Dard ki dawa

by Pooja on March 14, 2008, 03:49:28 PM
Pages: [1] 2 3 4
Print
Author  (Read 8250 times)
Pooja
Guest
Dard ki dawa ab to dard hi kare
Zindagi hai kaya, kon parwah kare
Ro liye itna ki ab rona bhi atta nahi
Aor rone ki ab parwah kyun kare

Behlaane se kab dil behlta hai yaha
Phir dard ko behlane ki chinta kyun kare
Dekhati hai tamsha to dekh lene do dunia ko
Is dunia ki ab parwah kyun kare

Bhatak rahi hai ajj pooja
To bhatak hi jaane do
Sidhi hai raah ya hai yah galat
Iski khabar ab kisi ko kaya kare

Rone se nahi sulajhata dard yah jaan chuke
Hasi main na jaane kitni baar khud ko rula chuke
Chalkate hai ansoo hansi main ya ab gum main
Iski pehchan ab pooja kahan kahan kare.......

Dard ki dawa ab to dard hi kare
Zindagi hai kaya, kon parwah kare...............
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
wo dard hi kya jo dawa daaru se mit jaaye by bham in Shayri-E-Dard
dard ki dawa......... by manzil-e-ishq in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Dard-e-Dil ki dawa na ho jaaye by rajansarhadi in Shayri-E-Dard
dard e gam ki dawa by aftab alam in Shayeri for Dard -e- Bewafai
zarraa .... dard lagta dawa ke jaisa hai by zarraa in Shairi - E - Zindagi
Pooja
Guest
«Reply #1 on: March 14, 2008, 04:02:31 PM »
shukaria Majid ji...
irada kisi ko gum mai doobone ka hargiz na tha
yah dil hi bas mai na ayye to kaya kare
dil hai udaas na jaane kyun ajj itna
kalam ko koi aor shabd hi na samjh ayye, to kaya kare!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: March 14, 2008, 04:07:15 PM »
Sitaaro se baatein kare to kaya kare
Chamak uski bhi dil dukhati hai
Chand ko samjhaye to kaya samjhaye
Chandi uski se jalan ho jaati hai

Her kisi ke pass hai kuch na kuch
Apni hi jholi khali rah jaati hai
Dekh dunia ko hanste hue
Ankh ajj bhi meri bhar jaati hai
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #3 on: March 14, 2008, 06:12:42 PM »
Dard ki dawa ab to dard hi kare
Zindagi hai kaya, kon parwah kare
Ro liye itna ki ab rona bhi atta nahi
Aor rone ki ab parwah kyun kare

Behlaane se kab dil behlta hai yaha
Phir dard ko behlane ki chinta kyun kare
Dekhati hai tamsha to dekh lene do dunia ko
Is dunia ki ab parwah kyun kare

Bhatak rahi hai ajj pooja
To bhatak hi jaane do
Sidhi hai raah ya hai yah galat
Iski khabar ab kisi ko kaya kare

Rone se nahi sulajhata dard yah jaan chuke
Hasi main na jaane kitni baar khud ko rula chuke
Chalkate hai ansoo hansi main ya ab gum main
Iski pehchan ab pooja kahan kahan kare.......

Dard ki dawa ab to dard hi kare
Zindagi hai kaya, kon parwah kare...............


Wah pooja ji! bohot khoob kaha he aap ne
log kehte hen "GAM JISNE DIYE HE WOHI GAM DOOR KAREGA" magar aap ne to dard ko hi ye kaam de-dala.  Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: March 14, 2008, 06:16:24 PM »
SHUKARIA SAYYID !!!!!!

ankhon main ansoo chalak atte hai
tapak kar kahin dharti per kho jaate hai
jammen per bhajne wale mujhko,
kyun mere hi dard teri ankhon se ojhal ho jaate hai!
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #5 on: March 14, 2008, 06:17:26 PM »
majid sahab aap ka klam bohot hi umda he,

"kisi ke hijr me neenden gwan kar kuchh nahi milta"
han bhai! agar kuch milta he to ganja pan  laughing4
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #6 on: March 14, 2008, 06:25:23 PM »
SHUKARIA SAYYID !!!!!!

ankhon main ansoo chalak atte hai
tapak kar kahin dharti per kho jaate hai
jammen per bhajne wale mujhko,
kyun mere hi dard teri ankhon se ojhal ho jaate hai!


sach kaha pooja ji!
kabhi ye lagta he ke shayad wo peyda kar ke bhool higya he hame,
magar aysa nahi he, hame yaqeen he ke "muqaddar gam ke maron par kabhi to meherba'n hoga".
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: March 14, 2008, 06:46:18 PM »
Bohot khoob Pooja and Majid !! Applause

Sayyid, aap to bas ek jumle main hi jaane kitni kahaniyan suna jaate hain !
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #8 on: March 14, 2008, 06:50:02 PM »
Bohot khoob Pooja and Majid !! Applause

Sayyid, aap to bas ek jumle main hi jaane kitni kahaniyan suna jaate hain !

Talat ji! aap ki nwazish he.
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #9 on: March 15, 2008, 02:33:31 AM »
Bohat khoob Pooja ...
Logged
Roja
Guest
«Reply #10 on: March 15, 2008, 02:44:10 AM »
Dard ki dawa ab to dard hi kare
Zindagi hai kaya, kon parwah kare
Ro liye itna ki ab rona bhi atta nahi
Aor rone ki ab parwah kyun kare

Behlaane se kab dil behlta hai yaha
Phir dard ko behlane ki chinta kyun kare
Dekhati hai tamsha to dekh lene do dunia ko
Is dunia ki ab parwah kyun kare

Bhatak rahi hai ajj pooja
To bhatak hi jaane do
Sidhi hai raah ya hai yah galat
Iski khabar ab kisi ko kaya kare

Rone se nahi sulajhata dard yah jaan chuke
Hasi main na jaane kitni baar khud ko rula chuke
Chalkate hai ansoo hansi main ya ab gum main
Iski pehchan ab pooja kahan kahan kare.......

Dard ki dawa ab to dard hi kare
Zindagi hai kaya, kon parwah kare...............


Bahut khoob Pooja di. Dil ko chu gaya aapka yeh kalam.
Keep up.
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #11 on: March 15, 2008, 02:54:53 AM »
Excellent poetry Pooja.. Applause
Logged
sarthika
Guest
«Reply #12 on: March 15, 2008, 03:12:18 AM »
dard ki dawa dard karta nahi'
rone se skoon kabhi milta nahi
ho sake to khushio ki taraf dekh
dukho ki ngari mai suraj chardta nahi

na parwah dunia ki na hi koi tamasha
khud ko khushi dene se koi marta nahi
bada hath aor tham le apni dunia
bin dhadkaye kabhi dil dhadkata nahi
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #13 on: March 15, 2008, 06:02:09 AM »

very touching lines pooja ji

unhone bahut rulaya hai
ab aur rona nahi chahte
kisi ki wajah se ab
koi khushi khona nahi chahte
mile hamse ab koi ya kisi ki judaai mile
par kisi k intzaar me ab zindgi khona nahi chahte
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: March 15, 2008, 12:10:39 PM »
 Applause  Applause BAHUT KHOOOOB POOJAJI...HAR EK LINE,HAR EK SAHBD DARD SE BHARPOOR..BAHUT HI ACHA LIKHA HAI AAPNE...TOOO GOOD.. Clapping Smiley
Logged
Pages: [1] 2 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:35:58 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer