DARD KI DAASTAAN....

by khwaish on February 11, 2008, 10:25:11 AM
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10 11
Print
Author  (Read 10501 times)
Pooja
Guest
«Reply #120 on: February 26, 2008, 09:43:41 PM »
Ander na jaane kaya toot gaya
Pyar to tha nahi, phir bhi dil toot gaya

Samjh anna tujhko tha bahoot lajami
Phir kis nasamjhi per yah dil rooth gaya

Mehfil mai ek ussi se to meri ronak thi
Kaise aitbaar uska itani jaladi toot gaya

Karegi sawal hazaro dunia deewane se
Bin bole rahe sath, kah kar sath toot gaya

Tadap hai sirf tere pyar main yah hi ahsaas raha
Phir kyun koi aor bhi ajj bin baat ke ro gaya

Dard ki dastaan suna kar, dil mai aa jaane wale
Kis zurm mai bana diya ajnabi, yah bhi na batane wale

Dhadak raha hai yah dil, aor kuch toot.ta ja raha hai
Na jaane ajj kaya wo samjhe, mujhko aaina dikhane wale
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
---daastaan--- by killbill in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Saari daastaaN kah diya mayne! by shara63 in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
Ankahee ishq ki ikk daastaan hun.. by nashwani in Ghazals « 1 2  All »
-----/// Daastaan wafaa ki ///----- Hriday by ~Hriday~ in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Daastaan...foolon ki.... by deepraghav in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
honeyrose
Guest
«Reply #121 on: February 27, 2008, 06:39:15 AM »
Khwaish ji ek aur super collection aapka bohat khoob likha hai
aapne
pooja aapne bhi acha reply diya hai.. Usual Smile


Haale dil ab humse kahi sunaya nahi jata
Kisi key pyaar mein chupaya nahi jata

Gum kya hai apna kisise batlaya nahi jata
Kiski shikayat kare aur kisse gila kare

Unke intezar mein umar guzar jate hai   
Woh dard bhi dete hai aur aasu ka pata bhi nahi chalta

Dard key dastaan mein bohat gum-e-ulfat kehe nahi jata
Haale dil ab humse kahi sunaya nahi jata
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #122 on: February 27, 2008, 07:59:30 PM »
Khwaish ji ek aur super collection aapka bohat khoob likha hai
aapne
pooja aapne bhi acha reply diya hai.. Usual Smile


Haale dil ab humse kahi sunaya nahi jata
Kisi key pyaar mein chupaya nahi jata

Gum kya hai apna kisise batlaya nahi jata
Kiski shikayat kare aur kisse gila kare

Unke intezar mein umar guzar jate hai  
Woh dard bhi dete hai aur aasu ka pata bhi nahi chalta

Dard key dastaan mein bohat gum-e-ulfat kehe nahi jata
Haale dil ab humse kahi sunaya nahi jata


THANX A LOT HONEY...AND A NICE ONE TOO...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #123 on: February 27, 2008, 08:01:59 PM »
Jab kabhi iss mehfil mein aa jayenge hum
aur kisi ko nahi, par teri aankhon ko rulaa jayenge hum....

agar iraade pakke ho to dil ka har raaz, raaz ban kar hi reh jata hai
daava hai yeh mera tujhe bhi bahut yaad aayenge hum...

jis lehar ko kinaare tak pahunchna hota hai
woh kabhi na kabhi kinare tak pahunch hi jati hai
apne khamoshiyon se har ek baat keh jayenge hum...

main woh aankh ka aansu hoon
jo kabhi na kabhi beh jaunga
tere hi kadmo ke tale dab kar mar jaunga

dhoond lena jahan tak nazar jaa sake
par tujhe kabhi nazar na aayenge hum....

jaate-jaate deewana apne dil ki baat kehkar to  gaya tha
uss pal ko yaad kar zindagi bhar muskurayenge hum...

dekhna, tujhe bahut yaad aayenge hum....

Logged
Pooja
Guest
«Reply #124 on: February 27, 2008, 08:13:44 PM »
Base ho ankhon mai ansoo ki tarah
Yaad hai teri dil mai ek nasoor ki tarah

Bhule hi kab the tujhe jo tum yaad aoge
Dil mai rahte ho meri, dhadkano ki tarah

Kyun rula kar khud ko mujhe bhi rulate ho
Do zisam hai hum, ek jaan ki tarah

Beh nahi sakte kabhi bhi ankh se tum meri
Badi shiddat se sambhala hai tumhe, apni rooh ki tarah

Nazare dhoonde bhi to kaha dhoonde tujhe duniya main
Her ek soch mai chupe ho tum khayalo ki tarah

Bichard kar bhi khayalo mai is kadar chaye ho
Jaise tum hi ho ek haqiqat, mere sawalo ki tarah!!!!

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #125 on: February 27, 2008, 08:46:22 PM »
BAHUT KHOOOB POOJA...

MOHABBAT KITNI GEHRI HOTI HAI KABHI
MOHABBAT MEIN APNE AAP KO DUBAAKAR DEKHO...

EHSAAS MEIN KITNI SACHAI HAI
EHSAAS KE DAAMAN MEIN KABHI AANSU GIRA KAR DEKHO...

CHAAHAT MEIN KITNI SHIDDAT HAI
KABHI KISI KO KHUD SE ZYAADA BHI CHAAH KAR DEKHO....

MAIN NAHI JAANTA KE ISS DARD KI KOI DAWA HAI YA NAHI
PAR PYAAR MEIN JO DARD MILE USSE KABHI APNAKAR DEKHO....

AAPKO BHOOL KAR KYA HOGI ISS DIL KI HAALAT
KABHI AAENE PE PATHAR MAAR KAR DEKHO....

JAAN JAAOGE MERI KADAR KYA HAI AAPKE  DIL MEIN
KABHI MERI YAAADON MEIN DO BOOND AANSU BAHAKAR DEKHO.....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #126 on: February 27, 2008, 08:49:59 PM »
bahoot khoob khwaish ji!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #127 on: February 27, 2008, 10:13:06 PM »
Muhobaat ki gahraai.. ansuo mai paai hai
Jaana hai yah jab jab, dard ki dastaan sunai hai

Ehsaas jab bhi mere khud ke jazbaato se takraaye hai
Zindagi ki asliyat hi samne aai hai

Daman mai zakhmo ke siwa kuch bhi nahi
Shiddat se ki hui chahat bhi kaam na aai hai

Dard ki dawa khud hi ban gaya dard ab to
Na jaane kis dard ne kab dard ko di dawai hai

Toot kar choor hua aaina kuch is kadar dost
Her ek kirchan ankhon mai simat aai hai

Kadar kon karta hai yaha kab kisi ki
Apni jarurat ki kadar ne hi aoro ki kadar karwai hai

Muhobaat ki gahraai.. ansuo mai paai hai
Jaana hai yah jab jab, dard ki dastaan sunai hai!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #128 on: February 29, 2008, 08:01:20 PM »
MOHABAAT KE SAHARE AB HUM JIYA NAHI KARTE
GHAM KE PYAALO KO YUH PIYA NAHI KARTE

SHIKAYATE HAR SHAKS KO HAI IS JAHAN MEIN
HAR SHIKAYAT KO AB HUM DIL PE LIYA NAHI KARTE...

YEH BAAT JHOOTI HOGI AGAR MAIN YEH KAHOON KE
MUJHE KISI BAAT PAR CHOT NAHI PAHUNCHI
PAR APNE HALAAT KI NUMAAYISH AB HUM KIYA NAHI KARTE...

BAAT KUCH BHI NA HOKAR BHI BAHUT KUCH BAN GAYI
AISE BAAT KA ZIKR AB HUM KHUD SE BHI KIYA NAHI KARTE...

JO ZAKHMO KO SIRF DARD DENA AAYE
AISE ZAKHMO KO AB HUM BHI SIYA NAHI KARTE...

USSI MOD PAR AAJ BHI KHADA HOON JAHAN CHOD GAYE THE
KAMBAKT ITNA AITBAAR TO HUM KHUD PAR BHI KIYA NAHI KARTE...

GHAM KA KARIDAAR HOON,AAP KA HAR EK GHAM LE LUNGA
PAR "KHWAISH" APNE GHAM KISI KO DIYA NAHI KARTE....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #129 on: February 29, 2008, 08:10:03 PM »
Wah wah wah kaya baat hai.. bahoot hi khoob likha hai khwaish ji!! Ajj to apki kalam.. gajab .. gajab... gajab ....

Muhobat ban jaati hai kab sahara pata nahi chalta
Yaadon ke vish ka kab ho jaaye paan, pata nahi chalta

Behte hai ansoo to samjh mai atta hai
Bin barsaat ke, zakhmo ka pata nahi chalta

Chot lag jaati hai pathar ko bhi, sheeshe ki baat na kar
Haalat kab kaha ban jaaye numaaish, pata nahi chalta

Baat hoti hai kahin kuch, tabhi to dil ko lag jaati hai
Hote hai roj kitne hadse, per is dil ko pata nahi chalta

Zakham hai kabhi na kabhi to dard de jayege
Yah alag baat, aoro ke zakham ka dard pata nahi chalta

Intzaar-e-aitbaar per na kabhi utha koi sawal
Magar kab nigah-e-fidrat badal jaaye, pata nahi chalta

Kharidta hai yaha kon kis ke liye kuch Pooja
Badalte mosam main, zajbaat-e-ahsaas, pata nahi chalta!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #130 on: February 29, 2008, 08:27:18 PM »
KISI AUR KE DARD KO SAMBHAAL PANA BHI ASAAN NAHI HOTA
JAHAN PAR SHART LAGAYI JAAYE WAHA PAR PYAAR NAHI HOTA...

JIN ZAKHMO KO AADAT SI PAD JAAYE DARD SEHNE KI
KUCH WAQT KE BAAD PHIR UNN ZAKHMO KO KUCH DARD NAHI HOTA...

AAENE KI KISMAT BHI KUCH AJEEB SI HAI
JAB TAK KOI DAAG NAHI TO
HAR SHAKS APNE AAP KO USS AAENE MEIN NIHAAREGA,
EK LAKEER BHI PAD JAAYE TO USKA KOI GHAR NAHI HOTA....

SHIKAYATE KARTE-KARTE KABHI KABHI UMAR GUZAR JAATI HAI
SHIKAYATO SE EH DOST KABHI KUCH HAASIL NAHI HOTA....

ROOTH BHI JAAOGE TO AAJ TUMHE TUMHARA APNA MANAEGA
BEETE WAQT KE SAATH WOH APNA BHI PAAS NAHI HOTA....

AAG JAHAN LAGNI HAI WAHA LAG HI JAATI HAI
AAG LAGNE SE PEHLE KABHI DHUAN NAHI HOTA....

WOH KUCH NAHI KEHTA HAI TO WOH KABIL-E-TAARIF HAI
HAR SHAKS USKE JAISA YUH BEZUBAAN NAHI HOTA....

AGAR JAATE JAATE WOH SHAKS MUD KE DEKHTA HAI TO
USKI MOHABBAT MEIN SACHAI KITNI HAI,YEH PATA CHALTA HAI,
HAR EK GHAR KE NASSEB MEIN DIYA NAHI HOTA....

KADAR KARLO USKI JO AAJ AAPKA HAI
KYA PATA,WOH SHAKS JO AAJ ITNA KAREEB HAI
KAL DOOR DOOR TAK USKA PATA BHI NAHI HOTA....

Logged
Pooja
Guest
«Reply #131 on: February 29, 2008, 08:30:31 PM »
bahoot khoob khwaish ji.. yah lines bahoot achi lagi...

ROOTH BHI JAAOGE TO AAJ TUMHE TUMHARA APNA MANAEGA
BEETE WAQT KE SAATH WOH APNA BHI PAAS NAHI HOTA....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #132 on: February 29, 2008, 08:37:18 PM »
Dard jab tak na ho mehsoos wo dard nahi hota
Kisi ke dard ka ahsaas, uski najar se nahi hota

Zakhmo ki adat pad jaaye to zakham ache lagte hai
Magar yah na kabhi kahna ki zakhmo main dard nahi hota

Aaine ki daraar kar jaati hai beghar usko
Pyar karne walo ka bhi yahi haal, kaya mere dost nahi hota

Shikayat hoti hai apno se kuch to soch kar yaha
Her ek shakas, shikayat karne ke layak nahi hota

Waqat ke sath sath judai ke bahoot zakham paaye hai
Ab to kisi bhi judai mai, ankh main ansoo nahi hota

Bezuban hi sahi, be-dil to nahi wo dost
Ab yah na kahna ki khamosh dil mai kabhi dard nahi hota

Shabdo se bhi jise dil ka haal pata na chal saka
Aise insaan ko nigah-e-andaaz ka koi ahsaas nahi hota

Kadar kitani hai kis ko yah kaise bayan kare koi
Jab ek choti si hi baat ka, yaha koi maan nahi hota!!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #133 on: February 29, 2008, 08:52:08 PM »
KISSE KAHIYE APNA,DARR SA LAGTA HAI
ZINDAGI MEIN KOI APNA SACH MEIN HAI BHI YA NAHI??

JO TASVEER MEIN SACHAI JHALAK UTHE
HAQEEQAT MEIN AISI KOI TASVEER HAI BHI YA NAHI??

APNI TAMAANAYEN APNE SAATH HAI "KHWAISH"
PAR USKE DIL MEIN BHI AB KOI
TAMANNA HAI BHI YA NAHI??

JAB DIL DARD SE CHEEK UTH THA HAI
TO UMMED HOTI HAI KISI KE DILAASE KI,
PAR SOCHTA HOON,DILAASE DENE WALE SHAKS
BHI KAREEB HAI BHI YA NAHI??

LOG TO BAHUT MIL JAAYENGE ISS JAHAN MEIN
PAR ISS DUNIYA MEIN SACH MAAYNE SE KOI
INSAAN HAI BHI YA NAHI??

KISI KO PARAYA KEH DENE SE WOH SACH MEIN PARAYA HO JAATA HAI
AISE MEIN KOI APNA YAHAN HAI BHI YA NAHI??

AAJ APNE EHSAAS BHI CHUP SE BAITHE HAI DIL MEIN
"KHWAISH" AAJ ZINDA HAI BHI YA NAHI??
Logged
Pooja
Guest
«Reply #134 on: February 29, 2008, 08:56:07 PM »
Bahoot hi bhawanao se bhari hui apen yah kavita likhi hai.. ek dard bhari cheekh hai apki is kavita main… bahoot achi tarah se apne shabdo ko dard mai dubo kar likha hai!! Ek ek line dil ko chu rahi hai… bahoot khoob khwaish ji!!
Logged
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10 11
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 10:03:47 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer