DARD KI DAASTAAN....

by khwaish on February 11, 2008, 10:25:11 AM
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11
Print
Author  (Read 10528 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #105 on: February 21, 2008, 06:09:30 PM »
Kuch yaadon ko aaj aapne sang hum le chale
tere shehar mein phool bahut kam the,
isliye apne daaman mein kaante hi bhar chale...

Mohabbat ke is gard-e-safar mein
kuch na hua haasil..
jo haath aaye the mere woh kuch pathar the,
isse hi mohabbat ki nishani samaj kar le chale...

dekh kar apne halaat,aaj apne aansu bhi tadap kar bole
aur koi nahi to main tere saath hoon "khwaish"
aaj apne aansuo ko hi apna humsafar bana kar hum chale...

yeh na samajna ke main tujhe kuch na de saka
apna zameer, apne jazbaat, apna sukoon...
sab tere havale kar chuka hoon
ab to bas..apni tanhai ke sahare hum chale...

ittefaak se bhi tera naam kabhi kisi ke honton se nikle,
tujhe jaanta hoon, yeh raaz dil mein hi daba kar hum chale...

"khwaish" ke dil mein kya hai,
woh apne kalam se hi likhte rahega
aaj issi ke aasre hum chale...

TU JAHAN RAHE ,WOH GHAR KI HAR DEEWAR
PHOOLON SE SAJI RAHE
CHATH BHI KHUSHIYON KI INTH SE BANI RAHE
YEH DUA KARTA RAHUNGA
MERA KYA HAI, KHAMOSHIYON KI DUNIYA MEIN
KUCH ALFAAZO APNE HISAAB SE SAJA KAR HUM CHALE....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
---daastaan--- by killbill in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Saari daastaaN kah diya mayne! by shara63 in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
Ankahee ishq ki ikk daastaan hun.. by nashwani in Ghazals « 1 2  All »
-----/// Daastaan wafaa ki ///----- Hriday by ~Hriday~ in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Daastaan...foolon ki.... by deepraghav in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
Pooja
Guest
«Reply #106 on: February 21, 2008, 06:12:26 PM »
wah wah wah!@!!! bahoot hi bhwanao se bharpoor kavita ki rachna ki hai apne!!! bahoot khoob.. kuch waqt dein.. jawab likhti hu kuch der main
Logged
Pooja
Guest
«Reply #107 on: February 21, 2008, 08:49:41 PM »
Tum bin her phool bhi  kaanta hoga
Janati hu tumko bhi yah andaaza hoga

Pathar jo rahege tere sath sath yah
Unka bojh humare dil ko na gawaara hoga

Tera her ek ansoo bahta hai mere mere lahu mai ek dard ban kar
Dhadkate tere dil ne shayad ajj mujhko phir pukara hoga

Rooh teri jab mil chuki rooh mai meri
Phir kaya zameer,  jazbaat, sukoon, sab humara hoga

Jab bhi lubo per kisi ke tera naam ayega
Ansuo ka na phir koi kinaara hoga

Hai tere dil mai jo bhi, wo likhta chala ja
Janate hai, her shabd ne tere ahsaas ko lalkaara hoga
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #108 on: February 21, 2008, 09:10:56 PM »
NAZRO KE SAAMNE THE AAP HUMESHA MERE
PAR  AAP KO KABHI PUKAARA NAHI

AAPKI RUSWAAI KA DARR SE CHUP RAHA HAMESH
 KABHI AAP RUSWA HO MUJHSE YEH GAWARA NAHI...

MAIN JAANTA HOON KE DO KINAARE KABHI MIL NAHI SAKTE
AAPKI HAAN MEIN BHI MERI HI HAAR HAI
PAR YEH EHSAAS HI BAHUT HAI KE "KHWAISH"
HAAR KE BHI HAARA NAHI...

SHIKAYATO MEIN KAT SI GAYI HAI ZINDAGI APNI
HAR EK SHAKS SE KUCH SHIKWE ZAROOR THE
PAR HAIRAAN HOON AAJ INN SHIKWO MEIN  EK BHI
SHIKWA TUMHARA NAHI...

KEH DO AAJ JO AAPKE DIL MEIN HAI
"KHWAISH" BHI KEHTA HAI KE RAAZ PAR PARDA HAMESHA RAHEGA
KABHI "KHWAISH" NE PARDA RAAZ SE UTAARA NAHI...

MUJHSE KOI KHATA BHI HO GAYI TO MAAF KARNA
TOOT BHI JAAU TO AAPKE ZAMEEN PAR HI GIRUNGA
MAIN AASMAN PAR REHNE WALA KOI SITAARA NAHI...

NAZRON KE SAAMNE THA MAIN HAMESHA
PAR AAPKO KABHI PUKAARA NAHI.....



Logged
Pooja
Guest
«Reply #109 on: February 21, 2008, 09:13:17 PM »
wah khwaish ji kaya baat hai... yah lines bahoot hi achi lagi..


PAR YEH EHSAAS HI BAHUT HAI KE "KHWAISH"
HAAR KE BHI HAARA NAHI...
PAR HAIRAAN HOON AAJ INN SHIKWO MEIN  EK BHI
SHIKWA TUMHARA NAHI...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #110 on: February 22, 2008, 10:43:24 PM »
KISI APNE KI TALAASH MEIN NIKLA THA IS JAHAN MEIN
PAR MUJHE KOI APNA NA  MILA

APNA HAAL-E-DIL SUUNA RAHA THA MAIN
PAR USSE BHI MUJHE DENE KE LIYE SIRF DARD HI MILA...

ISS SHEHAR MEIN
JAB APNA GHAM BAANTNA CHAAHTA THA
TO MUJHE KOI APNA NA MILA
PAR JAB APNI KHUSHI BAANTNI CHAAHI TO
KOI AJNABI NA MILA...

KISI KO PYAAR KARNA BINA KUCH SOCHE SAMJHE BHI EK GUNAAH HAI
AAJ MUJHE MUJHSE BADA KOI GUNEHGAAR NA MILA

KISI AUR KI PARCHAI DHOOND RAHE THE WOH MUJH ME
SHIKAYAT BAS ITNI HAI,KABHI MUJHE BHI SAMAJ KAR DEKHNA THA
"KHWAISH" KO AAJ KHUD SE BADA KOI BADNASEEB NA MILA

AAJ JAB DEKHA KHUD KO DIL KI NAZRO SE
BAHUT ROYA PAR PATA NAHI AANKH MEIN EK AANSU BHI NA MILA

KISI APNE KI TALAASH MEIN NIKLA THA IS JAHAN MEIN
PAR MUJHE KOI APNA NA MILA



Logged
Pooja
Guest
«Reply #111 on: February 22, 2008, 11:37:21 PM »
Apne hokar bhi kai baar apne najar nahi atte
Dil ke ahsaas kai baar khud ko hi samjh nahi atte

haal-e-dil samjh kar samjhaya karo zamane ko
her kisi ke pass, app jaise jazbaat paaye nahi jaate

gum bantne se kuch bhi na hoga hasil
sar-e-amm is tarah gum, sunaaye nahi jaate

kisi ko payaar karna gunah ho nahi sakta
magar her kisi ke angan main, pyar ke phool khilaye nahi jaate

apni hi parchai jab insaan ki jaati hai kho
aise mai kisi ko apne saaye diye nahi jaate

hai her kisi ka naseeb yaha apna apna
kisi se bhi naseeb liye-diye nahi jaate

kisi ki najaro mai kay aho tum, kaya jaano
apni hi najaro mai is tarah khud ko giraya nahi karte

apne shabdo se aoro ko itna rulaya nahi karte
bin baat dukhi hokar, apno ko sataya nahi karte!!!
Logged
sahood
Guest
«Reply #112 on: February 23, 2008, 05:26:34 AM »
bahut accha hai itna dard kaise koi apne dil me chupa sakta hai
mere pas kuch shabd hi nahi hai bolne ke liye

kanto ke raahon me hum  chalte rahe
socha koi to humsafar mil jayega
thak gaye hum rahon me tanhai ke
zindagi me socha na tha aisa din aa jayega
aankho me sapne the unse mulaqat ke
socha na tha karte karte intezar dum nikal jayega
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #113 on: February 25, 2008, 03:23:10 PM »
bahut khoooob pooja...bahut hi khoobsurat likha hai...

kisi ko payaar karna gunah ho nahi sakta
magar her kisi ke angan main, pyar ke phool khilaye nahi jaate

kisi ki najaro mai kay aho tum, kaya jaano
apni hi najaro mai is tarah khud ko giraya nahi karte

yeh lines bahut mein bahut gehrai thi....bahut ache pooja..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #114 on: February 25, 2008, 03:37:01 PM »
bahoot bahoot shukaria Khwaish ji and sahood ji!!

bahoot hi achi lines likhi hai apne sahood  ji!!

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #115 on: February 25, 2008, 03:44:21 PM »
Jab pyaar hi dil mein na ho,
to tu hi bata is dil men phir kya reh jaayega

Ek rishta to saans lete lete toot jaata hai
aisa to nahi ke ab sirf dono ke beech  darmiyaan hi reh jayega

jab aag lagti hai to kisi ka sab kuch jala kar raakh kar deti hai
to kisi ke liye roshni bankar
 har raah par sahara ban jaati hai,
par jab aag hi na ho to sirf dhuan reh jaayega....

har insaan  bhi waqt ke hisaab se apna basera badal leta hai
jo pal saath guzare, wahi yaadon ka aashiyan ban kar reh jayega

kisi ne yeh baat khoob kahi thi ke
pyaar karne wale hamesha judaai hi sehte hai
koi yahan to koi wahan reh jaayega....

sab ki apni-apni zindagi hai eh dost
kabhi sochna agar bichde bhi kabhi hum aapse
to kya apke dil mein baaki  koi nishaan reh jaayega....

umeed ka chirag phir kyon jalata hai
apne dil mein "khwaish" ....
jab tera naam jo teri pehchaan hai wahi tere saath na rahe to,
Tu kahan uske dil mein reh jaayega??.....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #116 on: February 25, 2008, 03:57:55 PM »
bahoot khoob khwaish ji!!

Pyar palta hai her seene main,
Dhadakn basati hai her seene main

Rishte toot kar jaate hai bikhar
Ek kirchan rahti hai seene main

Bin lagi agg ka dhua dum ghot deta hai
Dard ka daria basa hai seene main

Raah ban jaati hai apne app hi her baar
Magar kahin bahoot tanhaai hai seene main

Basera badal jaata hai is zisam-o-jaan ka
Bas jaati hai, hamesha ke liye, uski yaad, seene main

Pyar karne wale juda ho bhi jaaye to kaya
Rahte hai wo umarbhar, ek dooje ke seene main

Umeend to hai ek khwaish dil ki
Chupi rahti hai jo her waqat seene main…


Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #117 on: February 25, 2008, 08:08:08 PM »
BAHUT KHOOB POOJA...BAHUT ACHA LIKHA HAI...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #118 on: February 25, 2008, 08:13:28 PM »
BAHUT KHOOB POOJA...BAHUT ACHA LIKHA HAI...

bas inna ja hi... jawab kithe hai janab!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #119 on: February 26, 2008, 09:09:57 PM »
jaane kyon ab woh tadap na rahi intezaar mein
shayad ab yeh dil bhi samaj gaya hai ke yeh kahani
khatam hogi bas apni haar mein....

Dekh kar tujhe is mehfil mein
aaj bhi mehak uth thi hai meri zindagi
par kya karoon, chot si khayi hai aaj apne aitbaar mein.....

aaj kisi ne puch liya mujhse, kyon itni deewangi thi
tujhe uss shaks ke liye,
bas...ab yehi jawaab de paata hoon deewangi kaho ya nadaani
kuch baat hi aisi thi mere yaar mein....

dard cheek utha mera aaj par
mujhe ehsaas bhi na hua
kuch aisi tadap thi mere pyaar mein....

apne labon par koi baat aaye to sab keh dena bahut asaan hai
labo se kuch na kaho, par alfaazo mein haal-e-dil bayaan kar de
kuch aisi ada thi uss fankaar mein....

phir umeed ka chiraag jalate hai "Khwaish"
kehte hai kuch ajeeb sa nasha hai dil-e-bekarar mein

DARD KI DAASTAAN KE PANHE JAB BHI PADHOGE APNI ZINDAGI MEIN,
AAPKO YEH MEHSSOS ZAROOR HOGA KE,
EK BANDA THA JO LIKH GAYA KUCH AAPKE DIL KE DAR-O-DEEWAR MEIN
AUR HOSH BHI NA THA, HAMESHA HOSH MEIN REHNE WALE HOSHIYAAR MEIN....

YAAD RAKHNA KUCH BHI MOOLAYA NAHI HAI DARD KI ISS SANSAR MEIN
KABHI TO AAP BHI ROGE MERE PYAAR MEIN.....
Logged
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 09:11:33 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer