DARD KI DAASTAAN....

by khwaish on February 11, 2008, 10:25:11 AM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 11
Print
Author  (Read 10533 times)
zakhmola
Guest
«Reply #60 on: February 14, 2008, 04:00:17 PM »
din ke gujaraney seyhe toh main darta hun
isiliye aksar palon ko thaama karta hun


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
---daastaan--- by killbill in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Saari daastaaN kah diya mayne! by shara63 in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
Ankahee ishq ki ikk daastaan hun.. by nashwani in Ghazals « 1 2  All »
-----/// Daastaan wafaa ki ///----- Hriday by ~Hriday~ in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Daastaan...foolon ki.... by deepraghav in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
Pooja
Guest
«Reply #61 on: February 14, 2008, 04:05:49 PM »
pal kabhi rukte nahi kisi ke ke bhi thamne se
is liye chalte rahte hai hum bhi kisi na kisi bahane se
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #62 on: February 14, 2008, 05:20:52 PM »
AAO, AAJ EK KAHANI SUNATA HOON MAIN,
KAHANI MEIN KIRDAAR TO BAHUT THE
PAR KHUD KE KIRDAAR PAR AAJ ROSHNI DAALTA HOON MAIN...

DUSRO KE DARD KO DEKH KAR RO JAATA HOON MAIN
PAR KHUD KA DARD,EK MAZAAK BAN KAR REH GAYA HAI
AAJ APNE HI DARD PE MUSKURAATA HOON MAIN....

AAO, AAJ EK KAHANI SUNATA HOON MAIN....

EK BANJARA RAAHON MEIN PHIRTA REHTA THA AWAARO KI TARAH
LOG DUTHKAARTE THE,KEHTE THE,TERA SAAYA BHI HUM PAR ACHA NAHI,

USS BANJARE SE EK BAAR PUCHA MAINE "YEH KYA ZINDAGI HAI TERI???
USKE JAWAAB SE AAJ BHI SHARMSAAR HO JAATA HOON MAIN...

USNE KAHA MAIN KHUDA KE MARZI KE HISAAB SE MAANGTA HOON
TADAPTA HOON,ROZ JEETA HOON AUR ROZ MARTA HOON
APNE AAP KO MAJBOORIYON KA SHIKHAAR SAMAJTA HOON,
JO KHUCH BHI KHUDA DE NASEEB MEIN,USSE APNATA HOON MAIN...
PHIR BHI SHUKAR KARTA HOON,
AAJ KE INSAAN KI TARAH,
DOOSRE KE HAQ KA CHEEN KE TO NAHI KHATA HOON MAIN.....

AAO,AAJ EK KAHANI SUNATA HOON MAIN.....

AAJKAL HAR RISHTE KHOKLE SE LAGTE HAI,
JISKE JITNE KAREEB HO USSI SE DOORIYAN NIKALTE HAI
MERE APNE BHI AAKAR MERA KOI IMTIHAAN NA LE,
IS LIYE CHAR DEEWARO KE BEECH MEIN CHUP KAR REH JAATA HOON MAIN....

AAO, AAJ EK KAHANI SUNATA HOON MAIN....

MAIN JAANTA HOON,DUSRO KE DUKH AUR GHAM KI BAAT KOI NAHI SUNTA
AANSU AGAR ZAMEEN PAR GIRE TO MEETHI MEIN MIL JAATE HAI,
IN AANSUO KO PHIR KOI NAHI DHOONDTHA...

ZINDAGI KI IN SACHAIYO SE SEHAM JAATA HOON MAIN
AAO, AAJ EK KAHANI SUNATA HOON MAIN....


Logged
Pooja
Guest
«Reply #63 on: February 14, 2008, 05:24:21 PM »
wowow.. Very touching and full of sentiments!!! good creation khwaish ji!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #64 on: February 14, 2008, 05:31:53 PM »
hummm ek hi saans mai likh gai hu...

Her insaan daba hai kisi na kisi ahsaas ke niche
Hai her koi kirdaar yaha, her ek zisam ke niche

Chinta hai kabhi sab se to kabhi khud se chin jaata hai
Insaan ajj ki dunia main ek janwar sa najar atta hai

Her rishta hai khokhla kyun ki her koi khud ke liye chahta hai
Koi bhi ajj yaha, kyun kisi aor ke liye nahi jee paata hai

Dil mai hai dard kyun ki khud ke liye pyar wo chahta hai
Kyun , ni-swarth pyar wo aoro ko de nahi paata hai

Kareeb kaise jaaye kisi ke, jab khud hi doori banai hai
Kyun her Moh ka bandhan, insaan torr nahi paata hai

Kis ko kahe apna aor kis ko kahe paraya ajj
Jab insaan ajj ka, khud hi khud ka nahi ho paata hai

Doosro ke dukh samjhane ke liye khud ka dukhi hona hai jaroori
Warna is dard ke ahsaas ko, koi nahi samjh paata hai

Ansoo ko na dhoondo tum ajj ki dunia main
Yah to her gum-khushi main, khud hi sath nibhata hai

Her insaan ke seene mai hai her roj ek kahani
Jisko wo ansuo ke sung, khud hi khud mai dohrata hai
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #65 on: February 14, 2008, 05:37:51 PM »
bahut hi khoooob pooja...yakeen maaniye...itna acha jawaab diya aapne ke main chup sa ho gaya hoon...bahut hi khoob
Logged
Pooja
Guest
«Reply #66 on: February 14, 2008, 05:45:05 PM »
Tahe dil se shukaria khwaish ji!!! magar phir bhi apse hamesha kavita ke jawab mai kavita ki hi umeend hoti hai!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #67 on: February 14, 2008, 07:22:01 PM »
BAAT CHOTI SI BAAT HAI PAR YAHAN
KISI SE SAMJHI NA JAAYEGI

KHUD KI ZINDAGI KE LIYE
HAR AISH-O-ARAAM CHAHIYE INHE
PAR DUSRE KI HAR EK  BAAT TAALI JAAYEGI...

KHUD HAR WOH CHEEZ JISSE DIL CHAAHE PAA LENGE
PAR DUSRE KI HAR ZAROORAT KO YAHAN TOD DALI JAAAYEGI

YAHAN ZUBAAN BHI KAAT DENGE LOG
AGAR KOI AAH BHI DIL SE NIKALI JAAYEGI....

UPAR-UPAR SE KEHTE RAHENGE YEH LOG
HUME AAPKA BAHUT KHAYAL HAI
PAR ANDAR HAR BAAT BE-KHAYAALI HI JAAYEGI....

SAMAJDAAR KOI BHI  NAHI HAI INME
JAB BAAT KISI AUR KE BHALE KE LIYE HO
SAB SAMAJ KAR KEHDENGE KUCH SAMAJ NA AAYA MUJHE

YEH AKALMAND LOG HAI "KHWAISH"
BAAT SAMAJ KAR BHI NA SAMJHI JAAYEGI....


Logged
Pooja
Guest
«Reply #68 on: February 14, 2008, 07:28:39 PM »
Baat main baat badal dete hai
Yah log bich mai raah badal lete hai

Kar ke aoro ko agge agge
Piche se apne kam per chal dete hai

Lalach ki bani yah nagari
Sawarth mai sab insaaniayt dho dete hai

Kon yaha ab hai kisi ka
Munh per to sabhi bol dete hai

Hai har koi yaha samjhdaar khud ke liye
Aoro ke liye, ab kaya kahe, bas itna bol dete hai

Dil ki baat dil mai reh jaati hai
Hum to dunia ke rang dekh, lub sil dete hai!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #69 on: February 14, 2008, 07:45:21 PM »
HUM APNE AAP KO PHIR AB KISI AUR RAAHON PAR LE JAANA CHAHTE HAI
PYAAR KI BAATON MEIN APNE AAP KO PHIR DUBO DENA CHAAHTE HAI...

WAFA KI UMEED PE APNA SIR JHUKATE HAI
WOH DEKH KAR HUME KEHTE HAI AA GAYE PHIR HAMARI CHOKAT PAR
WOH KAMBAKT KYA JAANE...
HUM APNI HAAR MEIN BHI JEET MANATE HAI...

ZIDD UNKI THI KE SAATH REHNE SE PEHLE
 KUCH WAQT UNHE AUR CHAHIYE
PAR WAQT HI NAHI THA MERE PAAS
ISLIYE WOH AAJ DOOR SE HI SALAAM KAR JAATE HAI...

KABHI-KABHI KYA BEETI DIL PAR
YEH SAHI LAFZO MEIN HUM  NAHI KEH PAATE HAI,
BAS YUH SAAMJLO APNI MAJBOORIYON KO SAATH RAKHAR JIYE JAATE HAI....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #70 on: February 14, 2008, 07:56:05 PM »
Le jao khud ko jahan bhi tum jaana chahte ho
Purani yaadon ko kyun bich mai laate ho

Wafa hai kis  mai kitani kyun yah ajj ajmaate ho
Dard hota hai kyun, jab haarne ko hi jaate ho

Zid kisne kari yah kaya humko samjhate ho
Apni hi zid mai to ajj bhi waha dard lene ko jaate ho

Dil per jo beete wo sirf dil hi janta hai
Per dil per war karwane ko, usse app hi to le jaate ho

Pyaar ki baaton mai agar khud ko phir se dubona hai
Kis liye phir yaadon ki parchaio mai khud ko uljhate ho!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #71 on: February 14, 2008, 08:08:02 PM »
YAADON KE SAHARE HI INSAAN JEETA HAI
WARNA KAB KA MAR GAYA HOTA...

AGAR DO BOOND AANSU NA GIR SAKE USKE AANKHON SE
TO WOH BEKAAR KA HAI ROTA...

KHWAAB DEKHNA USKI AADAT SI HO GAYI HAI
AANKHON MEIN KHWAAB LIYE WOH KHULI AANKHON SE AAJ BHI HAI SOTA...

AAP KYA JAANO ISS DIL KA DARD
JUDAAI KA DARD AAJ BHI IS DIL KO HAI
MEHSOOS HOTA....

WOH NA SAMAJ KYA SAMJHE KE DARD JAATE JAATE HI JAATA HAI
WOH APNE ZAKHMO KO HAI KHAROCHTHA...

BAARISH KI BOONDON KO DEKH KAR
SAB KEHTE HAI BAHUT KHOOBSURAT NAZAARA HAI
HUM JAANTE HAI BOONDON SE BICHAD KAR
AASMAAN BHI HAI ROTA....

Logged
Pooja
Guest
«Reply #72 on: February 14, 2008, 08:27:31 PM »
Yaadon ke sahare kabhi anne wale ko sukhi kar nahi paoge
Chahte ho jo khushi dena wo khushi nahi de paoge

Ansoo teri ankh mai dekh kar, kaya wo khush hogi
Anne wale sathi ko bhi kaya sath hi rulaoge

Yaadon ke khwabo ke sung kaise naye khwab sajaoge
Kisi ne jo tora tumhara dil, kaya ab ane wale ka dil tum torr jaoge

Such kaha, main kaya jaanu yah dard bhari baatein
Khair choro mere dard ki wo tum bhi na samjh paoge

Dard jaata hai jaate jaate yah mana sahi hai baat
Per kaya dard jaane se pahle, kisi aor ko bahon mai laoge

Kharochega jo tujhe to yah dard usko bhi to hoga
Kaya kabhi sahi deemag se yah baat samjh paoge

Barish ki boondon ko de do koi bhi roop dil main
Her khushi gum mai isko apna sa hi paoge
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #73 on: February 14, 2008, 08:30:59 PM »
Yaadon ke sahare kabhi anne wale ko sukhi kar nahi paoge
Chahte ho jo khushi dena wo khushi nahi de paoge

Ansoo teri ankh mai dekh kar, kaya wo khush hogi
Anne wale sathi ko bhi kaya sath hi rulaoge

Yaadon ke khwabo ke sung kaise naye khwab sajaoge
Kisi ne jo tora tumhara dil, kaya ab ane wale ka dil tum torr jaoge

Such kaha, main kaya jaanu yah dard bhari baatein
Khair choro mere dard ki wo tum bhi na samjh paoge

Dard jaata hai jaate jaate yah mana sahi hai baat
Per kaya dard jaane se pahle, kisi aor ko bahon mai laoge

Kharochega jo tujhe to yah dard usko bhi to hoga
Kaya kabhi sahi deemag se yah baat samjh paoge

Barish ki boondon ko de do koi bhi roop dil main
Her khushi gum mai isko apna sa hi paoge


BAHUT KHOOOOOB...AAP NAHI JAANTE AAP NE KYA LIKHA??KISI KO AISA SAWAAL PUCHA JISKA JAWAAB BAHUT MUSHKIL HAI PHIR BHI...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #74 on: February 14, 2008, 08:42:10 PM »
INHI YAADON SE HI TO DOOR NAHI HO PATA HOON MAIN
AAP KYA SAMAJTE HO MAIN IN YAADON SE
 DOOR HONE KI KOSHISH NAHI KARTA...
AAJ EK BAAT SACH KEHTA HOON,
AAJ PHIR JEENA CHAAHTA HOON MAIN....

MAIN JO LIKTA HOON WOH KAHANI SA LAGTA HAI PAR SACH TO YEH HAI KE
DARD KE SAATH AANSU BHI APNE PI JAATA HOON MAIN....

SAB KEHTE HAI KE WAQT JEENA SIKHA DETA HAI
PAR MUJHSE BADA NASAMAJ KOI NAHI JAHAN MEIN
SAB SAMAJ KE BHI NASAMAJ BAN JAATA HOON MAIN...

SOCHTA HOON JO HUMSAFAR HOGA,USSE KUCH NA CHUPAUNGA
PAR SAB BATAA KE KOI GUNAAH NA KAR JAAU MAIN...

ZINDAGI AAJ KI JIYO,KAL KE BEETA WAQT TO KAL THA
YEH KAYI BAAR KEHTA HOON APNE MAN MEIN
PAR PHIR SAWAALO KE BHEED MEIN KHO JAATA HOON MAIN...

KAASH KOI KHUD RAAH BATA DE TO MAIN USS RAAH PAR CHAL PADHTA
PAR KOI HUMRAAZ NAHI ISLIYE KHUD KO HI ANDHERO MEIN
RAAH DIKH LAATA HOON MAIN.....


Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 11
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 09:47:35 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer