwaish bro

Itna dard sad5

Ek ek lafz dard ke aansoo baha raha hai !

Na jaane kis mood mein hoge jab yeh shayari likhi hogi ! Roll Eyes

Very deep sad emotions and feelings expressed...bravo !

Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: February 11, 2008, 07:33:36 PM »
Sile hontho ka waqat bhi beet jayega
Dard ka yah sailab ek din guzar jayega

Ho jahan payar wahin to shikayat hogi
Shayad yah baat tu waqat ke sath samjh jayega

Dil ki umangein atti hai ajj bhi dhoko ki tarah
Khush hokar, jante hai, yah dil phir toot jayega

Kahna ho jo kah dete hai waqat ke rahte
Warna dil ka dil mai he hamesha ke liye rah jayega

Kanto ko jitna bhi sehaj kar tum rakho
Ek na ek din zakham wo tumko dejayega

Ankhon ka dard samjh kar bhi na sambhal saku tujhko
Yah dard her din,  mujhko bhi bahoot rulayega

Na kaha tha jab, tab bhi samjh liya tha is dil ne
Sath apna ek din humko bahoot dard dekar jayega!!

Sile hontho ka waqat bhi beet jayega
Dard ka yah sailab ek din guzar jayega…………..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: February 11, 2008, 07:37:47 PM »
Sile hontho ka waqat bhi beet jayega
Dard ka yah sailab ek din guzar jayega

Ho jahan payar wahin to shikayat hogi
Shayad yah baat tu waqat ke sath samjh jayega

Dil ki umangein atti hai ajj bhi dhoko ki tarah
Khush hokar, jante hai, yah dil phir toot jayega

Kahna ho jo kah dete hai waqat ke rahte
Warna dil ka dil mai he hamesha ke liye rah jayega

Kanto ko jitna bhi sehaj kar tum rakho
Ek na ek din zakham wo tumko dejayega

Ankhon ka dard samjh kar bhi na sambhal saku tujhko
Yah dard her din,  mujhko bhi bahoot rulayega

Na kaha tha jab, tab bhi samjh liya tha is dil ne
Sath apna ek din humko bahoot dard dekar jayega!!

Sile hontho ka waqat bhi beet jayega
Dard ka yah sailab ek din guzar jayega…………..


bahut khoob pooja...mere paas koi shabd nahi kehne ke liye..bahut hi acha..dard ka jawaab dard se diya aapne..ek umeed si thi aapke jawaab ki..shukriya..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: February 11, 2008, 07:41:12 PM »
shukaria khwaish ji.. apne bahoot hi acha likha tha.. jise pard kar jawab shayad khud-b-khud acha ho gaya!!!

apke pass shabdo ki kami nahi yah mai janati hu...
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #6 on: February 11, 2008, 07:47:42 PM »
Pooja

Kya baat hai ! tumne bhi bahut dard bhara jawab diya !

Khwaish ki tarah tumhari shayari mein bhi dard beh raha hai !

Very good reply and effort by you !

Khwaish ke pass shabdo ki kami nahi hai...i fully agree with you tongue3
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: February 11, 2008, 07:50:35 PM »
shukaria veer ji!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: February 11, 2008, 07:54:22 PM »
AAPKI EK CHAAHAT BHARI NAZAR KE LIYE
YEH DHADKAN BECHAIN SI REHTI HAI
HAR PAL SAWAAL KARTI HAI DIL SE
JAWAAB NA MILNE SE MACHALTI HAI

KOI SAMJHAYE INHE,"KHAMOSHIYAN BHI KUCH KEHTI HAI..

NAZDEEK AANE SE DOORIYAN MITHTI HAI
DOOR HO JAANE SE DOORIYAN AUR BADHTI HAI
ZUBAAN TO CHUP HO JAATI HAI PAR
NAZREIN TADAPTI HAI

KOI SAMJHAYE INHE,"KHAMOSHIYAN BHI KUCH KEHTI HAI..."

BAARISH KI BOONDEIN ZAMEEN PAR JAB GIRTI HAI
TO JUDAI KA DARD WOH BHI SEHTI HAI
JUDAI MEIN AASMAAN KE AANKHON SE BHI
PANI KI LEHREIN BEHTI HAI

KOI SAMJHAYE INHE,KHAMOSHIYAN BHI KUCH KEHTI HAI.."

KHUD SE NAZARE MILAKAR AAINE MEIN
NAZAREIN SHARAM SE JHUKTI HAI
APNI MAJBOORIYON KE SADKE CHUP SI REHTI HAI

KOI SAMJHAYE INHE,"KHAMOSHIYAN BHI KUCH KEHTI HAI.."

ALWIDA KEHNE SE RISHTE NAHI CHUTHTE
KOI DIL KE ITNE PAAS AAKAR PHIR NAHI RUTHTHE
JAB USNE KAHA MAIN TUMHE NAHI SAMAJ PAATI
ASHKO KE SAMUNDAR SE AANKHEIN HAI BHAR JAATI
AB TANHAI MEIN HAR DARD ZINDAGI SEHTI HAI

KOI SAMJHAYE INHE,"KHAMOSHIYAN BHI KUCH  KEHTI HAI .."
"
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: February 11, 2008, 08:17:51 PM »
Chahat bhari nazar, dikhai nahi jaati
Na jaane kyun, yah baat bhi khud ko samjhai nahi jaati

Khamoshia kehti hai bahoot kuch humse-tumse
Phir kyun apni hi khamoshia samjhai nahi jaati

Door reh kar bhi kisi ko behad kareeb paaya hai
Zuban per magar yah baat bhi laai nahi jaati

Barish bhigoti hai ansuo ke sath akasar
Shayad usse bhi akele judai, uthai nahi jaati

Asmaan ko kaise pakde koi apni muthi main
Itani unchain humse khud mai laai nahi jaati

Aaine ne hi nigahein milana ab chord diya humse
Ab roj sawalo-jawabo ki kahani, humse dohraai nahi jaati

shikayat humari ko wo alwida ka naam Kyun de baithe
Humse to pahle hi koi baat suljhaai nahi jaati....
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #10 on: February 11, 2008, 08:22:17 PM »
Khwaish bro and Pooja

You guys are too good !

Superb ! Excellent ! fantastic !

Keep flowing !
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: February 11, 2008, 08:25:11 PM »
thanks veer ji...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: February 11, 2008, 09:31:30 PM »
UNHE JAATE HUE DEKH KAR BHI,
HUM UNHE ROK NA SAKE
IS BAAT KA HUME BAHUT GHAM HAI
PAR WOH YEH SOCH KAR CHALE GAYE
SHAYAD HUME UNSE PYAAR KAM HAI...

AGAR JUDAAI HI NASEEB MEIN LIKHAYI THI TO
EH KHUDA ALWIDA KEHNE SE PEHLE KUCH WAQT TO DIYA HOTA
DIL MEIN EK AJEEB SI KHATAAS LE KAR JUDA HUE,
KYA ITNE BURE MERE KARAM HAI...

EK MEHFIL MEIN KISI NE USSE PUCHA,
"KYA TUMHE USS SHAKS SE PYAAR THA.."
KYA KAHOON USKE JAWAAB NE KHWAISH KI NAZREIN SHARAMINDGI SE JHUKA DI
JAB USNE KAHA MAIN TO CHAAHTI THI USSE DIL-O-JAAN SE
PAR UNKE LIYE PYAAR EK MAZAAK THA,EK JHOOTA BRAHM HAI....

JAB WOH ROYE TO LAAKHON HAATHON NE THAAM LIYE UNKE AANSU
JAB HUM ROYE,AANSU ITNE GIRE KE LAGA AAJ ZAMEEN BHI THODI KAM HAI...

AAJ EK BAAT SACH KEHTA HOON...
JUDA HUA USS SHAKS SE ISS BAAT KA KHUDA SE KOI SHIKWA NAHI
BAS BICHADTE WAQT GALE NAHI TO HAATH HI MILA LIYA HOTA
BICHADNE WAALE KE LIYE KYA YEH MARHAM KAM HAI...

DUNIYA KA KAAM HAI HAR MASLE PAR APNI RAAYE RAKHNA
DUNIYA KI PARWAAH NAHI KARTA "KHWAISH" PAR
TERA GUNEHGAAR HOON,MAJBOORIYAN KUCH AISI LIKHI THI KISMAT MEIN
KE KUCH KAR NA SAKE..

TUJHSE NAZREIN NA MILA PAAUNGA ZINDAGI BHAR,
"KHWAISH" KO IS BAAT KI AAJ BHI BAHUT SHARAM HAI.... Crying Crying Crying

Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: February 11, 2008, 09:46:16 PM »
Pyar ki phir se kahin haar na ho jaaye
Dar hai ki kahin phir se pyar na ho jaaye

Baat kuch bhi nahi aor bahoot kuch ho bhi gaya
Kahin raai ka phir se pahard na ho jaaye

Judai kaha kaha naseeb main nahi aaii
Chalo ajj yah khuda se hi sawal ho jaaye

Mehfil mai jab bhi pucha kisi ne humse sawal
Yahi kaha ki dar hai ki kahin phir se yah dil na kho jaaye

Humare rone per hazaro jhoothe hath uthate hai
Kahin unko dekh kar tera hath na ajj ruk jaaye

Sochane se kabhi koi juda hota nahi
Hatho se hath chahe kitna juda ho jaaye

Marham kon lagaye ab yaha kisko
Jab Dard apna hi nasoor ho jaaye

Bhwanao mai beh kar kuch bhi likh de e dost
Dua yahi meri her zameen, teri hi ho jaaye

Dunia karati rahe apne kaam, kis ne suna usko
Dekhna kahin tu bhi duniadaari wala na ho jaaye

Jhuka kar najar kyun mujhko najar se hataya hai
Najar kabhi jhukati nahi dosto mai kuch bhi ho jaaye
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: February 11, 2008, 10:07:46 PM »
KYA USKE DARD KI EH DIL TUJHE PEHCHAAN BHI HAI
KHUD KI BAATEIN KARTA HAI PAR USKE DARD KA KYA
TUJHE KUCH GUMAAN BHI HAI???

USS MOHABBAT MEIN KUCH NAHI HAASIL EH DOST
JAHAN PYAAR BHI HO AUR NA JHUKNE WALI SHAAN BHI HAI...

NA SAMJHO ISHQ MEIN TADAPTE HUE REH JAAOGE,
ISHQ AAKHRI DAM TAK CHOT DETI HAI
ZAKHM HAI TO DARD HOGA HI AUR DEKHO 
KISMAT INSAAN KI, ABHI BAAKI USME AUR JAAN BHI HAI....

EH DOST MUJHE YAAD HAI WOH MANZAR JAB
TUNE KAHA KE KUCH FAASLE ZAROORI HAI HUM-TUM MEIN
DIL KE TUKDE KIYE THE JO TUMNE
AA KAR DEKHNA,UNN TUKDON MEIN BAAKI KUCH ARMAAN BHI HAI...

KEH JAATE HO MAAUYSI KE AALAM MEIN BAHUT KUCH TUM
PAR NAFRAT KI ANDHI MITA JAATI HAI HASTI KO APNI
YEH AATI HAI CHALE JAATI HAI,KYON BHOOL JAATE HO TUM,
YEH SIRF PAL DO PAL KI MEHMAAN BHI HAI....

JO BHI HAI HUM TUJHSE SHIKAYAT KYA KARE,
DARD KE BADLE DARD LETE HO
TERA IS DIL MEIN BAHUT EHSAAN BHI HAI...



Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 11
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 03:04:50 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer