Dard Mashoor Shayaron Ke,.

by Jaanasheen on February 12, 2008, 10:19:31 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 6522 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Khwaja Haider Ali 'Aatish' was born in 1778 in Faizabad. He died in 1846 in Lucknow. His poems are compiled under 'Deewan-e-Aatish'.

Tadapte Hain Na Rote Hain Na Hum Fariyaad Karte Hain,.
Sanam Ki Yaad Me Har Dum Khudaa Ko Yaad Karte Hain,.

Unhi Ke Ishqn Me Hum Naala-o-Fariyaad Karte Hain,.
Elaahi Dekhiye Kis Din Hume Wo Yaad karte Hain,.
{Naala= Loud Wailing}

Shab-e-Furkhat Mein Kya Kaya saanp Lehraate hain Seene Par,.
Tumhaari Kaakul-e-Pehchaan Ko Jab Hum yaad Karte Hain,.

{Kakul-e-Pehchaal=Curly Hears}

________________________________________-Khwaja Hyder Ali-
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kambakth Shayaron :( by sanjaykattimani in Shayri-E-Dard
**MASHOOR BEWAFAA** by harshmeet in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Tusi Mashoor ho gaye ho by rajrishi in Shayari-ae-bewafai in Punjabi
Introducing Yoindia Guftagu : Shayaron Ki Baatcheet by iAdmin in Yoindia's News and Announcement
mashoor kar gye by MOL in Shayeri for Dard -e- Bewafai
diya786
Guest
«Reply #1 on: February 12, 2008, 12:15:56 PM »
ek aur bahut hi umda shayari ka nazrana
jiske jawaab mein kuch likha nahin ja sakta
shukriya mushkil alfazo ke mayne batane ke liye!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: February 12, 2008, 12:46:54 PM »
Shukriya Diya Ji,.
Waise Ye Kamaal ke Shayar the,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: February 12, 2008, 12:55:00 PM »
Aaya Tha Ghar Savaarane Ehsaan Kar Gayaa,.
BarbaadiyoNn Ka Aur Bhi Saamaan Kar Gayaa,.

Ab Tak Rahi Us Ki Yaad Meri Zindagii Ke Saath,.
Do Chaar Pal Ki Mujh se Jo Pehachaan Kar Gayaa,.

Aankhon Ne Jis Ke Shauq Mein Raatein Sajaaii Thi,.
Khvaabon Ke Anjuman Wohi Veeraan Kar Gayaa,.

Jhonkaa Nasiim-e-Subah Ka Aayaa To Tha Magar,
Gulshan Ki Har Kali Ko Pareshaan Kar Gayaa,.

_______________________________-Unknown-
Logged
punam
Guest
«Reply #4 on: February 12, 2008, 01:07:26 PM »
Nice thread azeem bhai..

Ab Aansuon Ko Aankhon Mein Sajaana Hoga
Charaagh Bhuj Gaye Khud Ko Jalaana Hoga

Na Samajhna Ke Tumse Bichharh Ke Khush Hain
Hamein Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga

Phir Shaam Dhal Gayi Tum Aaye Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedon Se Behlaana Hoga

Waada Khilaafi Kar Ke Muskurate Hain Aap
Dekhna Ek Din Sanam Aapko Pachtaana Hoga

Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaaunga
Thaam Ke Haath Mein Phool Tumko Aana Hoga

Abhi Se Na Kijiye TaQaaz-E-Masroofiyat Ke Aap
Abhi Uthna Hai Janaaza Kaandha To Dena Hoga

Muddaton Kiya Hai Tera Intezaar Aye Sanam
Umr Kat Chuki Ab To Tujhe Jaana Hoga...

By : Unknown
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: February 12, 2008, 01:17:40 PM »
Shukriya,.
And Thanks For Sharing,.
Logged
punam
Guest
«Reply #6 on: February 12, 2008, 01:20:40 PM »
sukrya ji ..arre main chahti thi aisa ek thread start karne...
aap kar diye..so mauka mila kuch shayari yehan post karne ki...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: February 12, 2008, 01:25:33 PM »
Badnaam Mere Pyaar Ka Afsaana Hua Hai,.
Deevaane Bhi Kehte Hain Ki Deevaana Hua Hai,.

Rishtaa Tha Tabhi To Kisi Bedard Ne Tordaa,
Apnaa Tha Tabhi To Koi Begaana Hua Hai,.

Baadal Ki Tarah Aa Ke Baras Jaaiye Ek Din,
Dil Aap Ke Hote Hue Veeraana Hua Hai,.

Bajte Hain Khayaalon Mein Teri Yaad Ke Ghungroo,
Kuchh Din Se Mera Ghar Bhi Pari Khaana Hua Hai,.

Mausam Ne Banaaya Hai Nigaahon Ko Sharaabi,
Jis Phool Ko Dekhoon Vahi Paimaana Hua Hai,.

___________________________________-Unknown-

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: February 12, 2008, 01:27:49 PM »
sukrya ji ..arre main chahti thi aisa ek thread start karne...
aap kar diye..so mauka mila kuch shayari yehan post karne ki...
Aap Ki Muraad Shayad Humne Kardi,.
Waise Hum Milkar Kyun Na ise Aaage Bahaayein,.
Logged
punam
Guest
«Reply #9 on: February 12, 2008, 01:29:38 PM »
Kya Mila Tumhe Socho, Humko Azmaane Mein
Aag Lag Gayi Aakhir, Har Taraf Zamane Mein.

Tum To Chaar Din-May-Hi, Apna Honsla Kho Bethe
Umar Beet Jati Hai, Ruthne-Manane Mein...

Tumne Sab Luta diye Ashq Meri Palko Ke,
Ik Zamaana Lagta Hai, Aainey Sajaane Mein.

Aaj hai Sabhi Masroof, Farak Sirf Itna Hai,
Koi Ghar Banane Mein, To Koi Ghar Jalane Mein...

By - Unknown
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: February 12, 2008, 01:38:05 PM »
Nice Sharing,.

Kaise Kaise Haadse Sehte Rahe,.
Hum Yun Hi Jeete Rahe Haste Rahe,.

Uske Aa Jaane Ki Umeedein Liye,.
Raaste Murd-Murd Ke Hum Takte rahe,.

Waqt To Guzraa Magar Kuch Is Tarah,
Hum Charaagon Ki Tarah Jalte Rahe,.

Kitne Chehre The Hamaare Aas-Paas,.
Tum Hi Tum Dil Mein Magar Baste Rahe,.

_______________________-Wajeeda Tabbassum-
Logged
punam
Guest
«Reply #11 on: February 12, 2008, 01:40:32 PM »
Thanx...

En jurato pe akele-sabe -gam bhi dang hain
nanhe se aansooo ki sitaro se jang hai

kuch unki barahmi se bhi khali nahi hai khuaf
meri nigahe-sauk nihayat dabang hai

Allah re , ye aalame-mayusiye-alam
ankho me eltija, na dilo me umang hai

lahja hai talakh, lab pe hashi, aabruon me bal
kya yeha bhi barhami ka koi khas dhang hai

dekh ye sabe-fhirak mere dil ka dubna
har ashqe-gam me,subah sitaro ka rang hai

duswar yun to kuch bhi talashe-suku nahi
gardis magar har ek mukaddar ke sang hai

dhare badal rahe hain "phalak", bahre-jist ke,
daure-sabab kya hai,wo uthti tarang hai.

by_Heera Lal
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: February 12, 2008, 01:44:21 PM »
yaa to mitt jaaiye yaa mitaa dijiye
kiijiye jab bhi saudaa kharaa kijiye

ab jafaa kijiye ya wafaa kijiye
aakharii vaqt hai bas duaa kijiye

apne chehre se zulfein hayaa dijiye
aur phir chaand ka saamna kijiye

har taraf phool hi phool khil jaayenge
aap aise hii hansate rahaa kijiye

aap ki ye hansi jaise ghungroo baje
aur qayaamat hai kya ye bataa dijiye

______________________Wajida Tabbassum-

Logged
punam
Guest
«Reply #13 on: February 12, 2008, 01:53:44 PM »
Kiya baadalon me safar zindagi bhar
Zamin par banaya na ghar zindagi bhar

Sabhi log jine ka fan jaanate hain
Na aayaa hamen ye hunar zindagi bhar

Mohabbat rahi chaar din zindagi me
Raha chaar din kaa asar zindagi bhar...

By : Unknown
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: February 12, 2008, 02:04:11 PM »
Great Shayar Hai,.
Jinhone Ye Likha Hai,.

tabaahi kaa apani nishaan chhod aaye,.
varaq dar varaq daastaan chhod aaye,.

har ek ajanabi se pataa poochte hain,.
tujhe zindagi ham kahaan chord aaye,.

vahi log jeene ka fan jaante hain,.
jo ehsaas-e-suud-o-ziyaan chord aaye,.

[suud-o-ziyaan=profit and loss]

nikal aaye tanhaa teri rahguzar par,
bhatakne ko ham kaaravaan chord aaye,.

_______________________-Kaifi Azeemabadi-
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:25:38 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer