dard ki mehfil

by tushar_4u_im on September 17, 2006, 04:22:34 AM
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Author  (Read 3590 times)
ranjana
Guest
«Reply #30 on: October 11, 2006, 04:47:07 AM »
tadpta hai har aashiq ishaq mein
fir bhi ishq ki raha mein khud ko khota hai
milti nahi hai manzil usko raha mein dur tak
fir bhi ishq ka dam har pal woh bharta hai !!

************************************************

jaane kyun ishq karta hai koi
kyu dil ke qarar ko khota hai
dard de jaate hain yeh chand pyaar ke lamhe
umar bahr dil dard ke jaam mein khud ko dubota hai!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aagaye Dard Ki Mehfil Mein,.. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Mere Gamo Aur Dard Ki Mehfil Saji Hai by Shayaries_King in Shayri-E-Dard
DARD KII MEHFIL ~~~ SAAHIL by salil2002 in Shayri-E-Dard
Dard Ki Mehfil by richa_jain in Share:Poetry of Betrayel
tushar_4u_im
Guest
«Reply #31 on: October 11, 2006, 07:30:12 AM »
lafzo ka kya hai ..fisal jaya karte hai ....
lamho ka kya hai ..guzar jaya karte hai ....
yu to milte hai na jane kitne gum zindgi me....
magar kuch dard dil me utar jaya karte hai .....
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #32 on: October 11, 2006, 07:51:54 AM »
bahot khoob  Tushar........ Ranjana sis.....  

Khamosh se tum rehne lage ho,
Intezaar kisika karne lage ho,
Yakinan kisise hui hai mohabbat,
Bina baat ke hi muskurane lage ho…..
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #33 on: October 11, 2006, 08:13:26 AM »
zindgi itni hasi itni hasi batau kya ....
aankh se girte ansu hoth hai bujhe bhujhe batau kya....
zindgi itni hasi itni hasi batau kya ....
ho chale hai aab to zakham bhi nasoor dikhau kya ....
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #34 on: October 11, 2006, 03:49:37 PM »
aawaz unme hoti nahi jo dil toot jaya karte hai ....
mahubbat unhe milti nahi jo 2 pal ki tanhai me aansu bahaya karte hai....
simatte nahi wo lamhe jo bikhar jaya karte hai .....
rah takte raho wapas aayenge wo jo rooth kar chale jaya karte hai.....
Logged
angel4u
Guest
«Reply #35 on: October 11, 2006, 05:03:35 PM »

Kya HuM Bhi TuMhe Yaad Ate Hai?
Is Sher-E-Wafa Ki Raaton Mein
Jo Andhere Pee Lete Hai,
In Jalte Bujhte Saayo Mein
Jo Honthon Ko See Lete Hai,
Kya HuM Bhi TuMhe Yaad Aate Hai?

Jab Khat Kisiko TuMne Likha,
Koi Harf-E-Dua, Koi Harf-E-Wafa,
Jab Yaad Ka Bola Naksh Koi,
Kagaz Par Thehra Hua,
Kya HuM Bhi TuMhe Yaad Aate Hai?

Sach To Ye Hai Ke Itne Saalon Tak
TuM LaMho LaMho Yaad Aaye,
HuM Jahan Gaye HuM Jahan Rahe,
TuM Pal Pal Til Til Yaad Aaye,
To Kya HuM Bhi TuMhe Yaad Aate Hai???
* * * * *
Logged
ranjana
Guest
«Reply #36 on: October 12, 2006, 07:50:42 AM »
ek roshni ki talash is nazar ko abhi bhi hai
bas tera intazaar is nazar ko abhi bhi hai
behenge jo ashq tumhari aankho se sanam
unko apni palko mein samatne ka dam ham mein ab bhi hai


*********************************************

teri yaad ke jab zakaham bharne lagate hain
hum fir se teri hi aarzoo karne lagte hain
 subeh  se karte hain jab bhi zikar tera
meri raat ke andharo bharne lagate hain!!
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #37 on: October 13, 2006, 10:55:34 AM »
katal to hazaro duniya me hote hai ...
dil kisi ka magar tootta hai kabhi kabhi...
jo juda hokar fir na mile jo juda hokar fir na mile....
wo ya to pyar hai ya hai zindgi ......
Logged
ranjana
Guest
«Reply #38 on: October 15, 2006, 02:53:22 AM »
ek deeya tej hawa mein jalta hua
dekhiye tufaano se ladata hua
kuch toh meetega andhera zindagi ka
isi umeed per hai woh bujh ke bhi jalta hua!!
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #39 on: October 20, 2006, 01:20:42 PM »
dard to dard hai ....
har lamha hai dard se bana ....
jo tu na mili hoti kabhi ....
na mai hota na ye dard hoga.....
Logged
phoenix
Guest
«Reply #40 on: October 20, 2006, 01:55:01 PM »
Quote from: "tushar_4u_im"
lafzo ka kya hai ..fisal jaya karte hai ....
lamho ka kya hai ..guzar jaya karte hai ....
yu to milte hai na jane kitne gum zindgi me....
magar kuch dard dil me utar jaya karte hai .....


bahut khoob tushar bhai too gud
Logged
angel4u
Guest
«Reply #41 on: October 20, 2006, 05:53:22 PM »

Tujhe Pyar Mera Satayega,
Yaadonke Toofan Uthayega,
Mera NaaM Likh Kar Kitabon Mein,
Tu Logon Ke Dar Se Mitayega,
Zikar Mera Aksar Karne Se Pehle,
Tu Kuch Soch Kar Muskurayega,
Baatein Meri Yaad Aayengi,
Jitna Tu Unhe Bhulayega,
Tera Dil Mujhe Jo Dekhna Bhi Chahe,
Tu Nazron Ko Phir Bhi Jhukayega,
Jisne Mujhe Itna Sataya Hai,
Uska Chain Bhi Koi Churayega...
* * * * *
Logged
ranjana
Guest
«Reply #42 on: October 27, 2006, 06:29:40 AM »
dard ke palo se guajarti zindagi acchi lagi
chaar din hi sahi magar uski dosti acchi lagi
thee uski nazaro mein koi baat ruki hui si
uske aankho mein apne dard ki hi si nami si lagi!!
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:51:05 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer