DARD-E-MOHABBAT

by khwaish on June 28, 2007, 05:17:53 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 13
Print
Author  (Read 11230 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
DARD HAMARA HAMARE PAAS HI REHNE DO
MOHABBAT KE ANJAAM PAR SAWAL NA KARO
KUCH SAWALO KO SAWAL HI REHNE DO

SAATH NA NIBHA SAKE,KOI BAAT NAHI
CHAAHAT KA EK KHWAAB TO SAJAYA THA HUMNEIN
KHWAAB KO KHWAAB TO REHNE DO

JEE TO HUM BHI NAHI SAKTE BICHAD KE TUJHSE
ZAKHMO PE TERI NAZRON KA MARHAM TO REHNE DO

DIL KI DASTAAN NA SUNO,KOI BAAT NAHI
PAR TUMNE KABHI TO SUNA THA
YEH VEHAM TO REHNE DO

JHOOTI TASLLIYON PAR
HUM BHI NAHI JEENA  CHAAHTE "KHWAISH"
PAR KYA KARE?
UMEED KI EK LEHAR JO CHALI HAI
UMEED KI EK LEHAR TO REHNE DO

DARD HAMARA HAMARE PAAS HI REHNE DO
MOHABBAT KE ANJAAM PAR SAWAL NA KARO
KUCH SAWALO KO SAWAL HI REHNE DO
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dard Yaa Mohabbat... by Qutubuddin in Shayri-E-Dard
Dard e Mohabbat by M. Rahman in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dard e Mohabbat by sanchit in Share:Love Poetry
ISHPREET
Guest
«Reply #1 on: June 28, 2007, 05:56:04 PM »
kya baat hai khwaishji..bahoot acha likha hai aapne
khwaab ko khwaab to rehne do........beautiful
Logged
Ricky
Yoindian Shayar
******

Rau: 8
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 3 hours and 56 minutes.

Posts: 2455
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #2 on: June 29, 2007, 03:57:33 AM »
Bahot accha hai !
..
Umda !
Logged
poem143s
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 hours and 21 minutes.
Posts: 319
Member Since: Mar 2004


View Profile
«Reply #3 on: June 29, 2007, 04:19:19 AM »
Bahut achcha khawish ji
aap ki kavita pad ke meri har khawish poori ho yagi
Really nice aur haan likhte rahiye hum padte rahenge
Sameer
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #4 on: June 29, 2007, 05:18:42 AM »
Bahut hi khoob.... =D>
Nicely Expressed... Khwaish...
I Will wait for more from your side now... Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: June 29, 2007, 08:34:42 PM »
THANX A LOT...SHIKHA.POEM.RICKY.ISHPREET...AAP LOG BI KUCH LIKHIYE...THANX

DIL MEIN HAI JO DARD,WOH DARD KISE BATAYE
HASTE HUE YEH ZAKHM KISE DIKHAYE
DARD-E-MOHABBAT KE KISSE KAUN SUNAYE
MOHABBAT KI LAKEER
 NASEEB  SE MILTI HAI "KHWAISH"
PAR APNI NASEEB KA RONA KAUN SUNAYE
Logged
poem143s
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 hours and 21 minutes.
Posts: 319
Member Since: Mar 2004


View Profile
«Reply #6 on: June 30, 2007, 04:28:26 AM »
Quote from: "khwaish"
THANX A LOT...SHIKHA.POEM.RICKY.ISHPREET...AAP LOG BI KUCH LIKHIYE...THANX

DIL MEIN HAI JO DARD,WOH DARD KISE BATAYE
HASTE HUE YEH ZAKHM KISE DIKHAYE
DARD-E-MOHABBAT KE KISSE KAUN SUNAYE
MOHABBAT KI LAKEER
 NASEEB  SE MILTI HAI "KHWAISH"
PAR APNI NASEEB KA RONA KAUN SUNAYE


Tumne bhi gar kabhi dil ki baat apani kahi hoti
Zindagi tumhari youn mayush aur tanha nahi hoti
Jin raahon main bhi chalte aap hardam
Tumhari kasham !! hamari bhi manzil wahi hoti

Khawish ji bahut achcha likhte hain aap, jab bhi aap ka likha parte hain hamari har KHAWISH poori ho jaati hai
Sameer
Logged
paani
Guest
«Reply #7 on: June 30, 2007, 05:59:15 AM »
so nice khawish
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: July 02, 2007, 04:49:55 PM »
DIL KI BAAT JAANTA NAHI KOI
KEEMAT AANSUO KI PEHCAANTA NAHI KOI

MOHABBAT MEIN MILA HUA DARD BI
KHUSIYON SE BADHKAR HAI
PAR DUNIYA KE LIYE,YEH SAB FIZOOL BAATE HAI
AUR FIZOOL BAATON KO YAHAN  MAANTA NAHI KOI

JISE JO MAANGE WOH MIL JAAYE
WOH DARD KO KYA SAMJHEGA
DARD KI EHMIYAT YAHAN JAANTA NAHI KOI

HUM AAPKE LIYE JAAN BI DE DETE "KHWAISH"
PAR JAAN KI KEEMAT YAHAN JAANTA NAHI KOI

CHALO ACHA HUA MOHABBAT RAAS NA AAYI HUMEIN
KHONE KA DAR  BI JAB HOTA HAI
JAB HUM KUCH HAASIL KAR JAATE HAI
JAB PAAYA HI NAHI,TO KHOYE KYA?
TUJHE NA PAAKAR AB ROYE KYA?

TERE HAR DARD SE WAAKIF HOON MAIN
TUJHSE BICHAD KAR AAJ BI ZINDA HOON MAIN
SUNA THA WAQT ZAKHM BAR DETA HAI
PAR "KHWAISH"??? ..........
ZAKHM BAR BI JAAYE TO KYA FAYDA
AAKHIR TAK  ZINDAGI MEIN NISHAAN TO REHTA HAI
Logged
ISHPREET
Guest
«Reply #9 on: July 02, 2007, 05:03:10 PM »
=D>  =D>  =D> ...hats off to u yaar.aapki shayri ke  har ek lin me itna dard hai...bahut gehrai se likhte ho aap..simply great

"zakhm bar bi jaaye to kya faayda
aakhir tak zindagi mein nishaan to rehta hai".....superb
Logged
aryasudhanshu
Guest
«Reply #10 on: July 02, 2007, 07:16:10 PM »
Quote

DARD HAMARA HAMARE PAAS HI REHNE DO
MOHABBAT KE ANJAAM PAR SAWAL NA KARO
KUCH SAWALO KO SAWAL HI REHNE DO



Seriously, these lines are awesome [Usual Smile]
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: July 03, 2007, 02:53:31 AM »
THANX A LOT PAANIJI,ISHPREET...ARYASUDHANSHU AAP KA SWAGAT HAI YOINDIA MEIN...THANX FOR REPLYING
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: July 04, 2007, 06:30:24 PM »
CHALTE CHALTE UNHE BI
YEH BAAT KA EHSAAS HUA
KE HAMARA DOOR HO JAANA HI BEHTAR THA

SUNA HAI,USNE BI EK NAYI DUNIYA BASA LI
UNSE BICHAD KAR AAJ MUSKURANA HI BEHTAR THA

KHUD KI KHUSI KE LIYE
HAMESHA JEENA BI MAUT BARAABAR
UNKI KHUSI KE LIYE
KHUD KO GHAMO MEIN DOOBA DENA HI BEHTAR THA

KYA HUA JO AAJ PHIR AJNABI
BAN KE REH GAYE "KHWAISH"
UNSE AJNABI BAN KE REH JAANA HI BEHTAR THA

JO SAFAR MUKAAM TAK NA PAHUNCHE
US SAFAR KO BEECH RAAH PAR THAAM LENA HI BEHTAR THA

JIS RISHTE KA KOI NAAM NAHI
US RISHTE KA BENAAM REH JAANA HI BEHTAR THA
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #13 on: July 05, 2007, 07:21:46 AM »
Bohat khoob Khwahish.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: July 08, 2007, 07:02:11 AM »
PAANI JAB UNKE AANKH SE BEHTA HOGA
YAADON KA DARD UNKA DIL BI SEHTA HOGA

BAARISH KI BOONDEIN JAB UNKI PALKON KO BIGOTI HOGI
MERI YAAD MEIN UNKI BI AANKH ROTI HOGI

TANHAI KE SHEHAR KE HUM,
WAISE TO HUM BAASHINDA HAI
PAR TANHAI KA DARD WOH BI TO MEHSOOS KARTI HOGI

KARE LAKH MANA MAGAR NAAM SUNKAR MERA,
HALKI SI CHUBAN UNKE DIL MEIN BI TO HOTI HOGI

MOHABBAT KA DARD
MOHABBAT KARNE WALE JAANE "KHWAISH"
HONTO PE MUSKAN AUR AANKHON MEIN
AANSUO KE LEHRE UCHALTI HOGI
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 13
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 08:27:22 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.133 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer