DARD KI DAASTAAN....

by khwaish on February 11, 2008, 10:25:11 AM
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11]
Print
Author  (Read 10525 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #150 on: March 24, 2008, 10:09:50 PM »
Ek Aansu ka katra sambhaal kar rakha tha
aaj bahaya usse to Samundar nikla

Jahan tak Nazar Jaa Sake,
dekhta raha tujhe par
ek baar jab jhabki palak to tujhe phir se,
dekhna ka haath se afsar nikla...

Kabhi Maine Khushiyon aur gham ko tola nahi
par jab kiya hisaab...
to gham ka hissa zindagi mein
khushiyon se bahut badhkar nikla...

Ajeeb Log baste hai eh khuda teri is duniya mein
honto par duayen,dil mein irka aur jalan
insaan andar kuch,bahaar kuch nikla...

Har insaan ki apni apni kahani hai
kisi ke liye khuda to kisi ke liye sirf pathar nikla

tujhse phoolon ki khwaish  kabhi na thi mujhe,
par tujhse dil ko raahat deni wali baat
suune ke liye tarasta raha hai mera dil,
par jab dekha tera haath
to usme mere liye
chupa hua ek khanjar nika...

zindagi ke har mod par sochta raha
agar aisa hota to shayad acha hota

HAS PADA APNE AAP PE,
"KHWAISH" TERE DIL MEIN TO HAMESHA
KHWAISHO KA DAFTAR NIKLA....


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
---daastaan--- by killbill in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Saari daastaaN kah diya mayne! by shara63 in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
Ankahee ishq ki ikk daastaan hun.. by nashwani in Ghazals « 1 2  All »
-----/// Daastaan wafaa ki ///----- Hriday by ~Hriday~ in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Daastaan...foolon ki.... by deepraghav in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
Pooja
Guest
«Reply #151 on: March 24, 2008, 10:13:44 PM »
wah kaya baat hai.. bahoot khoob khwaish ji!! yah lines sabse jayada achi lagi:

Har insaan ki apni apni kahani hai
kisi ke liye khuda to kisi ke liye sirf pathar nikla
Logged
Pooja
Guest
«Reply #152 on: March 24, 2008, 10:17:00 PM »
bahoot rona chaha jab, ek katre ne bhi na sath nibhaya
ashqo ne na jaane kahatha, sara samunder chupaya

dekhati rahi nigahein us ek nigah ko door talak
jis nigah ne tha kabi apni palko per mujhko bithaya

door talak phaili hai roshini, door talak jaati kai raahein
na jaane kyun kabhi kisi bhi raah ka na tha khayal ayya

nikale hai to kahin nikal hi jayege is zindagi main hum bhi
ab to kaya koi khushi, koi gum, kisi mai ab Pooja ko koi farak najar nahi ayya!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #153 on: March 24, 2008, 10:23:04 PM »
Bahut khooob pooja... dard aur maayusi ka ehsaas hua hai aapki yeh kalam padhkar..bahut jazbaati kavita likhi hai aapne..yeh line to bahut hi achi lagi hai

"nikale hai to kahin nikal hi jayege is zindagi main hum bhi
ab to kaya koi khushi, koi gum, kisi mai ab Pooja ko koi farak najar nahi ayya!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #154 on: March 24, 2008, 10:31:53 PM »
SHUKARIA KHWAISH JI!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #155 on: May 12, 2008, 07:23:32 PM »
bahut der koshish ki par kuch sahi likh na paaya,
phir bhi post kar raha hoon..

subeh se lekar shaam tak
tanhai ke shehar mein hum baste hai
waqt ke mez pe hum dard ke guldaste hai....

kuch ajeeb daur hai duniya mein aaj kal logon,
yahan khushi to bahut mehangi hai par gham saste hai....

jisse dekho woh apni hi zindagi ko sawaarne mein laga hai,
yeh insaan hai aaj ke daur ka,andar kuch aur bahaar se kuch aur dikhte hai

"khwaish" khushi mein teri har koi muskura lega,
par kisi ke gham pe jo aansu bahaye,
woh insaan nahi hai,woh farishte hai....


Logged
Pooja
Guest
«Reply #156 on: May 12, 2008, 08:41:37 PM »
khwaish ji ajj app pure mood main hai!! jalad he kuch likhne ki koshish hogi

yeh insaan hai aaj ke daur ka,andar kuch aur bahaar se kuch aur dikhte hai
Logged
nikss
Guest
«Reply #157 on: May 13, 2008, 01:44:04 PM »
Good work
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #158 on: May 13, 2008, 01:51:18 PM »
Pooja sis aur khwaish ji bohat hi khoob likha hai aapne  Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #159 on: August 20, 2010, 01:21:47 PM »
khwaish ji ajj app pure mood main hai!! jalad he kuch likhne ki koshish hogi

yeh insaan hai aaj ke daur ka,andar kuch aur bahaar se kuch aur dikhte hai

pooja, hum To Humesha Likhne Ke Modd Mein rehte Hai..

Par Aap Hi kahi Nahi nazar nahi Aate..

Missing You A Lottttttttttttttttttttttttt sad11
Logged
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 03:16:32 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer