Dard ko, dard samajhnaa hogaa!

by abdbundeli on August 06, 2008, 06:14:49 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3738 times)
abdbundeli
Guest

 Dard to, zindagee kaa hissaa hai;
 Aur, majbooriyoun ka kissaa hai!
 Dard ko, dard samajhnaa hogaa!
 Zard ko, zard samajhnaa hogaa!!


 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dard ne itna dard diya by Ricky in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
kahan dard-e-dil dard se nashaad hota hai by @kaash in Ghazals « 1 2  All »
Tere Dard Se Mera Dard...Kash by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri
dard-e-dard by dhani in Shayri-E-Dard
Dard ko dard se aur dard hone lga jab mohabbat se koi dur hone lga by Asif samani jaunpuri in Shayri for Dard -e- Judai
Roja
Guest
«Reply #1 on: August 06, 2008, 02:48:49 PM »
'Dard to, zindagee kaa hissaa hai;
 Aur, majbooriyoun ka kissaa hai!
 Dard ko, dard samajhnaa hogaa!
 Zard ko, zard samajhnaa hogaa!!'

                  - abd bundeli

Wah
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #2 on: August 01, 2009, 06:42:45 AM »
Wah
Thanks Roja!
       - abd bundeli
Logged
salil2002
Guest
«Reply #3 on: August 01, 2009, 06:50:59 AM »
bahut achche abd bhai hamesha kii tarah


mohabbat kii jab dard se mulakaat huyi
oos ghado sirf teri hi baat huyi
bada roya dard mohabbat kii khatir
isliye aaj tere ghar par barsaat huyi
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: August 01, 2009, 07:26:35 AM »
bahut achche abd bhai hamesha kii tarah


mohabbat kii jab dard se mulakaat huyi
oos ghadi sirf teri hi baat huyi
bada roya dard mohabbat kii khatir
isliye aaj tere ghar par barsaat huyi
Shukriyah Saahil ji! Aur Bahut hi khoob kahaa hai aapney!

Barsey ghan: barsey nayan:
Kaisey paauun chain?
Din to sakhiyoun mein katey;
Un bin katey na rain!

                 - 'Ramwatiya'


Logged
Roja
Guest
«Reply #5 on: August 04, 2009, 04:41:40 PM »
Shukriyah Saahil ji! Aur Bahut hi khoob kahaa hai aapney!

Barsey ghan: barsey nayan:
Kaisey paauun chain?
Din to sakhiyoun mein katey;
Un bin katey na rain!

                 - 'Ramwatiya'




Aaye ab laut kar bahar kahan?
Chand dal jaye toh jwaar kahan?

Faasle waqt ne badaye hai
Hum kahan aur hamara ye yaar kahan?
 sad7


Logged
Roja
Guest
«Reply #6 on: August 04, 2009, 04:43:23 PM »
bahut achche abd bhai hamesha kii tarah


mohabbat kii jab dard se mulakaat huyi
oos ghado sirf teri hi baat huyi
bada roya dard mohabbat kii khatir
isliye aaj tere ghar par barsaat huyi

 Applause Applause

Kya kahu, kya meri kahani hai?
Rahe-ulfat ki khaak chani hai

Gam diye itne aur kya mangu
Ye mohabbat... ye teri meherbani hai..
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #7 on: August 04, 2009, 05:30:47 PM »

Aaye ab laut kar bahar kahan?
Chand dal jaye toh jwaar kahan?

Faasle waqt ne badaye hai
Hum kahan aur hamara ye yaar kahan?
 sad7


Meet kharhaa hai dwaar par,
Sakuchaayaa-saa moun!
Band kapaatoun sey, palat,
Pratidhwani aatee, "Koun?"

   - Ram Prakash Garg 'Ramwatiya'

Logged
Roja
Guest
«Reply #8 on: August 04, 2009, 05:35:02 PM »
Meet kharhaa hai dwaar par,
Sakuchaayaa-saa moun!
Band kapaatoun sey, palat,
Pratidhwani aatee, "Koun?"
   - Ram Prakash Garg 'Ramwatiya'



Waqt tha roj daur chalte they
Khali ab jaam hai khumar kahan?

Roop ke rasiya laakhon milenge tumhe
Humsa paoge jaan-nisaar kahan?  Usual Smile
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #9 on: August 04, 2009, 05:47:54 PM »

Waqt tha roj daur chalte they
Khali ab jaam hai khumar kahan?

Roop ke rasiya laakhon milenge tumhe
Humsa paoge jaan-nisaar kahan?  Usual Smile


Rang saaqiyaah kaa charhhaa:
Aayegaa na khumaar!
Aayaa maykash jaan kar,
Chhupey: na kholey dwaar!

            - abd bundeli
Logged
Roja
Guest
«Reply #10 on: August 04, 2009, 05:52:35 PM »

Rang saaqiyaah kaa charhhaa:
Aayegaa na khumaar!
Aayaa maykash jaan kar,
Chhupey: na kholey dwaar!

            - abd bundeli


Waqt tha jab wafa ki keemat thi
Ab wafa walon ka bakaar kahan?

Ishq hai ab sab dikhawe ka
Ranje, Mahiwal ka wo pyar kahan?
 Giggle
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #11 on: August 05, 2009, 04:58:42 AM »

Waqt tha jab wafa ki keemat thi
Ab wafa walon ka waqaar kahan?

Ishq hai ab to bas dikhawe ka
Ranjhe, Mahiwal ka wo pyar kahan?
 Giggle


Ishq mein marney waaley aaj bhi hain!
Tab bhi they dil key kaaley, aaj bhi hain!
Waqt sey farq parhey, to, wafaa nahin tab wah;
Wafaa nibhaaney waaley aaj bhi hain!!

                         - abd bundeli


Logged
Roja
Guest
«Reply #12 on: August 05, 2009, 07:49:31 AM »
Ishq mein marney waaley aaj bhi hain!
Tab bhi they dil key kaaley, aaj bhi hain!
Waqt sey farq parhey, to, wafaa nahin tab wah;
Wafaa nibhaaney waaley aaj bhi hain!!

                         - abd bundeli


Daag kuch saat leke jaungi
Zindagi ki yahi nishani hai
Jiske dar per kari riyajat(tapasya) mein
Usne kya apni kadr jaani hai
 Usual Smile
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #13 on: August 05, 2009, 12:43:08 PM »

Daag kuch saat leke jaungi
Zindagi ki yahi nishani hai
Jiske dar per kari riyajat(tapasya) mein
Usne kya apni kadr jaani hai
 Usual Smile

Wo nataayaz hain zindgaanee key,
Jin ko ham daag naam deytey hain!
Pahiniye pairahan: daag aatey hain!
Daag kuchh imtihaan bhi leytey hain!!

Yahee suboot hain, ki, ham ney bhee,
Zindagee jee hai; khoob jee lee hai!
Pairahan pahiney na jaayengey, to, gal jaayengey!
Iseeliye to ham ney saath sanam key pee hai!!

                          - abd bundeli
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #14 on: January 05, 2010, 10:26:41 AM »
Bahut achhe Abd di.
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:44:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer