DARD KI DAASTAAN....

by khwaish on February 11, 2008, 10:25:11 AM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 11
Print
Author  (Read 10499 times)
Pooja
Guest
«Reply #15 on: February 11, 2008, 10:17:47 PM »
Dard ki pehchan he uske dard ne batai hai
Guman hota hai wahan bhi bahoot tanhai hai

Haasil-e-muhobaat ko ab kon dekhein
Jahan dost ne pyar main shaan ki baat batai hai

Chot khai hai aor khate rahege hum to
Jaan kis main kitani, yah baat kaha pahunch aai hai

Manjar kabhi na jayega us pal ka ankhon se
Jahan faslo ki deewar bich mai aai hai

Armaan ek ek kar ke bikharta he gaya
Na jaane kis ne kaise hawa yah chalai hai

Nafrat ki andhi bhi waha kuch kar nahi sakti
Jahan dost ne dost ki baat se baat milaai hai

Mehmaan to her pal, agle pal ka hota hai
Her jaane wale pal ne yah baat samjhai hai

Shikayar karne ka andaz koi to sikhe mere dost se
Khud ko rula kar jisne ajj meri ankhein rulaai hai!!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
---daastaan--- by killbill in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Saari daastaaN kah diya mayne! by shara63 in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
Ankahee ishq ki ikk daastaan hun.. by nashwani in Ghazals « 1 2  All »
-----/// Daastaan wafaa ki ///----- Hriday by ~Hriday~ in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Daastaan...foolon ki.... by deepraghav in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #16 on: February 11, 2008, 10:23:01 PM »
DARD APNA KUCH AISA HO KE
APNE DARD SE TAKLEEF KISI KO NA HO..
DIL JAL KAR BESHAK RAAKH HO JAAYE
PAR ISKI PEHCHAAN KISI KO NA HO..

MUJHE USKE SAARE GHAM DEDE
MAIN HAS KE APNA LUNGA,BAS FARIYAD ITNI HAI AAPSE EH KHUDA
USSE IS BAAT KA GUMAAN BHI NA HO...

TUJHSE BICHAD KAR ZINDA REHNA BHI EK MAUT BARAABAR HAI
DIL MEIN KABHI AISE ARMAAN BHI NA HO...

JO KAHE-SUNE WOH DIL SE NIKLE
APNE BEECH MEIN KABHI DUNIYA DAARI
KI BICHE HUE JAAL KI DARMIYAAN BHI NA HO...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #17 on: February 11, 2008, 10:28:44 PM »
Dard hai tera to takleef yaha tak ayegi
Juban rahe band beshaq,
ehsaas ki andhi sab samjhayegi

kisi ka gum jo le sakta is dunia main koi
to bata de mere dost
phir insaaniyat kaha reh payegi

gumaan dil ka dil ko khud hi ho jaata hai
warna pyar ki baat kaha such rah payegi

bichard kar bhi jab koi bichrdta nahi
wahan judai ki baat kaha rah jayegi

kaha suna to dil se hi jaata hai
warna dosti wali baat kaha rah jayegi!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #18 on: February 11, 2008, 10:38:28 PM »
UNSE KABHI NA PUCHU JO AAPKI HAAN MEIN MAAN MILA DENGE..
DAWA DENE KE BAHAANE SE EK NAYA ZAKHM KHILA DENGE..

NA SAMAJ PAAOGE KABHI "KHWAISH" KE
DARD KI GEHRAAI KO AAP
HUM WOH HASTI HAI JO KHAAK MEIN APNE NISHAAN BHI  MITA DENGE..

HUM JAB ROTE HAI TO HAWA BHI HUME NAHI CHEDTI
PAR JAB AAP ROGE,HUM  APNI JAAN DEKAR BHI AAPKO HASA DENGE..

ITNI SHIDDAT SE MOHABBAT KARTA HOON MAIN
DEKHNA KABHI TUJHE BHI KHUDA SE MILA DENGE...

KHUD KI KHUSHIYON KO NAZAR LAG GAYI HAI KOI GHAM NAHI
PAR TERI ZINDAGI KO KHUSHIYON KE PALO SE SAJA DENGE...

AAP NE  JO ZAKHM  DIYA THA WOH AAJ BHI DARD DETA HAI
PAR AAP KHUSH RAHE HAMESHA ,YEH DIL SE DUA DENGE...
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #19 on: February 11, 2008, 10:40:42 PM »
Pooja, Khwaish bro

Aaj to do dhurandhar bhid gaye shayari mein !

Kya zabardast likha hai aap dono ne !

Ek mehfil si jam gayi yahan !

Very well done !

Bravo !
Logged
Pooja
Guest
«Reply #20 on: February 11, 2008, 10:50:42 PM »
Dekhain hai bahoot yaha per sunane wale
Dil dekar, jaan bhi de jaane wale

Waqat anne per her kisi ka khuda bas wo hi hota hai
Muhobaat main na jaane kaya kaya kasme khane wale

Roti ankhoon ko to dunia aor rulaati hai
Samjh le yah baat, e-dost ansoo bahane wale

Samjh sakta nahi koi bhi kisi ko is dunia main
Her taraf log hai, apni hi dard ki socho main doobne wale

Shiddat se kabhi khud ko bhi pyar ker ke dekh
Har taraf milege phir tujhko hi pyar karne wale

Khushia kabhi bhi her kisi ke hath nahi atti
Bahoot kam milte hai, mard-e-khuda himmat wale

Zakham koi kaya dega kisi insaan ko ab dunia mai
Apne hi ehsaas de jaate hai daga, zakham dene wale

Dua kash yah meri bhi kabool ajj ho jaaye
Muskurate rahe wo, mujhe baar baar rulane wale
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #21 on: February 11, 2008, 11:00:38 PM »
DOST BANA KAR PHIR BHOOL JATE KYON HO
APNI KHOOBSURAT HASTI KO APNE HI HAATHON SE MITAATE KYON HO..

JAB ACHE HO TO DUNIYA KO DIKHAO
APNI NEKI KO DOSTO SE CHUPAATE KYON HO...

JAB JAANTE HO DIL KAHIN AUR SUKOON NA PAAYEGA
PHIR MEHFIL MEIN AAKAR KAHIN AUR APNA MAN BEHLAATE KYON HO...

KABHI KABHI SOCH MAIN PAD JAATA HOON
KYA KAHOON AAPSE,ISS NACHEEZ KO ITNA AZMAATE KYON HO...

MAJBOORIYON KE HAATH MERA JAZBAAT BHIK CHUKE HAI
PHIR WAHI PAL KO AANKHON KE SAAMNE LATE KYON HO...

NA KARO NAFRAT KA WOH DIKHAWA JISSE TUM NIBHA NA SAKO,
AANKHO SE SACHAI JHALAKTI HAI,KISI KO ITNA  CHAAHTE KYON HO...

DARD HAI TO BEH JAANE DO IN AANSUO KO
IN AANSUO KO APNE AANKHON MEIN CHUPATE KYON HO...

JO BAAT  KHUD NA SAMAJ SAKE AAP
KISI AUR KO AAKHIR SAMJHAATE KYON HO...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #22 on: February 11, 2008, 11:11:58 PM »
Bhoola nahi hai koi warna sath na nibhaya jaata
Khusurat lamho ko is tarah waqat se na churaya jaata

Dar hai ki kahin khud ki hi najar na lag jaaye
Warna jante hai hum, dosto se nahi kuch chupaya jaata

Dil ka sakoon teri hi baato se churate hai hum to
Bin tere kisi mehfil mai khud ko bithaya nahi jaata

Soch teri per maine bhi bahoot socha hai
Kabhi kabhi kisi sawal ka jawab, kahin se bhi, paaya nahi jaata

Majboori ko ab kaise yah dil bayan kare
Her halaato ko, dosto ko samjhaya nahi jaata

Kis ne kaha ki humko nafrat hai tumse
Aisa ilzaam kabhi dosto per lagaya nahi jaata

Nibha sakte hai kaya aor kaya nibha jayege
Her ek baat ko mehfil mai bataya nahi jaata

Dard mai behte hi rahte hai yah ansoo
zakhmoko ab lub per laaya nahi jaata

Samjh kar bhi na jaane kyun samjh nahi hai aai
Such kaha ki her dil ki baat ko samjhaya nahi jaata!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #23 on: February 11, 2008, 11:18:25 PM »
USKE DARD KO DEKH KAR DIL MERA BHI RONE LAGA
EK PAL AISA BHI AAYA JAHAN SABR MAIN BHI KHONE LAGA

DEKH KAR UNKE AANKHON MEIN AANSU
SAMAJ AAYA HUMEIN,HAMARI JUDAI KA ASAR AB UNHE BHI HONE LAGA...

UNHE MAAYUS DEKH KAR MAIN BHI PARESHAAN HOON
AAJ SUKH-CHAIN MAIN BHI KHONE LAGA..

KYA KAHOON KYA BEETI DIL MEIN JAB UNHONE
APNA HAAL-E-DIL HUME SUNAYA
DO DIL EK JISM HAI,KUCH YUH MEHSOOS HONE LAGA...

JAHAN DARD HO WAHA DUA ZAROOR HOTI HAI DOST
MERI DIL AB AAP KE LIYE NAYI UMEEDE AUR
AANKHON MEIN NAYE SAPNE PIRONE LAGA...

AB MILA HOON AAPSE BHEED MEIN KHO JAANE KE BAAD
MILA HOON,TO DIL AB KHUSHIYON KE AANSU RONE LAGA...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #24 on: February 11, 2008, 11:24:29 PM »
Milan ka arth hai judai yah samjh kar milna
Mosam ki hawa ko dekh kar agge badna

Ansoo aa jaate hai her kisi ko dekh kar dukhi
Apne ansuo ko jara pehchan kar milna

Preshani teri mujhe bhi kar gai hai preshan
Apni is preshani ko samjh kar milna

Haal-e-dil ajj juban per jo ayya hai
Dil ko apna haal samjha kar milna

Sapne aksar atte hai andhiari raato main
Diya koi jala kar, roshani main, milna

Bheed mai bhi kabhi koi kho nahi sakta
Apni hasti main meri hasati mila kar, milna
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #25 on: February 11, 2008, 11:30:15 PM »
AAPKE  HAR EK GHAM KO PEHCHAANTA HOON MAIN
NA KAHO KE YEH AANSU NAHI HAI,IN AANSUO KI KEEMAT
ACHI TARAH JAANTA HOON MAIN....

LOG KEHTE HAI KE MOHAABAT SE BADH KAR KOI SAZA NAHI,
PAR MOHAABAT TO ZINDAGI KA DUSRA NAAM HAI,YEH MAANTA HOON MAIN

NA SAMAJO KI MUJHE AAP KI KOI PARWAAH NAHI
AAPKE HAR EK DARD KO APNE DIL MEIN SAMBHAALTA HOON MAIN....

AAP JAB BHI CHALTE HO ANDHERO MEIN KAHI
AAPKI PARCHAI MEIN APNE AAP KO DHAALTA HOON MAIN...

ISS BADHKAR MOHABBAT KYA HOGI
APNE AAP SE ZYAADA AAPKO CHAAHTA HOON MAIN...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #26 on: February 11, 2008, 11:47:38 PM »
Chahat shayad kisi ko kisi ki samjhai nahi  jaati
Palte hai armaan dil main, zazbaato ki kimat lagai nahi jaati

Mohubat saza hai ya hai khud ko ek dhoka
Yah pehchan humse kisi ko karai nahi jaati

Dhoop mai to saya bhi chord deta hai sath
Kisi ko apni parchai ki dhal banai nahi jaati

Muhobat karna to karna soch kar e dost
Zindagi ya mout, phir koi shart lagai nahi jaati!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #27 on: February 11, 2008, 11:52:46 PM »
MAIN MUSKURATA HOON TO YEH NA SAMAJNA KE MUJHE KOI GHAM NAHI HAI,
ROTA HOON MAIN KHAMOSHI SE BHARE AANSU
BAS...MERI AANKHEIN DUNIYA KE HISAAB SE NAM NAHI HAI....

HASNE WALA JEETA HAI LOGON  KE HISAAB SE
HASNE WALE KE PAAS YEH NA SAMAJNE,KE GHAM KAM NAHI HAI....

KUCH JAZBAAT AISE HOTE HAI JINHE BEH DENA CHAAHIYE
AISE DARD KI KOI MARHAM NAHI HAI....

HUM DONO APNI APNI ZINDAGI JEETE HAI
PAR SOCHNA KABHI EH DOST...

EK DUSRE KE KHAYALO SE KAHI NA KHAI JUDE HAI HUM DONO
AB AAP HI KAHO KYA  HUM DONO AB HUMDARD HUMDUM  NAHI HAI....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #28 on: February 11, 2008, 11:58:38 PM »
Dard ki nagari se yaha her koi ayya hai
Kon apna kon yaha paraya hai

Her ek ka dard lagta hai apna sa
Her ek yaha apna hi ho ayya hai

Zazbaat tere dil ke chu jaate hai dil ko
Bahoot sawalo ke jawab ko uljhata paya hai

Hansega kaise zamana kisi ke upper
Her koi yaha zakham kha kar ayya hai

Bahte hai zazbaat mere shabdo se
Kalam ko issi liye to humne sajaya hai

Zindagi hai apni apni jab yah maan liya
Phir kyun aisa sawal juban per ayya hai
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #29 on: February 12, 2008, 12:10:18 AM »
JISSE TUM PARAYA KEHTE HO
DEKHNA KABHI WOH APNO SE APNA NA LAGE...

JINKA APNA DARD BHI NAHI SAMBHALTA,
AAJ WOH DUSRO KE GHAM KO BHI APNANE LAGE...

JAZBAAT AISE THE JO RUKH NA PAAYE
AAJ IN SAWAALO KO SULJHANE MAIN SHAYAD
AAPKO ZAMAAANA LAGE....

HAR KOI CHEHRA JHOOTI MUSKAAN SE SAJATA HAI
KEHTA HAI SAB KO YEH CHEHRA HI BAS SUHANA LAGE...

KUCH SAWAAL DIL KE DIL MEIN HI REH JAATE HAI
PUCH LENA HI BEHTAR HOTA HAI,
BAS...SHART YEH HAI KE BURA NA LAGE....


Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 11
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 04:12:39 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer