Dard o Gham

by Nino on October 20, 2004, 11:50:32 AM
Pages: [1] 2 3 4 5
Print
Author  (Read 4517 times)
Nino
Guest
Dard o Gham ki shayam ho jaye ye to mumkin nahi
mere dil ka pura har ek aarman ho jaye ye to mumkin nahi
ab jo shayam gham chayi hai to yaad aaya main unko
kabhi kushi mein unke hoonto pe mera naam aajaye  ye to mumkin nahi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dard ao gham say dil kabhi fursat na payie by FArah in Shayri-E-Dard
**Byaah Hua Hai Dard Se Mera Aur Gham Se Meri Hui Sagaii** by *~*Pakeezah Aanchal*~* in Shayri-E-Dard
dard our gham ho to by saahill in Shayeri for Dard -e- Bewafai
bina dard-o-gham ke.... by SURESH SANGWAN in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Nino
Guest
«Reply #1 on: October 20, 2004, 12:50:12 PM »
ab to pahter ki tasveer hoon
ya main koi butt e bepeer hoon
pairo mein jo bandh gayi
main to wo tooti hui zangeer hoon
Logged
Nino
Guest
«Reply #2 on: October 20, 2004, 12:53:28 PM »
Haale dil sunayai to jake kise
ab to wo bhi begane ho gaye
apni to baat hi koi nahi karta yahan
sirf meri badnam mohabat ke afsana ho gaye
Logged
Nino
Guest
«Reply #3 on: October 20, 2004, 01:00:16 PM »
main ye sooch kar uske dar se uhta tha
ki koi awaaz bhula legi muhjhe
hume khaber hi kiya thi is mohabat mein
ki wo to intezaar mein baitein hai mere jane ke
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: October 20, 2004, 05:39:23 PM »
Quote from: "Nino"
Dard o Gham ki shayam ho jaye ye to mumkin nahi
mere dil ka pura har ek aarman ho jaye ye to mumkin nahi
ab jo shayam gham chayi hai to yaad aaya main unko
kabhi kushi mein unke hoonto pe mera naam aajaye  ye to mumkin nahi


wah!!! bahoot khoob Niino....

Dard -o-gum ki sham hai, aor teri yaandon ke saye hai
mere har ek armaan per bas yahi to chai hai
jis shaam tuje bhi meri yaand aa jai
bas ussi shaam ke Intzaar mai najare lagai hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: October 20, 2004, 05:42:19 PM »
Dard aor gum ka bas itna sa afsaana hai
meri ankho se bah kar,
mere hi dil mai kahi simat jana hai
har dharkan dard ban kar dharkati hai
har sisaki bas ek gum ban kar tarpati hai
Logged
Nino
Guest
«Reply #6 on: October 20, 2004, 07:03:54 PM »
Na tarpna anpne gham mein itna ki khudai bhool jao
is mohabat is mila hai kisi ko kya ab ye tum hi sooch kar bataao
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: October 20, 2004, 09:01:04 PM »
humne apni muhabbat mai khuda ko paya hai
kaya khoya aor kaya paya, yah sawal na kabhi man mai ayya hai....
Logged
Nino
Guest
«Reply #8 on: October 21, 2004, 10:08:36 AM »
Khudai to wo rutba hai jisse mohobat ki pehchan hoti hai
ager mein chal rahe hoon apni rah pe to ghum nahi koi
aklela hi chala tha to main akela hi sahi
Logged
qakhs
Guest
«Reply #9 on: October 21, 2004, 10:15:56 AM »
Hawa ko likhna jo aa gaya hai
Ab us ki marzi
Khazaan ko bahar likh day
Bahar ko intezar likh day
Safar ki khwahish ko wahmon kay
Azaab say hamkanar likh day
Wafa kay raston pay chalne
walon ki kismaton mein
ghubar likh dey

Hawa ko likhna jo aa gaya hai
Ab us ki marzi
Wasal mausam mein hijr ko hisa dar likh dey
Muhabbaton mein guzarne wali
Rutoon ko na paidar likh dey
Shajr ko besaya dar likh dey

Hawa ko likhna jo aa gaya hai
Ab us ki marzi
Tamam diye bujha kar
Shaboon ko baa-ikhtayar kar kay
Sahar ko beaitbar likh dey
Hawa ko likhna sikhane walo
Hawa ko likhna jo aa gaya hai!!
Logged
Nino
Guest
«Reply #10 on: October 21, 2004, 10:31:37 AM »
nice Qakhs
Logged
qakhs
Guest
«Reply #11 on: October 21, 2004, 11:06:09 AM »
Buaht Milay Hain
Chaloo Bechar K Dekhay
Kuch Din Aisa Hogaa
Ratoo Ko Neend Naa Aaye Gee
TanHai Mai Hath Malay Gay
Ankhoo Ko Bhi Num Karain Gay
Jahan Say Dosti Bhi Khatam Hogee
Rat-Jagoo K Azab Hongy
Kuch Tumhary Khuwab Hongy
Phir Buhat Din Baad Aisa Hogaa
Kay Hum!
Duniya Walo Kay Sath
Chalnay Lagy Gay
ChalooKuch Din Aisa Bhi Kar K Dekhain
Buaht Milay Hain
Chalo Behar K Dekhay!!!
Logged
Nino
Guest
«Reply #12 on: October 29, 2004, 01:21:55 PM »
wah wah..........
Logged
Nino
Guest
«Reply #13 on: October 29, 2004, 03:15:59 PM »
Wakif nahi main kisi gham teri yaadon itna masruf rakh rakha hai
dard o gham ki mahfil sajji hai to mein bhi kissa apna hai
Logged
nishita
Guest
«Reply #14 on: October 29, 2004, 05:25:40 PM »
waah all

na jane mujh main kis baat ki kami thi
uss ne sab se pyar kiya par mujh se na kar saka
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:49:22 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.09 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer