dard ki shayari

by Azedmeer on October 08, 2005, 12:33:04 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3612 times)
Azedmeer
Guest
NahiN gham mein baaki asar koi
Mujhe laa ke de do zahar koi

Kab aayegee ai meri maut tu!
Mujhe bhej to de khabar koi

Jarh (root) deemkoN kee ghiza bani
KahiN gir rahaa hai shajar koi

Na hai manzilon ka pataa mujhe
Na hai rastoN kee khabar koi

Ik sang huN sar-e-raah maiN
Meri kyun karega fiqar koi

Meri maut ab mujhe aa ke mil
Mere dil meiN ab nahin dar koi

Is dil ko royeN "Feroz" kyun
Kya ujaD gaya hai shahar Koi?
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Shayari -E- Dard by Thakur Singh in Shayri-E-Dard
shayari-e-dard by mital in Gujarati
*HoneyRose Dard Shayari Collection --NM* by honeyrose in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
shayari-e-Dard by md.ayad in Shayri-E-Dard
dard e zindgi shayari by jaishree in SMS , mobile & JOKES
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #1 on: October 08, 2005, 12:35:51 PM »
bahut ache azedmeer
lekin ye funny section hai
tumne galat jagah post ker di hai
Logged
nikama
Guest
«Reply #2 on: October 10, 2005, 07:55:29 AM »
wahhhhhhhhhh kya baat hai

KHIRKI MEIN BAITH KER AMROOD KHA RAHI HOON
KHIRKI MEIN BAITH KER AMROOD KHA RAHI HOON
AAKER MERE BALAM MUJHE NAMAK HI PAKRA JA
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #3 on: October 10, 2005, 07:59:54 AM »
nice one azedmeer jee but  i think u shud hav posted on dard sec anyhow im  moving it .. sorry in advance but nxt time aap sahi jagah post karein to aacha lagega ...!!! Usual Smile


MOVED by Yoindia.com Monitors
Reason : Inappropriate location.
Comments : u hav posted in rong sec buddy so im moving to its proper loaction...!!!

Moved by : Yoindia Site Monitor salma4u
Logged
nikama
Guest
«Reply #4 on: October 10, 2005, 08:05:22 AM »
wahhhhhhhhhhhhh

salma ke lemon ke liye shiar hai
arz kya hia
hhhm hhhmm

PHOOL TO KHILTA HAI KHILEY GA
PHOOL TO KHILTA HAI KHILEY GA
GARMI BOHAT HAI SHAKANJWI KA GLAAS MILEY GA
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #5 on: October 10, 2005, 10:04:32 AM »
:letmethink:

tumhar dimag hai ya kachra
tumhara dimag hai ya kachra
funny sec nahin hai  ye
dard ka sher kyun nahin mara
Logged
anitha
Guest
«Reply #6 on: October 10, 2005, 12:03:28 PM »
Hum tho pyaar karke bhi pyaar ko na jaana
apne pehli pyaar ko paa kar apna na mana
darthe the ki jamana kuch kehega
Ye pyaar bi kya tha jo zamaane se darta tha

Ab tho pyaar ko maana lekin izhaar na karsakenge
Apni galti ko maana lekin phirse pyaar nahi -karsakeinge
Logged
Azedmeer
Guest
«Reply #7 on: October 10, 2005, 03:44:40 PM »
Yeh Gulab Ka Phool Kab Tak Apne Kaanton Ko Chupayega,
Na Jaane Apne mohabat ke Kaaton Se Kitnon Ko Zakhmi Banayega
Logged
anitha
Guest
«Reply #8 on: October 10, 2005, 04:47:30 PM »
jaana hai ab, ki uska pyaar hai joota
lagta tha woh mujse tha roota
par ab hai maine sach jaana
lagta hai dheir se maine apni galtiko maana
shukar kartee hoon aakhir mai usko jaana
ab to usko bada bewaffa maana
mushkil tha jeena uske bina
par ab hai muje aadat daalna
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: October 10, 2005, 05:24:53 PM »
bahoot khoob Azedmeer and Anitha.

Good Job Salma!!!!

her baat ka wo mujko Ilzaam de gaya
jana tha khud ko, aor muje gunahgaar kah gaya!!!
Logged
anitha
Guest
«Reply #10 on: October 15, 2005, 06:27:43 AM »
woh apne saare taqleefein sunaatha tha
meri har baat pe chidtha tha
tab hi mere ye nadaan dil ko samajna tha
ki woh hai bewaffa jise apni hi fikar hai, meri parwaah nahi
Logged
Azedmeer
Guest
«Reply #11 on: October 15, 2005, 01:41:11 PM »
bohat achai anitha

Dil diya aitbar ki had thi
Jaan de di yeh mere pyar ki had thi
Mar kar bhi aankhen khuli rah gayi
Aur kuch nahi yeh tere intezar ki had thi
Logged
anitha
Guest
«Reply #12 on: October 18, 2005, 08:47:27 AM »
shukriya Azedmeer ji...kya khoob likthe hai aap
humaare taraf se ye choti si nazrana
shaayad pasand aaye.....

yeh mujhe kya pata tha pyaar ki hadh bi hoti hai
humne kiya pyaar jiska ki koi hadh na thi

is pyaar ko tho maine ko diya
lagtha hai woh pyaar karke dohka degaya

ab na hoga phir pyaar mujhe kisi se abhi
lagtha hai rehna mushkil chodke usse abhi

kya karoon shaayad rab ko yehi tha manjoor
uske yaad mein din aur raat roti rahoon

phir bhi hai uski yaad sata thi hai muje
shaayad mile woh muje phir rab ki dua se
Logged
Azedmeer
Guest
«Reply #13 on: October 21, 2005, 05:41:46 AM »
bohat achai anitha

jaane meine yeh pyaar mein kaisi tadap paayi
sehra ke bageechon se phulon ki ummeed lagayi

khushi chaahi thi par kya mere naseeb me aayi
jaane kyu meine ye khanaa-e-bejaan aag lagaayi

tune hi to mujhme apne pyaar ki pyaas jagaayi
dil deke kaisi bekas ulfat me meine chot khaayi

seene me khanjar tera chubhake mei jaan paayi
kitni zulmi hai yeh janeman teri ek bewafaayi

yeh zindagi jaane aaj kaisi kashmakash me aayi
jabbhi hasna chaaha toh bhi naa mei has paayi

isi chehre se kal teri zindagi thi muskuraayi
phir kyun aaj teri yeh nazar mujhpe sharmaayi

gar ye maidaan kaagaz banjaye aur darya syaahi
"Azed" zarur likh deta teri kissa-e-bewafaayi
Logged
anitha
Guest
«Reply #14 on: October 21, 2005, 02:16:42 PM »
wowwwwwwwww ...its so good Azedmeer ji
bahut achai
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:38:36 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.627 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer