Dard-e-Dil Ki Ghazal!

by nirbhay on July 20, 2006, 03:53:39 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1985 times)
nirbhay
Guest
Marham bhi kar naih saktey, dard-e-dil bhi seh nahi  saktey
Aaye mere sanam aap humein wo zakhm de gayein hain

dil ka dard nazron mein khoj-e-sanam de gayein hain
kaise kaise meri wafaa ke wo rang de gayein hain

Aitbaar karna mere mehboob ko manzoor nahin
aaur intezar na karne ki kasam de gaye hain

sun-ne waale bhi dhika.Rein, suanane waale bhi dhika.Rein
Gunn gunane ke liye aap humein wo Ghazal de gayein hain !!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dard Bhari Ghazal by robin_abdul in Shayri-E-Dard
ghazal:Mujhse pucho ki sahi dard kahan hote hain! by khalidrawat in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ghazal---Dard-e-dil by mazHur in Ghazals
°°° Ghazal- Dil Mein Dard°°° by Zaif in Shayri-E-Dard
Hai Dard mei zindagi -ek ghazal--- Kumaar by kumaar in Ghazals
Pooja
Guest
«Reply #1 on: July 20, 2006, 03:59:22 PM »
wah kaya baat hai, bahoot khoon Neer

Aitbaar karna mere mehboob ko manzoor nahin
aaur intezar na karne ki kasam de gaye hain
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #2 on: July 20, 2006, 04:05:58 PM »
Wah kya baat Nirbhay..bahut accha likha hai.....
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #3 on: July 20, 2006, 04:07:56 PM »
Bhout Shukriya Pooja Didi..Gourav Bhai!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #4 on: July 20, 2006, 05:52:17 PM »
Very Nice Nirbhay....
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #5 on: July 20, 2006, 06:04:22 PM »
Thanks Aryaan..
Logged
ranjana
Guest
«Reply #6 on: July 20, 2006, 06:06:19 PM »
bahut khoob neer ..............
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #7 on: July 21, 2006, 03:38:45 AM »
Bohat Shukriya ~!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #8 on: July 21, 2006, 06:39:08 AM »
Dard-e-Dil se ab ho chala hai IShQ hume.....
Thokarein khayi Zindagi me toh kya.....
Ab mili hai Dard ki manzil mujhe.....

Raahar ab harr lamhe main jaise basi......
Zindagi bas Khushion ki aag me jalte jalte meri bachi......

Tha Safar woh kuch Suhana.....
Samjha humne kuch par Dil ko toh na tha hamesha Behlana.......!!!!!!!!
Logged
~princess~
Guest
«Reply #9 on: January 08, 2008, 07:45:05 PM »
Dard ko janne ka inka zara daa.va dekho
Kisi aur ko apna kar inki wafa dekho

Pesh karte hai yeh bewafai apni mehfil mein
Zara Mohobbat se inki yeh Jafaa dekho

Pyar ko jo khel banaye kaisa khuda ka banda wo
Phir bhi usko apna kahe zara inki wo adaa dekho

Sach hai ke duniya mein roop badalta hai har koi
Kehte hai"Mohobat karti ho diwano si"aisi bhi gila dekho

dikhati hu ao tumko karnama aaj insaano ka
Nazar jhuk jaati hai Dhaga dene se chehre mein haya dekho

Saza hume di hai Tanhai ki par bhugad yeh bhi rahe hai
Pak Mohobbat mein bewafaon ki aaj saza dekho


~Roshni~
Logged
Sagar Nandan
Guest
«Reply #10 on: November 22, 2008, 12:22:07 PM »
Superbbbbb.....!nd a Bayan-e-dil from me now...

Suno ek Kahani ek paagal diwane ki...
Puraane nahi Isi Zamaane Ki...
Jaan ke bhi tha anjaan ki wo uske naseeb me nahi,
Paagal to tha hi jo reh saka na bin Uske Kabhi..
Maan rha jisko abtak apne dil ki raani wo,Aur kisi pe hi yaaro marti thi marjaani wo.....
Use Khuh dekh kr hi hota tha khush wo,Isiliye to kabhi Kuch keh na sako wo..Kya tha pehle aur kya ho gaya wo....
Kisi ko pata na chala aur ekk din Duniya chor chala wo...

Ab socho jara kaun thi Marjaani aur Kaun tha Paagal wo..??
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:58:25 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.091 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer