Dard ki dawa

by Pooja on March 14, 2008, 03:49:28 PM
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Author  (Read 8338 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #15 on: March 15, 2008, 12:12:42 PM »
dard ki dawa dard karta nahi'
rone se akoon kabhi milta nahi
ho sake to khushio ki taraf dekh
dukho ki ngari mai suraj chardta nahi

na parwah dunia ki na hi koi tamasha
khud ko khushi dene se koi marta nahi
bada hath aor tham le apni dunia
bin dhadkaye kabhi dil dhadkata nahi


BAHUT KHOOOB SARITAJI...BAHUT HI ACHA LIKHA HAI..SIMPLE WORDS WITH DEEP MEANINGS.BAHUT KHOOOOB
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
wo dard hi kya jo dawa daaru se mit jaaye by bham in Shayri-E-Dard
dard ki dawa......... by manzil-e-ishq in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Dard-e-Dil ki dawa na ho jaaye by rajansarhadi in Shayri-E-Dard
dard e gam ki dawa by aftab alam in Shayeri for Dard -e- Bewafai
zarraa .... dard lagta dawa ke jaisa hai by zarraa in Shairi - E - Zindagi
sarthika
Guest
«Reply #16 on: March 15, 2008, 04:07:45 PM »
dard ki dawa dard karta nahi'
rone se akoon kabhi milta nahi
ho sake to khushio ki taraf dekh
dukho ki ngari mai suraj chardta nahi

na parwah dunia ki na hi koi tamasha
khud ko khushi dene se koi marta nahi
bada hath aor tham le apni dunia
bin dhadkaye kabhi dil dhadkata nahi


BAHUT KHOOOB SARITAJI...BAHUT HI ACHA LIKHA HAI..SIMPLE WORDS WITH DEEP MEANINGS.BAHUT KHOOOOB

Thanks Khwaish... magar mera naam SARITA nahi...  crybaby2 SARTHIKA hai!! tongue3
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #17 on: March 17, 2008, 03:50:14 PM »
Sitaaro se baatein kare to kaya kare
Chamak uski bhi dil dukhati hai
Chand ko samjhaye to kaya samjhaye
Chandi uski se jalan ho jaati hai

Her kisi ke pass hai kuch na kuch
Apni hi jholi khali rah jaati hai
Dekh dunia ko hanste hue
Ankh ajj bhi meri bhar jaati hai


great  job  my  sister.............   bahot  umda......

azeez tarr hai mujhy teri gali ki mitti
ho gayi aaj se woh meri zindagi mitti

tark-e-talouq bhi gawara sirf itna kah de
main tere wajood ka hissa hon too meri mitti

kahin DARYA ka KATAO baha na le jaye
seham kar simat rahi hai DARI DARI mitti

toofan-e-ishqu mein oukhar gaye bosida safey
mere saath hoi meri shayeri MITTI

lehad mein bhi tere didaar ki aadat na gayi
rah takti rahi mehboob mere meri mitti
..........................................nm
Logged
Pooja
Guest
«Reply #18 on: March 17, 2008, 03:58:43 PM »
wah weah kaya sharing ki hai waheed bhai... yah lines to kamal ki hai...

tark-e-talouq bhi gawara sirf itna kah de
main tere wajood ka hissa hon too meri mitti

kahin DARYA ka KATAO baha na le jaye
seham kar simat rahi hai DARI DARI mitti

lehad mein bhi tere didaar ki aadat na gayi
rah takti rahi mehboob mere meri mitti
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #19 on: March 17, 2008, 04:03:39 PM »
bahoot khoob wahid ji
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #20 on: March 17, 2008, 07:26:42 PM »
wah waheed sahab bohot khoob..
Logged
Talat
Guest
«Reply #21 on: March 17, 2008, 07:31:57 PM »
Bohot khoosurat ghazal hai....Thanks for sharing Waheed Usual Smile
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #22 on: March 17, 2008, 08:01:00 PM »
Bohat khoob Pooja & Waheed...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #23 on: March 20, 2008, 03:01:37 PM »
Mohabbat karo dil se par koi umeed na karo
Dard Ki Dawa yakeenan paaoge ek din par
Dard Ki Dawa dard se hi Milegi,
"Pooja" dil mein koi aisi khwaish na karo....

Ro Lo kahin bhi tanhai mein baithkar
par bhari mehfil mein apne aansuo se
dusro ki aankhon ko nam na karo....

Apne dil ko yuhi behla lo
kuch to sukoon tumhe milega zaroor,
Khwaabo ki Duniya Khoobsurat bahut hai 'Pooja'
Par Khwaab haqeeqat ka rang le,aisi koi farmayish na karo...

Insaan har ek Mushkil ka lad kar saamna kar sakta hai
par Waqt Aur Halaat ke saamne
uska sar hamesha jhuka rahega,
'Pooja'  toot kar bikhar jaaoge
Waqt Aur Halaat se apni Kismat ki Aazmayish Na karo....

Jahan dekhoge waha dard aur aansuo ke siva kuch na milega
Jahan Har chehre par Muskaan Saji rahe,
Har insaan Dard aur Takleef se door rahe,
Kabhi to apni Aankhon mein aise sapno ki Padayish Karo...

Likhte-Likhte Jaane kyo Ro padti hai Kalam
par ek baat kehta hoon, DARD KI DAWA aur kisi se nahi to
Dua sa zaroor milti hai,Khuda suune har ek fariyaad aapki
Dil mein kuch aisi Khwaish karo....

Log kehte the Dard baantne se Dard kam hota hai
par yeh aaj ka Zamaana hai "KHWAISH"
Aaj ke log kahenge...Apne Dard Ko Apne Paas Hi Rakho,
Sirf Apne Khushiyon Ki Yahan Numayish Karo.....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #24 on: March 20, 2008, 03:33:08 PM »
shukaria bhwna, Aryaan and Khwaish ji!! bahoot hi acha likha hai apne!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #25 on: March 20, 2008, 03:40:03 PM »
Koi khwaish nahi, koi armaan nahi baki
Phir kyun rah jaata hai yah ek dard baki
Ro le mehfil mai ya role tanhaai main
Ant mai ek khalipan hi to hai baki

Behlta nahi ab yah dil, sakoon kaha
Chaha jise, uska nishan bhi na raha baki
Khwabo ke rang bikhar gaye
Phir kaya bachi khoobsoorati baki

Likh kar ro lu, ro kar likh du
Ab to shabd hi na rahe koi baki
Dard chupa lo, dard bata do
Dard hi dard rah jaata hai baki

Lad leti hu sabse, khud se haar jaati hu
Khud se haar ker, phir kaya rah jaata hai baki
Waqat aor halat, badlege kabhi to
Per tab tak shayad, yah Pooja na rahegi baki
Logged
Pooja
Guest
«Reply #26 on: May 29, 2008, 07:38:14 PM »
Wah pooja ji! bohot khoob kaha he aap ne
log kehte hen "GAM JISNE DIYE HE WOHI GAM DOOR KAREGA" magar aap ne to dard ko hi ye kaam de-dala.  Applause

bahoot shi kaha Sayyid Rander "GAM JISNE DIYE HE WOHI GAM DOOR KAREGA"


Kash teri is baat per yakin kar paate
Kash kabhi us insaan ko apne dard ka ahsaas kara paate
bewafa kah kar hume chal diya wo zindagi se kis tarah
Kash kabhi usko humare ashq, humari wafa samjha paate
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #27 on: May 30, 2008, 06:43:43 PM »
bahoot shi kaha Sayyid Rander "GAM JISNE DIYE HE WOHI GAM DOOR KAREGA"


Kash teri is baat per yakin kar paate
Kash kabhi us insaan ko apne dard ka ahsaas kara paate
bewafa kah kar hume chal diya wo zindagi se kis tarah
Kash kabhi usko humare ashq, humari wafa samjha paate

+++++++++
Logged
Pooja
Guest
«Reply #28 on: May 30, 2008, 07:09:42 PM »
bahoot khoob sayyid ji..

waqat nikal jaane per pachtane se kaya hoga
mere chale jaane ke baad, dil tadpaane se kaya hoga
Umar bhar karati rahi jis ka intzaar yah ankhia
un ankhon ke band ho jaane ke baad, uske wapis anne se kaya hoga
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #29 on: June 01, 2008, 11:18:50 AM »
bahoot khoob sayyid ji..

waqat nikal jaane per pachtane se kaya hoga
mere chale jaane ke baad, dil tadpaane se kaya hoga
Umar bhar karati rahi jis ka intzaar yah ankhia
un ankhon ke band ho jaane ke baad, uske wapis anne se kaya hoga

Shukriya pooja ji...
Aap ne badi hasrat bahi baat kehdi, koshish karta hun ise kuchh halka karne ki.

++++++++
Logged
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:07:14 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer