*DARD* ........ Roja

by Roja on March 13, 2007, 02:24:14 AM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6
Print
Author  (Read 6976 times)
Roja
Guest
«Reply #60 on: July 01, 2007, 07:59:43 AM »
Thanks Paani dear..

Shikayat b hai shikwe bhi hazaron hai
Is dil ko magar Unse Mohabbat bhi hai
Aa jata hai milne wo tasavoor main hamare
Ek shakhs ki itni si inayat bhi bahut hai
Yeh bhi hai tamanna ke Unhe DILSE bhula de

IS DIL KO...

Magar is dil ko unki pyar ki zarurat bhi bahut hai
Wo mujhe bhool gaye ... yeh unki aadat..
Mai yaad karti hu unhe her waqt... yeh meri zindagi..!!
[/color]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mere Dil Pe Badal Ki Trah (Dec.21.2006) Dedicated To Roja ji by FAREE in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 7 8 »
On Valentine For You ~ Roja ~ by FAREE in Shayri for Khumar -e- Ishq
Nikaal Ke Woh Khanjjar .......(( Roja )) ..... by FAREE in Shayri for Khumar -e- Ishq
paani
Guest
«Reply #61 on: July 02, 2007, 05:26:47 AM »
Quote from: "Roja"
Thanks Paani dear..

Shikayat b hai shikwe bhi hazaron hai
Is dil ko magar Unse Mohabbat bhi hai
Aa jata hai milne wo tasavoor main hamare
Ek shakhs ki itni si inayat bhi bahut hai
Yeh bhi hai tamanna ke Unhe DILSE bhula de

IS DIL KO...

Magar is dil ko unki pyar ki zarurat bhi bahut hai
Wo mujhe bhool gaye ... yeh unki aadat..
Mai yaad karti hu unhe her waqt... yeh meri zindagi..!!
[/color]


Wo mujhe bhool gaye ... yeh unki aadat..

Khoob roja ji
Logged
Roja
Guest
«Reply #62 on: July 03, 2007, 05:43:52 PM »
Thanks Paaniiii dear
Logged
Roja
Guest
«Reply #63 on: July 03, 2007, 05:54:12 PM »
Aankhon main ek prathna aur honton per ek yaachana hai
Jaise bhi hum jee sakte hai vaise hi jee lene to do..
Nahi hum tumse pyar mange koyee uphar mange
Apni aankhon ke aansoo hi humko pee lene to do..

Tum to humko kuch na doge na tumse hum mangenge
Hame pata hai apni seema usko kabhi na landhenge
Tumhare pass wo kuch hai nahi jo humko de paoge
Per jo ishwar ne diya hai humko haq se lene to do..

Tum to khud hi bhooke ho sada jo mange rehte ho
Khane ko itna hai per phir bhi bhooke pet hi rehte ho
Apna tumhara nahi yahan kuch, jo hai vo to auron ka hai
Is nisarg ke kosh se, zarurat ber humko bhi lene to do..

Tum humko kuch de paoge itna tum azaad nahi
Apne swarth ko hara sako, itne bhi ustaad nahi
Isliye band kar do ye pyar ke tum natak sare
Hame aatmagaurav se gam apne seh lene to do..

Daan tumhara bhi to atyachaar se kam nahi hai
Woh jo ek dikhawa hai, gam se koyee gam nahi hai
Kal tum pioge apne pracharon ke abhiman ka amrit
Ek sach humko aaj per yeh abhi keh lene to do...

Roja
[/color][/size]
Logged
paani
Guest
«Reply #64 on: July 04, 2007, 09:19:35 AM »
nice .. ye kuch hat ke likha hai aap ne...
Logged
Roja
Guest
«Reply #65 on: July 07, 2007, 01:02:24 AM »
Quote from: "paani"
nice .. ye kuch hat ke likha hai aap ne...


Unko gussa se likha hai..hehehe :wink:
Logged
Roja
Guest
«Reply #66 on: July 07, 2007, 01:10:23 AM »
Aisa lahoo toh aaj se pehele baha na tha
Kal tak hamara zakham to itna hara na tha

Nafrat ki tokaron se Mohabbat ko todna
Ye to kisii kitab ne tumse kaha na tha

Dono ke darmiyan aana ho gayee "Roja"
Mujhko yakeen hai koyee kisee se kafa na tha

[/color]
Logged
paani
Guest
«Reply #67 on: July 07, 2007, 05:45:58 AM »
Quote from: "Roja"
Aisa lahoo toh aaj se pehele baha na tha
Kal tak hamara zakham to itna hara na tha

Nafrat ki tokaron se Mohabbat ko todna
Ye to kisii kitab ne tumse kaha na tha

Dono ke darmiyan aana ho gayee "Roja"
Mujhko yakeen hai koyee kisee se kafa na tha

[/color]


Bhaut hi nazuk sa likh diya hai aap ne ... wah
Logged
Roja
Guest
«Reply #68 on: July 08, 2007, 07:38:08 AM »
Thanks dear Paani
Logged
monali
Guest
«Reply #69 on: July 10, 2007, 05:57:18 PM »
Bahoot achha likha aapne rojaji

Ruh ko ik aah ka hak hai
Aankh ko ik nigah ka
Ik dil maiy bhi lekar aii hoon
mujh ko bhi ik gunah ka hak hai!!
Logged
Roja
Guest
«Reply #70 on: July 13, 2007, 05:22:41 PM »
Quote from: "monali"
Bahoot achha likha aapne rojaji

Ruh ko ik aah ka hak hai
Aankh ko ik nigah ka
Ik dil maiy bhi lekar aii hoon
mujh ko bhi ik gunah ka hak hai!!


Wah wah mona... bahut khoob likha...
keep coming...
[/color]
Logged
Roja
Guest
«Reply #71 on: July 13, 2007, 05:24:12 PM »
Quote from: "gum"
Bhayut he khub likha hai ROJA



Thanks Gum ji... Keep coming
Logged
Roja
Guest
«Reply #72 on: July 13, 2007, 05:31:29 PM »
Dil se pyar yaar ka diwana ho gaya
Jis dil pe bada naz tha begana ho gaya

Maine hi utaye they is ke naz her ghadi
Ehsan mere bhool kar anjana ho gaya

Kayal main bhi aaya na hoga ye bewafa
Makhbur nazar dekh ke rindana ho gaya

Merne ka isse shauk hai toh mai bhi kya kar?
Afsos be-asar mera samajhana ho gaya

Sholon se khelne ka parinam ho bhi aur kya
Dunia ko jikr ke liye afsana ho gaya

Ye na deregi "Roja" chahe joh tu kar
Tere hi pyar ka tujhe jurmana ho gaya
[/color][/size]
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #73 on: July 13, 2007, 06:58:40 PM »
BAHUT KHOOB ROJA JI....BADE HI SAADGI SE LIKHA HAI AAPNE....EK KOSHISH HAMARE TARAF SE BI

DARD PE MERE
YAKEEN KAR NA KAR
ARZ SIRF ITNA HAI
IS RAAZ KA CHARCHA NA KAR

JIS MOHABBAT PE
TUJHE KABHI YAKEEEN THA HI NAHI
GUZARISH  SIRF ITNI HAI
USS MOHABBAT PE NAAZ NA KAR

SHIDDAT SE CHAHA KAR BI UNHE
KUCH HAASIL  NA HUA,
 IS GARD-E-SAFAR MEIN
PAR MERI MOHABBAT KO
BEWAFAI KA NAAM DE KAR
BADNAAM NA KAR

DARD PE MERE
YAKEEN KAR NA KAR
ARZ SIRF ITNA HAI
IS RAAZ KA CHARCHA NA KAR
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #74 on: July 13, 2007, 07:51:37 PM »
wow roja n khwaish...gr8 work dear.
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 05:45:12 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer