DARD KI DAASTAAN....

by khwaish on February 11, 2008, 10:25:11 AM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11
Print
Author  (Read 10668 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #90 on: February 19, 2008, 08:56:35 PM »
KABHI-KABHI HALAAT SE KHUD KO AZMAAKAR BHI DEKHA KARO
ANDHERO MEIN ROSHNI KAHAN SE LAAYI JAAYE
 YEH BHI SOCHA KARO....

ZAROORI NAHI KE JAHAN SAB JAAYE WAHA PICHE CHAL PADO
APNE AAP KO BHI KABHI SABSE AAGE BHI KIYA KARO...

SAWAALO KE DARR SE KAB TAK CHUP KAR REH PAAOGI "POOJA"
KABHI KABHI WAQT SE BHI KOI SAWAAL KIYA KARO...

MILNE SE PEHLE BICHADNE KA DARR!!!
KABHI-KABHI HIMMAT DIL MEIN RAKH KAR
ZINDAGI KE FAISLE KIYA KARO....

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
---daastaan--- by killbill in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Saari daastaaN kah diya mayne! by shara63 in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
Ankahee ishq ki ikk daastaan hun.. by nashwani in Ghazals « 1 2  All »
-----/// Daastaan wafaa ki ///----- Hriday by ~Hriday~ in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Daastaan...foolon ki.... by deepraghav in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
Pooja
Guest
«Reply #91 on: February 19, 2008, 10:06:08 PM »
Ajmaate hi ayye hai kabhi khud ko kabhi takdeer ko
Apni hi roshini se jinda hai, bas abhi to yahi hai kahne ko

Na kabhi raha koi agge , na hi kabhi koi piche
Hum to rahe hameha se hi tahna, na mila koi bhi sath nibhane ko

Sawalo ke jawab dhoonda kiya khud main hi rah rah kar
Per hai kaha her ek jawab, bas unhi dhoke diye hai dil ko

Her faisle per dil dukh jaata hai kisi na kisi ka
Aor rah gai Pooja bewafa, kahlaane ko
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #92 on: February 19, 2008, 10:22:22 PM »
KAASH MERI DUA SACH HO JAAYE
AAP JEE BHAR KE AAJ MUKURAYE

AAPKE CHEHRE KI ROSHNI SE CHAMAK UTHE
ZINDAGI KI HAR RAAH, HAR MOD,
KAASH AAP KUCH MAANGO KHUDA SE AUR WOH KUBOOL HO JAAYE...

AB AAPKO KOI BHI SAWAALO KE JAWAAB NA DHOONDNA PADE
AAPKA HAR EK SAWAAL JAWAAB BAN KAR AAPKE RUBARU HO JAAYE...

KHUD KO KOI NAAM NA DO YUH "POOJA"
KOI GHAM NAHI MUJHE,AGAR AAPKA HAR SHIKWA, HAR GILA,
 MERE SAR PAR AA JAAYE...
DUA HAI MERI DIL SE
AAP HAMESHA ZINDAGI BHAR MUSKURAYE....



Logged
Pooja
Guest
«Reply #93 on: February 19, 2008, 10:30:51 PM »
Her teri sua per vishwaas hai
Magar takdeer per vishwaas atta nahi

Meri bhi muskurahat mai dekh,
WO MUSKURANE KA AHSAAS ATTA NAHI

Her jawab hi ban jaata hai sawal apne app
Kisi jawab main bhi chain atta nahi

Naam deti rahti hai yah dunia mujhko
Bas Pooja ko kabhi aitraaz karna atta nahi

Her shikwa gila hai sirf mera
Inhe bantna, dosto se, Pooja ko atta nahi
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #94 on: February 19, 2008, 10:38:45 PM »
JO PHOOL MURJAA JAATE HAI UNME
PHIR KOI MEHAK HOTI NAHI...

PHOOL TO WOH HAI "POOJA"
JO LAAKH KAANTO MEIN BHI RAHE PHIR UNME
WOH ZEENAT BHI KHATAM HOTI NAHI...

YEH DUNIYA AISI HAI JAHAN KOI APNI MUSKAAN KISI KO NAHI DETA
JO INSAAN KHUD ITNA MAAYUS HO,USSE PHIR CHAIN KAHIN BHI AATA NAHI...

AITRAAZ NA KARO PAR APNO SE SAWAAL TO KARO
JO ZAKHM DETA HAI ITNE,WOH BAAZ KYON AATA NAHI...

JAANTA HOON APNE HISSE KA GHAM APNE PAAS HI RAKHNA CHAAHTE HO
PAR ZARA SOCHNA...KOI CHAAHKAR BHI PHIR APNA BAN PAATA NAHI....

Logged
Pooja
Guest
«Reply #95 on: February 19, 2008, 10:45:05 PM »
bahoot khoob khwaish ji... kamal ki lines likhi hai yah apne...

AITRAAZ NA KARO PAR APNO SE SAWAAL TO KARO
JO ZAKHM DETA HAI ITNE,WOH BAAZ KYON AATA NAHI...

JAANTA HOON APNE HISSE KA GHAM APNE PAAS HI RAKHNA CHAAHTE HO
PAR ZARA SOCHNA...KOI CHAAHKAR BHI PHIR APNA BAN PAATA NAHI....


bahoot khoob!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #96 on: February 19, 2008, 10:48:08 PM »
SHUKRIYA AAPKA POOJA...BAS AAPKE JAWAAB MEIN LIKHTA CHALA GAYA...
THANX  A LOT FOR APPRECIATING..

PAR AAPKA JAWAAB??
Logged
Pooja
Guest
«Reply #97 on: February 19, 2008, 11:00:05 PM »
Murjhaye phoolo ko bhi humne hai sanjo kar rakha
Ek ek patte ki khushbu ko mehka kar rakha

Lakh aai andhia, urda na saka ek bhi pankhuri
Is kadar her ek pankhuri ko seene se laga kar rakha

Dunia hai kaya ab to yah samjhane ki koshish bhi nahi
Pathar dil logo main hai humne dil ko hai ajj bhi dhadkaaye rakha

Apne se sawal, bas mer ekhayal mai rah jaate hai
Puchate hai her waqa « KYUN » aor bas roye jaate hai

Is kadar chot khai hai ki ab yah dil darta hai
Na ho koi mera yah hai manjoor, magar mil kar juda hone se darta hai !!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #98 on: February 19, 2008, 11:02:44 PM »
Is kadar chot khai hai ki ab yah dil darta hai
Na ho koi mera yah hai manjoor, magar mil kar juda hone se darta hai !!!

[/quote]

BAHUT KHOOB POOJA..SACH KEHTA HOON, BAHUT KHOOBSURAT LINE THI YEH..BAHUT ACHE..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #99 on: February 19, 2008, 11:06:17 PM »
shukaria khwaish ji!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #100 on: February 19, 2008, 11:14:18 PM »
"KYON"  ALFAAZ HI AISA HAI JO SOCHNE PAR MAJBOOR KARE
KABHI KISI KO APNE SE JODE TO KABHI
APNO SE BAHUT DOOR KARE...

EK SALAAH HAI MERI AAPKO "POOJA"
THEEK HAI AAP APNE GHUM AUR DARD NAHI BAANTNA CHAAHTE
PAR EK SHAKS AISA HO ZINDAGI MEIN
JISSE AAP APNE DIL KI BAAT ZAROOR KARE...

KUCH PAL SAAMNE SE BEET JAATE HAI
JIN PAR APNA KOI HAQ NAHI HOTA
PAR KUCH PAL AISE BANAYO ZINDAGI MEIN
JO AAPKA APNA HO,
KE JISPE AAP KAL GUROOR KARE...

DO LEHAR DARTE RAHE KE HUM KABHI MIL NAHI PAAYENGE
TO WOH DARR AAJ HAQEEQAT BAN KAR REH GAYA
AAJ LEHREIN TO AATI HAI, EK KE BAAD EK PAR
KABHI MIL NAHI PAATE HAI...
AISI SOCH KO KABHI AAP MANZOOR NA KARE....
KOI PAAS HAI AAPKE,PHIR USSE YUH DOOR NA KARE...
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #101 on: February 20, 2008, 06:40:48 AM »
Bohat acha likha hai khwish ji.. Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #102 on: February 20, 2008, 07:54:21 PM »
Garoor karne ko yaadein bahoot hai
Mere apne pal mere paas bahoot hai
Jo na sochu dard uske to
Khushi ke pal jeevan mai bahoot hai

Khud ko hi main to do hisso main paati hu
Khud hi khud se baatein kiye jaati hu
Her ek dukh apna, apne ko sunati hu
Her ek apne jawab per khud hi sawal uthati hu

Pass ate hai bahoot, magar pass mai kisi ke ja nahi paati
Hai ajj bhi wo shakas is kadar pyara, kisi aor se pyar kar nahi paati
Door kaise karugi kisi ko, jab kisi ko pass hi nahi la paati
Jalna hai mujhko umarbhar ab to ban kar bin diye ki baati!!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #103 on: February 20, 2008, 09:51:45 PM »
Beete pal vaapas laa nahi sakte
kuch mod zindagi mein aise bhi the
jahan hum chup-chap chalte rahe
vaapas uss mod ko apne hisaab se
muda nahi sakte...

dekhte rah jaate hai yeh zindagi ke kaarvan
phir khud ko ussi raah par vaapas le jaa nahi sakte...

kuch pal aise hote hai jo
sunheri yaad ban kar reh jaati hai
par kuch pal aise bhi hote hai
jinhe yaad kar hum kabhi
muskura nahi sakte...

manzil se bahut kareeb rehkar bhi hum door rahe
jo khud is aalam se kabhi na guzre,
usse hum samjha nahi sakte...

phool agar khile rahe to kissi ke liye
mohabbat ka tohfa bhi ban jaate hai
par murjhaaye hue phool hum vaapas khila nahi sakte...

kisi ko chot pahunchana "khwaish" ki fitrat mein nahi
par har ek ko yeh jahan mein yakeen dila nahi sakte...

kabhi-kahi lagta hai ke waqt ke hisaab se
woh hume bhool gaye honge
par phir yeh kambakt dil kehta hai ke
woh hume bhoola nahi sakte...


HAR INSAAN KI APNI SOCH, APNI SAMAJ HAI 'KHWAISH"
KISI KO CHAAH KAR BHI
APNE HISAAB SE BANA NAHI SAKTE.....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #104 on: February 20, 2008, 11:12:50 PM »
Beeta pal wapis laaya nahi jaata
Kaha hua shabd loutaya nahi jaata
Yaadein rah jaati hai bas phir to
Aor kuch hatho se bachaya nahi jaata

Her karvaan hota hai apni kahani liye
Koi bhi karvaan wapis us manjil tak laya nahi jaata
Kyun bhool jaata hai wo hi shakas humko
Jis ko humse kabhi bhulaya nahi jaata

Yaad atte hai wo mosam, jo beete sung sung
Her moosam ko waise kyun banaya nahi jaata
Wo hi dhoop, wo hi barsaat, bahoot sard hai raat
Kyun in sabko phir se teri bahon mai sajaya nahi jaata

Her ek ki soch apni, her ek ki manjil apni
Such kaha chaha kar bhi her manjil ko apna banaya nahi jaata
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 12:36:25 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.132 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer