Dard Mein Jo Maaza Hai Woh Khusi Main kahan..!!!

by Delicate_Doll on January 24, 2005, 11:20:51 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 11
Print
Author  (Read 11271 times)
Delicate_Doll
Guest


Mujhe Khushiyan Mile Na Mile Iss Jahan Mein,
Tumein Gum Ki Parchaiyen Bi Kabhi Na Chuye,
Mujhe Aansun Hi Aansun Mile Hain Iss Jahan Mein,
Tumein In Aansun Ki Parchaiyen Bi Kabhi Na Chuye..! sad5
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hatoon ki lakiroon main kahan ho by sarafz in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4  All »
ghazal:Mujhse pucho ki sahi dard kahan hote hain! by khalidrawat in Shayri for Khumar -e- Ishq
kahan ye bus main k .... by tanishk_yadav in Shayri for Dard -e- Judai
kahan dard-e-dil dard se nashaad hota hai by @kaash in Ghazals « 1 2  All »
wo bhi andhkaar mein main bhi andhkaar mein by BHONDU in Shayri-E-Dard
tanha dil tanha safar
Guest
«Reply #1 on: January 24, 2005, 11:32:17 AM »
dil ko chhoo liya aapne to
very nice!!!!!!!!! salma ji
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #2 on: January 24, 2005, 11:36:07 AM »
shukriya......TDTS.....ji.......magar aap to zabardast likhte hain main kahan sirf kousis kiya tha!
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #3 on: January 24, 2005, 11:37:19 AM »
Kismat se apni sabko shikayat kyo hai?
Jo nahi mil sakta usi se Mohabbat kyo hai?
Kitne kaayein hai dokhae in rahon mein,
Phir bhi dil ko usi ka intezar kyo hai
n/m
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #4 on: January 24, 2005, 11:40:14 AM »
"Kisey Pukarain Hum Is Hujoom-e-Gham Main
K Sub Hi Hamaray Aazamaye Huay Hain

Tum Hi Ne Humain Kar Dia Tanha
Warna Hum To Taalluq Nibahye Huay Hain

Dheemay Dheemay Aansoo Dil Se Girte
K Hum Apna Gham Sub Se Chupaye Huay Hain

Un Shano Tak Ab Rasai Na Rahi
Jin Shano Pe Aansoo Bahaye Huay Hain

Hum Karain Ab Kisi Per Kaisay Bharosa
K Zamane Se Dhokay Khaye Huay Hain

Khushion Se Bhi Ab To Lagta Hay Darr
Is Qadar Zakham Hum Ne Khaye Huay Hain

Ab Dast-e-Shanasai Na Barhayain Gay Hum
K Zamane Bhar Se Thukrai Hue Hain
n/m
Logged
tanha dil tanha safar
Guest
«Reply #5 on: January 24, 2005, 11:48:40 AM »
pad pad kar aisi lines aapki
hum thode se ghabrayein hue hain

just kidding again
it was a gud one again salma ji.


jhankte hain aankhon mein jinki hum
woh baithe hain palke jhuka ke aur
kehta hain hum sharmaye hue hain.
Logged
*BROKEN DREAM*
Guest
«Reply #6 on: January 24, 2005, 12:51:33 PM »
Mujhe Khushiyan Mile Na Mile Iss Jahan Mein,
Tumein Gum Ki Parchaiyen Bi Kabhi Na Chuye,
Mujhe Aansun Hi Aansun Mile Hain Iss Jahan Mein,
Tumein In Aansun Ki Parchaiyen Bi Kabhi Na Chuyey

bohot khub ...... eid to aakeey chali jaati hai..... magar pyaar karney walo ki qurbaani nahi jaati
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: January 24, 2005, 06:03:43 PM »
wah bahoot khoob salma!!!!!
Logged
diva
Guest
«Reply #8 on: January 25, 2005, 08:09:16 AM »
wow salma very nice
Logged
diva
Guest
«Reply #9 on: January 25, 2005, 08:16:10 AM »
khushiyon ne jab humse chuda liya daman
humen dard ne apnaya aur diya apnapan
ab aati hai paas khushiyan yun bhar bahr
ab humen hogaya hai  ishq gum se magar
Logged
pandit
Guest
«Reply #10 on: January 25, 2005, 08:20:00 AM »
Quote from: "diva"
khushiyon ne jab humse chuda liya daman
humen dard ne apnaya aur diya apnapan
ab aati hai paas khushiyan yun bhar bahr
ab humen hogaya hai  ishq gum se magar



nice divaji...
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #11 on: January 25, 2005, 10:45:10 AM »
shukriya.......doston...


=====================

kushiyan mein kahan maaza hai ,
jo dard mein dil chupke se ro jata hai,
uss ka ehsaas hi alag nasha hota hai,
aise aansun koi nazaar nahin aane dete hai,
ab to gum khusiyan mein bi nazaar aate hai..
Logged
husain52
Guest
«Reply #12 on: January 25, 2005, 10:59:19 AM »
nice work salma, tanha dil, diva
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #13 on: January 25, 2005, 11:03:57 AM »
shukriya......husain ji


=====================

Aysi Umeed Rakhtay Nahen Hay

 "Zara Si Baat Say Dil Ka Nagar Badaltay Nahen Hay
Hum Teri Nazar Ki Tarha Nazar Badaltay Nahen Hay
Tu jo Badal Gya Hay Moosam Ki Rut Ki Tarha
Tujh Jaisa Kirdaar Hum Rakhtay Nahen Hay

Dhoondta Phiray Ga Iss bay-Aasra Dunya May tu Aasra
Teray Liye Koi Nishan-e-Manzil Hum Rakhtay Nahen Hay
Aagar Tu loot Bhi Aye wafa Ki Iss Dunya May
Teray Liye Wo Tehseen Jazbaat Hum Rakhtay Nahen Hay

Aay Kaash Kay Tu Aa Milay Mujh Say Doobara
Aysii Umeed Aab Hum Rakhtay Nahen Hay
Bay-Wafaoo Kay Liye iss Dunya Kay Loog Masoom
Wapsiiii Ka Koi Raasta Rakhtay Nahen Hay
n/m
Logged
amit_is_always_cool
Guest
«Reply #14 on: January 25, 2005, 11:06:38 AM »
nice on salma ji
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 11
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 11:10:23 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer