Dard Mashoor Shayaron Ke,.

by Jaanasheen on February 12, 2008, 10:19:31 AM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 6521 times)
mehhekkk
Guest
«Reply #15 on: February 12, 2008, 05:44:41 PM »
bahut khubsurat

aye khuda tere dar ke haz kar liye bahut
ab sanam ke dar ka sajda kara ek bar.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kambakth Shayaron :( by sanjaykattimani in Shayri-E-Dard
**MASHOOR BEWAFAA** by harshmeet in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Tusi Mashoor ho gaye ho by rajrishi in Shayari-ae-bewafai in Punjabi
Introducing Yoindia Guftagu : Shayaron Ki Baatcheet by iAdmin in Yoindia's News and Announcement
mashoor kar gye by MOL in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #16 on: February 13, 2008, 09:05:15 AM »
Shukriya Mehekk Ji,.
Aur Aap Bhi Yahaan Dusre Shayaron Ke Dard Ko Post Karona,.
Sab Ko Achcha Lage Ga Pardhkar,.
Seekhne Ko Bhi Milega,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #17 on: February 13, 2008, 09:09:48 AM »
One Of My Fav8 Shayar "Ahmed Faraaz Ji",.
Mera Pasandida kalaam Hope U All Like It,.

Dukh Fasaana Nahi Ke Tujhse Kahein.
Dil Bhi Maanaa Nahi Ke Tujhse Kahein,.

Aaj Tak Apni Bekali Ka Sabab,.
Khud Bhi Jaana Nahi Ke Tujhse Kahein,.

Ek Tu Harf-e-Ashnaa Tha Magar,
Ab Zamaana Nahi Ke Tujhse Kahein.,

Be-Tarah Dil Hai Aur Tujh Se,
Dostaana Nahi ke Tujhse Kahein,.

Aye Khuda Dard-e-Dil Hai Bakhshish-e-Dost,.
Aab-o-Daana Nahi ke Tujhse Kahein,.

________________________-Ahmed Faraaz-
Logged
punam
Guest
«Reply #18 on: February 13, 2008, 10:17:21 AM »
Bahot hi acha hai....

Zakhm-ae-dil ger daekhna hai,paas aaker daekh lo
Is pae bhi na ho yaqeen to,zakhm kha ker daekh lo

Choat kha ker muskuraana,kaam ae aasaan nahin
Choat main tum ko lagaaoan,muskura ker daekh lo

Lardkhadatae hain khadam,phir bhi hain saabit-khadam
Kuch hamaari hi tarah,tum lardkhada ker daekh lo

Dosti sae kuch ziyaada,jaan ki kheemat nahin
Jaan bhi dae daegaen tum per,aazma ker daekh lo

Hum giya pal to hain nahin,RAZ kehtae hain hamaen
Hum chalae aayeengae ek din,tum bula ker daekh lo

RAZIA YASMEEN RAZ
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #19 on: February 13, 2008, 10:20:27 AM »
Punam aur azeem bohat likha hai aapne.. Usual Smile
Logged
punam
Guest
«Reply #20 on: February 13, 2008, 10:30:10 AM »
Thanx di...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #21 on: February 13, 2008, 10:55:55 AM »
nagri nagri phiraa musaafir ghar ka rastaa bhuul gayaa
kya hai teraa kya hai meraa apnaa paraayaa bhuul gayaa

apani biiti jag biiti hai jab se dil ne jaan liyaa
hanste hanste jiivan biitaa, ronaa dhonaa bhuul gayaa

andhyaare se ek kiran ne jhaank ke dekhaa sharmaaii
dhoondh si chhab to yaad rahi kaisa tha chehraa bhuul gayaa

hansii hansii mein khel khel mein baat ki baat mein rang gayaa
dil bhi hote hote aakhir ghaav ka risanaa bhuul gayaa

ek nazar ki ek hi pal ki baat hai Dori saanson ki
ek nazar ka nuur mitaa jab, ek pal bitaa bhuul gayaa

jis ko dekho us ke dil mein shiavaa hai to itanaa hai
hamein to sab kuch yaad rahaa par ham ko zamaanaa bhuul gayaa

koi kahe ye kis ne kahaa tha kah do jo kuchh ji mein hai
"Miraji" kah kar pachhataayaa aur phir kehanaa bhuul gayaa

____________________________________________-Miraaji-
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:17:44 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.088 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer