DARD KI DAASTAAN....

by khwaish on February 11, 2008, 10:25:11 AM
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10] 11
Print
Author  (Read 10524 times)
Pooja
Guest
«Reply #135 on: February 29, 2008, 10:38:54 PM »
Tanhaai ne yahi hume samjhaya hai
Dard ne hi ek sath nibhaya hai

Tasveer jo hum bana lete hai apne dil main
Haqiqat main waisa na kabhi kuch paaya hai

Tamnaaaye hai kaya, koi samjha de mujhe
Ajj uski tamnna ko apni tamnna se ladte paaya hai

Dard ki check sunai di hai yaha tak mujhe
Na jaane phir bhi jaate hue sathi ko yah dil rok nahi paya hai

Insaan se bane logo main, ajj ek insaan ki hai talash
Khud per ron a saki ajj, khuda per rona ayya hai

Praya Kahne se agar koi bhi ban jaata paraya
Phir apne kahne per kyun wo apna na hone paaya hai

Apne ahsaas ke chup hone ka hai ahsaas tujhe
Najar bhi na padi, kisi shaks ko ajj tune kitna rulada hai

Tanhaai ne yahi hume samjhaya hai
Dard ne hi ek sath nibhaya hai!!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
---daastaan--- by killbill in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Saari daastaaN kah diya mayne! by shara63 in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
Ankahee ishq ki ikk daastaan hun.. by nashwani in Ghazals « 1 2  All »
-----/// Daastaan wafaa ki ///----- Hriday by ~Hriday~ in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Daastaan...foolon ki.... by deepraghav in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #136 on: March 02, 2008, 05:07:48 AM »
BAHUT KHOOB POOJAJI..HAR EK SHABD,HAR EK LINE DIL KO CHU GAYI..
BAHUT ACHE POOJAJI..YEH LINES TO BAHUT HI KHOOB LIKHI AAPNE..

"Tamnaaaye hai kaya, koi samjha de mujhe
Ajj uski tamnna ko apni tamnna se ladte paaya hai

Dard ki check sunai di hai yaha tak mujhe
Na jaane phir bhi jaate hue sathi ko yah dil rok nahi paya hai

Insaan se bane logo main, ajj ek insaan ki hai talash
Khud per ron a saki ajj, khuda per rona ayya hai"
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #137 on: March 03, 2008, 08:05:10 PM »
AJEEB SI HAI YEH ZINDAGI
MUJHE HAMESHA APNE MAJBOORIYON KA EHSAAS DILATI HAI...

CHAAHE KITNE BHI KHWAAB TOOT CHUKE HO IN AANKHON MEIN
NAYE KHWAAB TOOTNE KE LIYE
PHIR YEH AANKHON MEIN SAJATI HAI....

MUSAFIR APNE MANZIL PAR PAHUNCHNE WALA HI HOTA HAI KE
MANZIL MUSAFIR SE DOOR HO JAATI HAI....

"KHWAISH" KE SABR KO AAKHRI DAM TAK AAZMATI HAI...

JISSE MOHAABT HO USSI KE BEECH YEH DOORIYAN LAATI HAI
PHIR BHI "KHWAISH" APNE DIL KO TASALLI DETA HAI
DOORIYAN HI DIL KO AUR  NAZDEEK LATI HAI....

Logged
Pooja
Guest
«Reply #138 on: March 03, 2008, 09:26:08 PM »
BAHUT KHOOB POOJAJI..HAR EK SHABD,HAR EK LINE DIL KO CHU GAYI..
BAHUT ACHE POOJAJI..YEH LINES TO BAHUT HI KHOOB LIKHI AAPNE..

"Tamnaaaye hai kaya, koi samjha de mujhe
Ajj uski tamnna ko apni tamnna se ladte paaya hai

Dard ki check sunai di hai yaha tak mujhe
Na jaane phir bhi jaate hue sathi ko yah dil rok nahi paya hai

Insaan se bane logo main, ajj ek insaan ki hai talash
Khud per ro na saki ajj, khuda per rona ayya hai"


bahoot bahoot shukaria khwaish ji!! sahi kaha .. ajj dobara jab apni kavita pardi.. such mai yah lines bahoot gahri likhi gai hai:)  Thanks for helping me... app acha likhte hai tabhi mujhse acha likha jaata hai!!! Team Work Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #139 on: March 03, 2008, 09:29:33 PM »
Ajeeb itefaak hai ki dard tera mujhe mujh sa lage
Ansoo tere jo kahe kahani, kyun alag na lage

Chaht, khwab, armaan sab majboor hue kismat agge
Kyun her ek yaha kismat se ladta lage

Doorio main bhi usko kareeb paaya hai tune
Such kaha Tu to mujhe uska deewana lage

Dard ko bayan karne ka shouk nahi hai mujhe
Magar kaya kare, jab koi bahoot jaana pehchana sa lage
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #140 on: March 04, 2008, 05:55:24 PM »
KUCH NAHI MILTA YAHAN APNE GHAM KO NICHODKAR
INSAAN KA KYA HAI,WOH TO CHALE JAATA HAI TOOTE DIL KO AUR BHI TODKAR..

APNE DARD KI BAS ITNI SI KAHANI REH JAATI HAI,
INSAAN PHIR BHI JEENE KI KOSHISH KARTA HAI
DIL KE TOOTE HUE TUKDO KO PHIR JODKAR....

AB APNI ZINDAGI BHI JUNG KI MAIDAAN SI LAGTI HAI
KAHAN BHAAG PAAYEGA SIPAHI APNA MAIDAAN CHODKAR....

CHALTE-CHALTE YEH GUMAAN HOTA HAI KE
KAASH HUM APNE RAAHEIN APNE HISAAB SE BADAL PAATE,
PAR KASHTIYAN WAHI CHALTI HAI,
JAHAN HAVAYE LE JAAYE USSE MODKAR....

ZINDAGI MEIN KUCH SAWAAL AISE BHI HOTE HAI JINKE JAWAAB NAHI HOTE
PAR JAB JAWAAB MIL BHI JAAYE TO WAQT SAWAAL HI BADAL DETA HAI
CHOD SA DETA HAI INSAAN KO APNE MAJBOORIYON MEIN JHINJODKAR...

KUCH NAHI MILTA YAHA APNE GHAM KO NICHODKAR....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #141 on: March 04, 2008, 06:10:22 PM »
wah kay abaat hai.. ek ek line bahoot kamal ki likhi hai apne khwaish ji!! good work!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #142 on: March 04, 2008, 06:14:04 PM »
BAHUT BAHUT SHUKRIYA POOJA..PAR AAPKA JAWAAB KAHA HAI?? icon_scratch
Logged
Pooja
Guest
«Reply #143 on: March 04, 2008, 06:15:00 PM »
 dontknow tongue3
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #144 on: March 12, 2008, 05:36:35 PM »
SAMAJ TO LI HAI DUNIYA KI HAQEEQAT
MAGAR AB APNA DIL BEHLA RAHA HOON...
JO KHWAAB DEKHTE HO,WOH TOOTEGA ZAROOR!!!
AB YEH SHART APNI AANKHON SE LAGA RAHA HOON...

KOI JAB PUCH LETA HAI"YEH JHOOTI MUSKAAN CHEHRE PE LIYE
KYON PHIRTE REHTE HO "KHWAISH"??
KEH DETA HOON APNE DARD KI NUMAYISH KARNE KI AADAT NAHI HUME
ISLIYE  APNE CHEHRE PAR AB MUSKAAN SAJA RAHA HOON.....

MANZIL KI TALAASH MEIN CHALTA REHTA HAI MUSAFIR
KHUDA HI JAANE,AB KIS RAAH PAR MAIN JAA RAHA HOON....



Logged
Pooja
Guest
«Reply #145 on: March 12, 2008, 05:49:51 PM »
bahoot khoob khwaish ji!!! jawab jalad hi likhne ki koshish hogi!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #146 on: March 12, 2008, 05:53:02 PM »
SHUKRIYA MOHTARMA!!! AAPKE JAWAAB KA INTEZAAR QAYAMAT TAK RAHEGA.. icon_geek
Logged
Pooja
Guest
«Reply #147 on: March 14, 2008, 03:07:40 PM »
Bahoot dino baad ajj phir dard ki yaad aai hai
Tha kahin ander, magar ajj na jaane kyun awaz lagai hai
Tanha tanha sa yah mosam, tanha tanha si tanhaai hai
Ashqo ka sath dene, her ek yaad ajj chali aai hai

Dard ki dastaam mai kahe kaya dard ki dastaan
dard mere mai ya samunder ke pani mai jayada gahrai hai
doob kar issi smunder main kyun na mila du yah gahraai
Soch ab to yahi Pooja ke man mai chali aai hai

Bahoot dino baad ajj phir dard ki yaad aai hai..........
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #148 on: March 14, 2008, 03:16:24 PM »
Bahoot dino baad ajj phir dard ki yaad aai hai
Tha kahin ander, magar ajj na jaane kyun awaz lagai hai
Tanha tanha sa yah mosam, tanha tanha si tanhaai hai
Ashqo ka sath dene, her ek yaad ajj chali aai hai

Dard ki dastaam mai kahe kaya dard ki dastaan
dard mere mai ya samunder ke pani mai jayada gahrai hai
doob kar issi smunder main kyun na mila du yah gahraai
Soch ab to yahi Pooja ke man mai chali aai hai

Bahoot dino baad ajj phir dard ki yaad aai hai..........


BAHUT KHOOOB POOJAJI..BAHUT ACHA LIKHA HAI.. Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #149 on: March 14, 2008, 03:43:16 PM »
shukaria khwaish ji!!!
Logged
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10] 11
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 03:10:00 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer