Dard Zaheer Karte Hain,.

by Jaanasheen on May 08, 2008, 07:34:11 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1384 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Aaj Ki Baat Phir Nahi Hogi,.
Ye Mulakhaat Phir Nahi Hogi,.

Aise Baadal To Phir Bhi Aaayenge,.
Aisi Barsaat Phir Nahi Hogi,.

Raat Unko Bhi Yun Hua Mehsoo,
Jaise Ye Raat Phir Nahi Hogi,.

Ek Nazar Murd Ke Dekhene Wale,.
Kya Ye Khairaat Phir Nahi Hogi,.

Shab-e-Gham Ki Sehar Nahi Hoti,.
Hogi Yo Meri Ghar Nahi Hoti,.

Zingadi Tu Hi Mukhtasar Hoja,.
Shab-e-Gham Mukhtasar Nahi Hoti,.

Raaz daaron Se Bach Ke Chalta Hoon,.
GHam Guzaaron Se Bach Ke Chalta Hoon,.

Mujhko Dhoka Diya Mere Sahaaron Ne,.
Ab Sahaaron Se Bachke Chalta Hoon,.

__________________________-Nm-



Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: May 08, 2008, 07:44:28 AM »
Shukriya Bhaijaan,.
Waise Aapke Kalaam Ki Bhi Kami Hai,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: May 08, 2008, 07:57:31 AM »
Ghum Main Bhi Hum Muskura Lete Hain,
Kuch Is Tarah Se Dard Ko Chupa Lete Hain.
Kuch Kehte Nahi Kisi Se Magar,
Akele Main Aansu Baha Lete Hain... nm

Logged
punam
Guest
«Reply #3 on: May 08, 2008, 08:44:38 AM »
wah azeem bhaiya ..nice sharing...keep posting ...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: May 08, 2008, 09:01:16 AM »
Shukriya Sis,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: May 08, 2008, 09:09:02 AM »
Aankhon ki tarhan raaz hai khulta bhi nahi woh,
Saylaab bhi ban jata hai Darya bhi nahi woh...

US shakhs k pehluu main sukoon kitna hai jab k,
Girja nahi MAndir nahi Kaaba bhi nahi woh.....

__________________________________-NM-
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #6 on: May 08, 2008, 09:19:38 AM »
Bohat khoob Azeem bro..Usual Smile

Aaj bhi hum baichan hai unko dekh ney ke liye
Aaj bhi dil rota hai un key mohabatt ke liye
Aaj mayus hoon main itni ki kya batayen hum
Rok kar bhi na ruk paya mere kadam
Logged
diya786
Guest
«Reply #7 on: May 08, 2008, 10:16:39 AM »
khaas aapke liye aapke pasand ke shayar ka ek kalam jo ki
humein bahut pasand aaya umeed hai ki aapko bhi pasand aayega.

ranjish hii sahii, dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chhoD ke jaane ke liye aa

kuchh to mere pindaar-e-mohabbat* kaa bharam rakh
tuu bhii to kabhii mujhko manaane ke liye aa

pahle se maraasim* na sahii, phir bhii kabhii to
rasm-o-rah-e-duniaa hi nibhaane ke liye aa

kis kis ko bataayenge judaai ka sabab ham
tuu mujh se Khafaa hai, to zamaane ke liye aa

ek umar se huuN lazzt-e-giryaa* se bhii mahruum
ae raahat-e-jaaN mujhko rulaane ke liye aa

ab tak dil-e-Khushfaham ko tujh se haiN ummiideN
yah aakhirii shamaeN bhii bujhaane ke liye aa

(Ahmed Faraaz)

Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #8 on: May 08, 2008, 06:50:46 PM »
Wah Azeem Bhai... Bohot Achchhe Ash'aar He, Padh Kar Maza Aagaya, Khas Kar Ye Sher To Lajwaab Laga-   Ek Nazar Mud Ke Dekhene Wale
            Kya Ye Khairaat Phir Nahi Hogi

Baqi Ash'aar Bhi Umda Hen.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #9 on: May 08, 2008, 06:54:05 PM »
Bohat khoob Azeem bro..Usual Smile

Aaj bhi hum baichan hai unko dekh ney ke liye
Aaj bhi dil rota hai un key mohabatt ke liye
Aaj mayus hoon main itni ki kya batayen hum
Rok kar bhi na ruk paya mere kadam


Bohot Khoob honeyrose ji
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #10 on: May 08, 2008, 07:09:37 PM »
khaas aapke liye aapke pasand ke shayar ka ek kalam jo ki
humein bahut pasand aaya umeed hai ki aapko bhi pasand aayega.

ranjish hii sahii, dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chhoD ke jaane ke liye aa

kuchh to mere pindaar-e-mohabbat* kaa bharam rakh
tuu bhii to kabhii mujhko manaane ke liye aa

pahle se maraasim* na sahii, phir bhii kabhii to
rasm-o-rah-e-duniaa hi nibhaane ke liye aa

kis kis ko bataayenge judaai ka sabab ham
tuu mujh se Khafaa hai, to zamaane ke liye aa

ek umar se huuN lazzt-e-giryaa* se bhii mahruum
ae raahat-e-jaaN mujhko rulaane ke liye aa

ab tak dil-e-Khushfaham ko tujh se haiN ummiideN
yah aakhirii shamaeN bhii bujhaane ke liye aa

(Ahmed Faraaz)



Kya baat he Ahmad Faraaz sa. ki.....
mene ek sher suna tha or kaafi pasand aaya tha

ranjish hii sahii, dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chhorh ke jaane ke liye aa

Pata nahi tha kiska he, ab tamam gazal padh kar achchha laga, shukriya diya ji.........
Logged
baadal102
Guest
«Reply #11 on: May 09, 2008, 03:52:17 PM »

Aise Baadal To Phir Bhi Aaayenge,.
Aisi Barsaat Phir Nahi Hogi,.




thanx for shayring bahoot khoob




Baadal
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: May 11, 2008, 10:36:15 AM »
Shukriya,.
Punam Sis,.
Diya Ji,.
Sayyeed Ji,.
Hoeny Sis,.
Badal Ji,.

And Nice One Honey Sis,.
Nice Sharing Diya Ji,.
And Nice One,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: May 11, 2008, 10:47:20 AM »
kisi ka ishq kisi ka khayal they hum bhi
gaye dino mein bahot ba-kamal the hum bhi

humare khoj mein rahti thi titliyan aksar
ki apne shaher ka husn aur jamaal they hum bhi

jameen ki goad mein sir rakh kar so gaye aakhir
tumhare hizr mein kitne nidhaal they hum bhi

hum ask ask bikharte rahe usi dhun mein
ki zindagi mein lajawaal the hum bhi......

__________________________-Nm-
Logged
nikss
Guest
«Reply #14 on: May 11, 2008, 01:35:41 PM »
""...EK DARD BHARA EHSAAS..."


JAISE K KOYI GUNAAH.....KIYE JAA RAHA HOON MEIN....
BE-MAUT MAR KE PHIR BHI JIYE JAA RAHA HOON MEIN...


MANZIL KA PATA BHI NAHI.... RAHI BHI SAATH NAHI....
US RAASTE PE PHIR BHI CHALA JAA RAHA HOON MEIN...


UNKO KHABAR NAHI HAI........MUJHE HOSH BHI NAHI...
WOH ZEHAR SHAB-O-ROZ PIYE JAA RAHA HOON MEIN...


MAANGA THA ZINDAGI MEIN, MUJHE WOH MILA NAHI...
JO MIL GAYA USI KO......LIYE JAA RAHA HOON MEIN....


HO NA SAKA WOH MERA....MUJHE WOH GILA NAHI...
DENA THA USKO PYAR..DIYE JAA RAHA HOON MEIN...


WOH MUJH SE MILNE AAYE, MILEY... AUR CHALE GAYE...
AAWAZ UNKO PHIR BHI... DIYE JAA RAHA HOON MEIN...


TAQDEER SE JO MILA HAI.. MUJHE KOYI GHAM NAHI...
IS BAAT PAR BHI SHUKUR KIYE JAA RAHA HOON MEIN..


JAISE K KOYI GUNAAH.... KIYE JAA RAHA HOON MEIN...
BE-MAUT MAR KE PHIR BHI JIYE JAA RAHA HOON MEIN..
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 07:30:39 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer