Dard ki dawa

by Pooja on March 14, 2008, 03:49:28 PM
Pages: 1 2 3 [4]
Print
Author  (Read 8337 times)
Roja
Guest
«Reply #45 on: February 09, 2009, 07:51:02 AM »
thanks a lot roja ji

muqaddar se jo mila dard tohkoi gilanahin
qasoor shayad dil ka tha saathi mila nahin

aaww... God Bless you...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
wo dard hi kya jo dawa daaru se mit jaaye by bham in Shayri-E-Dard
dard ki dawa......... by manzil-e-ishq in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Dard-e-Dil ki dawa na ho jaaye by rajansarhadi in Shayri-E-Dard
dard e gam ki dawa by aftab alam in Shayeri for Dard -e- Bewafai
zarraa .... dard lagta dawa ke jaisa hai by zarraa in Shairi - E - Zindagi
abdulqadeer
Guest
«Reply #46 on: February 09, 2009, 07:54:38 AM »
Bahoth qoob salil maza agaya !!

Meri juda-e-ne "Qadeer"usse bahoth rulaya hoga !!
Taze hain phool qabra pe koi aya hoga !!

Qadeer Toopchi
Logged
salil2002
Guest
«Reply #47 on: February 09, 2009, 08:04:48 AM »
Bahoth qoob salil maza agaya !!

Meri juda-e-ne usse bahoth rulaya hoga !!
Taze hain phool qabra pe koi aya hoga !!

Qadeer Toopchi
thanks qadeer bhai aap ka hi asar hai thanks roja aapko achcha laga..........

rakhe huye hain yeh phool pichhle baras se
meri barsi par inhe tum hata dena
darne laga hun main in andheron se
is toote chiraag ko meri qabr par jaala dena
Logged
Pooja
Guest
«Reply #48 on: February 09, 2009, 05:37:52 PM »

Dard ki dawa ab to dard hi kare
Zindagi hai kaya, kon parwah kare
Ro liye itna ki ab rona bhi atta nahi
Aor rone ki ab parwah kyun kare

Behlaane se kab dil behlta hai yaha
Phir dard ko behlane ki chinta kyun kare
Dekhati hai tamsha to dekh lene do dunia ko
Is dunia ki ab parwah kyun kare

Bhatak rahi hai ajj pooja
To bhatak hi jaane do
Sidhi hai raah ya hai yah galat
Iski khabar ab kisi ko kaya kare

Rone se nahi sulajhata dard yah jaan chuke
Hasi main na jaane kitni baar khud ko rula chuke
Chalkate hai ansoo hansi main ya ab gum main
Iski pehchan ab pooja kahan kahan kare.......

Dard ki dawa ab to dard hi kare
Zindagi hai kaya, kon parwah kare...............




bahut hi achcha aur dil kochhu lene walakalaamhai pooja di

mat lagao malham mere zakhmo par
haan yeh dard oonki aakhiri nishani hai

bahoot bahoot shukaria.... kisi din bahoot he ajeeb mood main likhi gai thi yah kavita.... shukaria apko pasand aai...

do line main bahoot kuch likh gaye hai app Salil ji!!! Good work
Logged
Pooja
Guest
«Reply #49 on: February 09, 2009, 05:39:00 PM »
Bahoth qoob salil maza agaya !!

Meri juda-e-ne usse bahoth rulaya hoga !!
Taze hain phool qabra pe koi aya hoga !!

Qadeer Toopchi

wah kaya baat hai qadeer bhai... main iatni lambi lambi kavita likhati hu... tab jakar kuch ban paata hai aor apne do line main sab kah diya... bahoot khoob!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #50 on: February 09, 2009, 05:40:19 PM »
thanks qadeer bhai aap ka hi asar hai thanks roja aapko achcha laga..........

rakhe huye hain yeh phool pichhle baras se
meri barsi par inhe tum hata dena
darne laga hun main in andheron se
is toote chiraag ko meri qabr par jaala dena

wah wah wah kaya baat hai... bahoot khoob salil ji
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #51 on: February 09, 2009, 06:35:02 PM »
Is Topic Pe Kisi ek Shyari ko Quote Karna mushkil hai
Aap logone itna Umda likha hai ki Tareef ke Labz nahi mil rahe
Sirf yahi kahunga
Aap log isi tarah likhte rahe aur hame padhne ko milta rahe...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #52 on: February 09, 2009, 09:43:25 PM »
Shukaria Pank ji.... apki taraf se bhi yaha kuch add ho jaata to acha lagta.....
Logged
salil2002
Guest
«Reply #53 on: February 10, 2009, 05:04:26 AM »
thank u pooja di.......tht u like my creations
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #54 on: February 10, 2009, 05:46:54 AM »
wah kaya baat hai qadeer bhai... main iatni lambi lambi kavita likhati hu... tab jakar kuch ban paata hai aor apne do line main sab kah diya... bahoot khoob!!

Shukriya Bahen !! Ye to apki nazar ka kamaal hai jo meri do lines ke ahesas ko pad leti hain !! waise is nacheez ki taherir me khuch bhi to nahi !! allah tumhe khuch rakhe bahen !!

Qadeer Toopchi
Logged
Pages: 1 2 3 [4]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:55:59 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer