DARD KI DAASTAAN....

by khwaish on February 11, 2008, 10:25:11 AM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 11
Print
Author  (Read 10672 times)
Pooja
Guest
«Reply #45 on: February 13, 2008, 08:09:24 PM »
Na jaane sach kyun itna satata hai
Jo beet gaya wo khwab ban jaata hai

Atte hai khwab aor rula jaate hai
Insaan bebas, ek kathputali ban jaata hai

Shikayat hai tabhi to dard itna hota hai
Phir kyun yah such kahne se insaan dar jaata hai

Dhadkano mai jo bas gaya, wo to hai wahin
Phir kyun tu apni dhadkan ko dhoondein jaata hai

Muhobaat hai khushbu, bahon mai qaid na hogi
e-pagal insaan kyun tu yah nahi samjh paata hai

ansoo apnaaye hai to pi ja inko hanste hanste
lagta hai khwabo ki nagari mai ajj bhi tu ghar basata hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
---daastaan--- by killbill in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Saari daastaaN kah diya mayne! by shara63 in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
Ankahee ishq ki ikk daastaan hun.. by nashwani in Ghazals « 1 2  All »
-----/// Daastaan wafaa ki ///----- Hriday by ~Hriday~ in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Daastaan...foolon ki.... by deepraghav in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #46 on: February 13, 2008, 08:20:37 PM »
SAJAATE HAI WOH MEHFIL MERI KHUSHI KE LIYE
EK EHSAAN SA KARTE HAI WOH MERI ZINDAGI KE LIYE

DARD BHI KHUD DETE HAI AUR KEHTE HAI DAWA ZAROOR KARNA,
SOCHTA HOON KYA WAJEH HAI YEH BERUKHI KE LIYE

"KHWAISH" JEETA HAI AAJ BHI WAQT SE LADTE HUE
KAUN MARTA HAI YAHAN KHUDKHUSI KE LIYE

ISS MEHFIL MEIN AAKAR APNA DARD ALFAASO MEIN LIKH KAR
KUCH HAD TAK KAM KAR JAATA HOON
PAR LOG SAMAJTE HAI
YEH AATA HAI SIRF MAIKASHI KE LIYE....

AAJ BHI APNE AANSUO KO APNE AANKHON MEIN CHUPA KAR RAKHTA HOON
"KHWAISH" AAJ BHI JEETA HAI SIRF UNKI HASI KE LIYE....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #47 on: February 13, 2008, 08:34:05 PM »
Diya jo dard wo to louta na tum paoge
Saja di mehfil, shayad kuch skoon is main paoge

Dard dekar dawa kaise na kare koi
Muhobat akele hi kaya tum apni ajmaoge

Waqat se lad kar jeena her ek ki majboori hai
Waqat ke sath sath yah samjh jaoge (apke sath yah line kai baar likh chuki hu)

Mehfil main ek tum hi nahi bahoot dil-e-dard insaan hai paaye
Padte hai aoro ko aor khud ko wo bhi hai sunane ayye

Na samjhe jo tujhe to yah soch kar kar dena maaf
Shayad wo ajj tak suche pyar ki gali, kabhi na ja paaye

Ansuo mai doobi her muskaan se Hum wakif hai
Is gali se na jaane kitani baar hum khud hai Gujar ayye
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #48 on: February 13, 2008, 08:44:33 PM »
MOHABBAT KE SAFAR MEIN KOI SAATH NAHI DETA
RAASTE TO BAHUT HOTE HAI PAR KHUDA
UNN RAASTO PAR CHALNE WALE JAZBAAT NAHI DETA...

KYA KAHE ANJAAM-E-ISHQ KE BAARE MEIN AAPKO "POOJA"
ZAMEEN TO HOTI HAI SAATH HAR KADAM PAR,
PAR KABHI-KABHI  AASMAAN APNA SAAYA NAHI DETA...

EK PAL AISA BHI AAYA MERI ZINDAGI MEIN KE
JIS SHAKS SE MAIN PYAAR KARTA THA
USNE ZAKHM DEKAR MUJHSE KAHAN
"KITU" TUJHE DARD KYON NAHI DETA....

KHUSHI AUR DUKH KE MAUSAM SABKE APNE-APNE HOTE HAI
YEHI ZINDAGI HAI,KOI APNE HISSE KA LAMHA KISI KO NAHI DETA....

sorry yeh shayari mein apna naam likhne mein majboor tha... Crying




Logged
Pooja
Guest
«Reply #49 on: February 13, 2008, 08:55:27 PM »
YEHI ZINDAGI HAI,KOI APNE HISSE KA LAMHA KISI KO NAHI DETA....

bahoot achi line likhi hai yah apne!!

Mohobaat mai kabhi kabhi sath choot jaate hai
Jazbaat rahte hai sath, magar dil rooth jaate hai

Pooja ko koi kaya samjhyega dil-o-dard ki batein
Dekh kar usse, tuffan ro jaate hai

Jameen chahiye kise aor chahiye kise asmaan
Jab pyar mai do dil toot jaate hai

Dard de kar bhi kai baar pyar nibhaya jaata hai
Kash-m-kash mai kai baar lub sil jaate hai

Such kaha her kisi ke lamhe bas hote hai unke
Per kaya kare jab koi un Lamho mai Bas jaate hai

Jazbaat rahte hai, magar dil rooth jaate hai…….
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #50 on: February 13, 2008, 09:13:02 PM »
BAHUT KHOOB POOJA...

EH KHUDA JAB GHAM HI DENA THA TO PEHLE
MUSKURAANE KI WAJEH KYON DI...

AB KEH KAR KYA HAASIL KAREGA "KHWAISH"
PEHLE TUNE BHI KHUDA KO MOHABBAT KI DUHAAI KYON DI...

MOHABBAT PEHLE HI SOCH KAR KARNA THA
AB MOHABBAT KARKE KEHTA HAI JUDAAI KYON DI....

AGAR ANJAAM-E-ISHQ SE ITNA DARTA THA TO ROKH LETA APNE AAP KO
WAH RE MATLABI INSAAN,MOHABBAT KARKE KEHTA HAI
EH KHUDA ITNI JAG-HASAAI KYON DI.....




Logged
Pooja
Guest
«Reply #51 on: February 13, 2008, 09:23:29 PM »
Gum ka ahsaas muskurane ke baad hoga
Jisne na dekhi muskuraht usko gum ka gumaan kaya hoga

Hasil nahi hai kuch bhi yaha insaan ko
Kitani bhi duhai dene se kaya hoga

Soch kar agar kari jaati muhobaat, to main na karti kabhi
Bin sochien jab ho gai to ab pachtaane se kaya hoga

Anjaaz-e-ishaq jaante the hum to shuru se hi sahi
Magar tujhse mil kar, her anjaam kabbol,
 e-khuda ab tu hi bata kaya hoga!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #52 on: February 13, 2008, 09:33:12 PM »
SAB KUCH TO KHATAM HO CHUKA HAI "KHWAISH"
AB KYON KEHTA HAI KE KUCH UMEED BAAKI HAI...

JO KEHNA CHAAHTA THA TU WOH SAB TO KEH CHUKA HAI
AB KYON KEHTA HAI,ABHI BHI KOI BAAT BAAKI HAI...

JAB ROKAR HAR DARD AUR GHAM KO BHULA CHUKA HAI TU
AAJ PHIR KYON KEHTA HAI KE KUCH JAZBAAT AAJ BHI BAAKI HAI...

AADAT SI HAI TUJHE RAAT KO JAAGNE KI
AB KYON KEHTA HAI KE TANHAI KI RAAT ABHI BAAKI HAI...

"KHWAISH" APNE KADMO KO YUH NA PEECHE LE ABHI,
WAQT KEHTA HAI ABHI KUCH AUR IMTEHAAN BAAKI HAI....

Logged
Pooja
Guest
«Reply #53 on: February 13, 2008, 09:40:35 PM »
Ulajh kar khud ko khud mai tujhko uljhna acha lagta hai
Hai pyar tujhe ya sirf sochna acha lagta hai

Umeend hai kis ki kaya hai jo kho gaya
Ya phir dil ko behkana tujhe acha lagta hai

Kah kar bhi sab kuch, kuch na kaha tune
Looka chupi ka yah kheil, tera kheilna, purana lagta hai

Dard ko bhula diya hota, to, na rota ajj
Jazbaato ko uljhana ajj bhi tujhe acha lagta hai

Kadam to hamesha hi jaate agge agge
Shayad phir se unhi raaho per jaana, tujhe acha lagta hai!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #54 on: February 13, 2008, 09:56:08 PM »
"Dard ko bhula diya hota, to, na rota ajj
Jazbaato ko uljhana ajj bhi tujhe acha lagta hai"

JO KHUD ULJA HO WAQT KE HAATH SE
WOH JAZBBATON KE SAATH KYA KHEL PAAYEGA

EK GUZAARISH HAI AAPSE,
KABHI MERE JAGEH PE AAKAR JEE KAR DEKHNA
AAPSE EK PAL KE LIYE, TEHRA BHI NA JAAYEGA...

WOH HUM HAI JO JEETE HAI ASHKO KO AANKHON MEIN SAJAKAR
AAPSE EK BOOND ASHQ KA PIYA BI NA JAAYEGA...

MEHFILO MEIN DARD RAKH KAR HASTE HUE JEENA PADHTA HAI MUJHE
DIL MEIN ITNA DARD RAKH KAR HASNA TO BAHUT DOOR HAI
AAPSE MUSKURAYA BHI NA JAYEGA...

AZMAAYISH KI HAD TAK WAQT NE AZMAAYA HAI MUJHE
DUA KARTA HOON MERE RAB SE AAPKO WOH GHAM NA DE
JO GHAM MEIN MAIN JEETA HOON,
WOH GHAM AAPSE EK PAL KE LIYE SAHA BHI NA JAAYEGA....

JO KHUD ULJHA HO WAQT KE HAATH SE
WOH JAZBAATON SE KYA KHEL PAAYEGA....





Logged
Pooja
Guest
«Reply #55 on: February 14, 2008, 03:26:45 PM »
Kahati hu phir tumko, shikayat apni kah do
Ban jaaye jo nasoor, wo zakham sehna mushkil hota hai

Jitna chaho ho jaao akele
Yah to bas khud ko samjhana hota hai

Ashaqo ki baatein rahne do
Yah to her kisi ka apna apan afsana hota hai

Jagah kash koi le sakta kisi ki
Yaha to apna apna hi dard sahna hota hai

Mehfil ki hansi bhi samjha degi
Dard kitna kitna suahana hota hai

Kon sehta hai kisi ke gum is dunia main
Her kisi ko apna hi gum sehna hota hai

Waqat ne uljhaya hai jo halato se
Waqat se hi phir baher anna hota hai

Dard ki nagari mai jitna bhi basa lo ghar ko
Ek ne ek din to mitti main hi mil jaana hota hai!!!
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #56 on: February 14, 2008, 03:42:22 PM »
Dard ki daastaan iss tarah sareaam sunaya na karo
dard bharey nagmon sey dil ko rulaya na karo
tere dil ki tapish har dil ko jalati hai
daredey dil ko marham nahin marna batati hai

DArd ki DAstaan ko iss tarah SArey aam na sunaya karo
apney Dard sey humko bhi tum rulaya na karo
Logged
Pooja
Guest
«Reply #57 on: February 14, 2008, 03:44:26 PM »
Kalam se shabd jab mil jaate hai
Pata hi nahi chalta kaya kaya hum likh jaate hai

Dard jo tumko hua to yah dard hume batate hai
Dard ki nagari mai kahin na kahin app bhi thokar khate hai!!
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #58 on: February 14, 2008, 03:50:00 PM »
kalam sey shabd jab mil jaate hain
toh kuchh maayon mein hum hil jaate hain
likhna mushkil hota hai kayi baar
bas dil sey kuchh unkaha sa keh jaate hain
Logged
Pooja
Guest
«Reply #59 on: February 14, 2008, 03:51:41 PM »
unkaha bhi bahoot kuch kah jaata hai
dil ke dard ka ahsaas de jaata hai
likhte hai aor kah dete hai dil ki baat
bas issi tarah se her ek din basar ho jaata hai
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 11
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 01:13:35 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer