DARD-E-MOHABBAT

by khwaish on June 28, 2007, 05:17:53 PM
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13
Print
Author  (Read 11312 times)
Pooja
Guest
«Reply #150 on: February 25, 2008, 03:31:30 PM »
bahoot bahoot bahoot khoob khwaish, Punam and Honey!!! sabhi ne bahoot hi acha likha hai!!
Thanks Punam apko mera likha pasand ayya!!!

Khwab ban kar toota karte hai
Khayal bun kar toota karte hai

Dil ki dil mai rah jaati hai tamnna
Zakham dil ke her baar roya karte hai

Khata nahi hai yah, hai tera pyar
Issi teri baat per, sir jhuka diya karte hai

Araam aa jayega waqat ke sath sath
Bas yahi kah kar khud ko dhoka diya karte hai

Naam her baar tera dil hai na pukara
Magar lubo ko hum bhi sil liya karte hai

Khwaishein hai kaya dil main Pooja ki, ab yah jaane bhi do
Aaina dekh kar, ajj bhi muskura diya karte hai!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dard Yaa Mohabbat... by Qutubuddin in Shayri-E-Dard
Dard e Mohabbat by M. Rahman in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dard e Mohabbat by sanchit in Share:Love Poetry
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #151 on: February 25, 2008, 08:54:14 PM »
BAHUT KHOOB POOJA...DARD SE BHARPOOR LIKHA HAI AAPNE..

APNE DARD PAR MUSKURAKAR KAHI CHAIN NA PAAOGE
YEH ZINDAGI BAHUT TEZ GUZAR JAATI HAI
AISA NA HO, AAP JAHAN PAR TEHRE THE
KAHI WAHI REH JAAOGE...

JISNE DARD DIYA HAI USSE SAB KUCH KEH DENA BHI ZAROORI HOTA HAI HAI
APNE JAZBAAT KO KAB TAK DIL MEIN APNE ROK PAAOGE...

KABHI-KABHI MAIN HAIRAAN HOTA HOON DUNIYA KI SOCH PAR
GHAM RAKH KAR APNE DIL MEIN KEHTE HAI KHUD HI ARAAM AA JAYEGA
SACH KEHTA HOON ,AISE MEIN KAHIN SUKOON NA PAAOGE....

JAANTA HOON AAEINA AAP KA WAFAA DAAR HAI
AAP KO WAHI TASVEER DIKHAYEGA JISSE
AAP DEKHNA CHAAHOGE...

MOHABAAT KI GUNJAYISH KHUD NAHI RAKHTE APNE DIL MEIN
AISE MEIN AAP BHALA KAISE JEE PAAOGE...





Logged
Pooja
Guest
«Reply #152 on: February 25, 2008, 09:05:04 PM »
bahoot khoob khwaish ji!!

Jante hai hum chain na kabhi payege
Magar galat hai ki yahi ke yahin rah jayege

Dard jisne diya, wo kaya samjhega is dard ko
Warna kyun hum din-raat yah ansoo bahaye

Kabhi kabhi koshish bhi ki hai samjhane ki
Her baar phir socha, kyun pathar se hum takraaye

Gum kaha rakhte hai ab hum apne is dil main
Shabdo ke jariye, her zakham to hai beh aayee

Aaina bhi kabhi kabhi deta hai ab to mujhko rula
Kaha tak khud se khud, aanine mai jhootha muskurate jaaye

Muhobaat ki khwaish to hamesha rahi is dil ko bahoot
Magar kab tak, is dil per zakham hum khate jaaye!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #153 on: February 25, 2008, 09:39:27 PM »
BAHUT KHOOB POOJAJI...

AANKHON MEIN APNE BHARE HAI AANU
PHIR BHI CHEHRE PE SAJI HAI MUSKAAN

PHIR KABHI NA KARNA MOHAABAT EH BANDE,
SHAYAD KHUDA KA BHI HAI AB YEHI FARMAAN

TUJHE KOI HAQ NAHI KHWAAB DEKHNE KA
NA RAKH DIL MEIN KOI BHI ARMAAN

JISSE TU CHAAHTA HAI WOH HUMSAFAR NAHI BAN SAKTA
WOH TO TERE DIL MEIN HAI PAL DO PAL KE MEHMAAN

ABHI BAHUT IMTEHAAN HAI TERE RAAH MEIN
ZARA AB JEE KAR APNE ZINDAGI MEIN KAR KUCH EHSAAN...

MOHABBAT HAR EK KO NASEEB NAHI HOTI
APNE MUKADAR KE FAISLO PAR PHIR
AAKHIR KYON ITNA HAI TU HAIRAAN....

Logged
Pooja
Guest
«Reply #154 on: February 25, 2008, 09:52:28 PM »
Bahoot hi rythem mai likhi hai yah kavita apne Khwaish ji!! Good job!!

Ankhon ke ansoo main bhi tasveer wo hi paoge
Janoge jitna bhi mujhko, utna hi ajnabi paoge

Chahre per yah muskaan meri ka raz, us din khud samjh jaoge
Karoge jab kisi se dil se payaar, aor uske sath khud hi rah bhi nahi paoge

Haq hai her khwab ka mujhko, her khwaish dil mai muchalti hai
Kitani hai bebas tadap is dil main, shayad kabhi samjh nahi paoge

Humsafar hai tanhaai yah meri, her zakham raah dikhata hai
Jhilmil ansoo ki boondein, dekhoge to seh nahi paoge

Imteehan isse jayada kaya hoga, khud he uske agge sir jhukaya hai
Ehsaan kaya koi kisi per, khud ko bas ab itna samjhaya hai
Heraan nahi ab to adat si ho gai, waise hi jiye, jaisa paaya hai
Phir bhi kahin dil mai yah sawal, kyun Rub ne mujhe yah sab dikhaya hai!!!


sorry rythem toot gai aor kahi se shuru hokar pata nahi kaya likh gai...anyways.. jo likha gaya wo hi post kar diya..
Logged
punam
Guest
«Reply #155 on: February 26, 2008, 04:33:47 AM »
thanx sab ko....
sab ek se badh ke ek likhe...
mohabbat ho jata hai..kiya nahi jata yeh suni thi...
deta hai dard itna aaj iss thread me dekh bhi rahi hun...
shayad main pooja di and kittu ji aap dono jaisa likh nahi paungi..
par kosish ki hun...mohabbat-e-dard me kuch likhne ki...

pata nahi tha dard kya aur kaisa hota hai
aaj uss dard se mulakat ho gayi..
mujhe kisi se jo ishq ho gaya...

na socha tha anjaam dono, jane kab kaise ishq ho gaya
ab beech raah me dagmaga rahe aaj aisa kuch ho gaya...

jab anjaam dene ka waqt aaya..
saamne duniya haath failake khada ho gaya

na soche the woh dimag se, dil lagane se pehle...
aaj jab soche to wo bol pade arre ye hamse kya ho gaya...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #156 on: February 26, 2008, 04:59:22 PM »
bahoot suchai se punam app , apni bhawnao ko shabdo ka roop deti hai... bahoot hi acha likha hai.. kaise kah diya apne ki app acha nahi likhati!!! hum to khumar-e-ishaq mai sab se pahle padte hi apki shayri hai...

Udaas udaas si raahein, udaas udaas hai Fiza
Soch mai yah dil, jaau ab kon si disha

Bichard gai hai raahein, juda hum ho gaye
Khush raho tum, jao tumhe to de di humne vida

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #157 on: March 02, 2008, 12:02:14 PM »
b]pata nahi tha dard kya aur kaisa hota hai
aaj uss dard se mulakat ho gayi..
mujhe kisi se jo ishq ho gaya...

na socha tha anjaam dono, jane kab kaise ishq ho gaya
ab beech raah me dagmaga rahe aaj aisa kuch ho gaya...

jab anjaam dene ka waqt aaya..
saamne duniya haath failake khada ho gaya

na soche the woh dimag se, dil lagane se pehle...
aaj jab soche to wo bol pade arre ye hamse kya ho gaya...[/b]
[/quote]

NICE ONE PUNAM...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #158 on: March 02, 2008, 12:04:14 PM »
bahoot suchai se punam app , apni bhawnao ko shabdo ka roop deti hai... bahoot hi acha likha hai.. kaise kah diya apne ki app acha nahi likhati!!! hum to khumar-e-ishaq mai sab se pahle padte hi apki shayri hai...

Udaas udaas si raahein, udaas udaas hai Fiza
Soch mai yah dil, jaau ab kon si disha

Bichard gai hai raahein, juda hum ho gaye
Khush raho tum, jao tumhe to de di humne vida



BAHUT ACHE POOJAJI...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #159 on: March 02, 2008, 12:21:55 PM »
MUSKURA TO LETA HOON
PAR AANKHON MEIN PHIR BHI NAMI HAI,
HAR APNA HAI SAATH MERE,
PAR UNKE APNEPAN MEIN BHI KUCH KAMI HAI....

LOGO KA KYA HAI??
HAR BAAT PAR APNI HI BAAT KAHENGE,
PAR "KHWAISH" JAANTA HAI,
TUJH BIN KYA YEH ZINDAGI HAI......

WAQT TO GUZARTA JAAYEGA HAR PEHAR KE SAATH,
PAR APNI SAANSEIN TO AAJ BHI APNE DIL MEIN WAHI THAMI HAI....

SACH TO YEH HAI KI MOHABBAT HAR EK KO RAAS NAI AATI,
"KHWAISH" JEE TO LEGA APNE HISSE KI ZINDAGI,
PAR KAISE BHAREGI WOH JAGAH JAHAN TERI KAMI HAI....







Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #160 on: March 02, 2008, 06:49:54 PM »
wah kaya baat hai... zindagi ki suchaio ko dard bhare lafzo mai likhna koi apse sikhe.. bahoot he sadhran shabdo mai kitna gahra likha hai apne.... Good job Khwaish ji...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #161 on: March 02, 2008, 06:59:10 PM »
BAHUT BAHUT SHUKRIYA AAPKE HAUSLE-AFSAAI KA...AAPNE ITNA KAHA..BAHUT KHUSHI HUI...PAR??
AAPKA REPLY NAHI DIKH RAHA???
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #162 on: March 02, 2008, 07:17:45 PM »
Dil mai aa jaaye baat ,To asaani se jaati nahi
Dhadkati muhobatt main bhir wo khushbu atti nahi

Kabhi kabhi soch main pard jaata hai yah dil mera
Kyun kisi ke itni pyar bhari sada, is dil tak atti nahi

Pathar ho gaye hai ahsaas, ya zajbaat he so gaye
Kyun palko tak aye ansoo, baher ab ate nahi

Waqat ke sath zindagi ka safar to chalta hi rahega
Aor yah teri kami, kabhi bhar payegi nahi
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #163 on: March 02, 2008, 07:43:51 PM »
BAHUT KHOOB POOJAJI...

JIS SHAKS SE KUCH SHIKAYAT HO
PAR WOH DIL KE KAREEB BHI HO
TO PHIR GILA KISSE KARE??

UNSE NA MILNE KI THAAN BHI LE DIL TO
PHIR AAKHIR MILA KISSE KARE??

JAB PATA HO KE DIL UNSE BICHAD KAR NA JEE PAYEGA
TO ISS DIL KE DARD KI DAWA KISSE KARE??

MERI HAR SAANS HAR AAH MEIN HAI WOH SHAAMIL
JAB WOH KHUD HI DIL HO APNA
TO APNE AAP KO RIHA KISSE KARE??

JAB TU HI HAR ZARRE MEIN HO SHAAMIL
TO TERA PATA KISSE KARE??


Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #164 on: March 02, 2008, 07:50:11 PM »
wah kaya baat hai khwaish ji.... yah lines kamal ki likhi hai apne..... bahoot khoob....

UNSE NA MILNE KI THAAN BHI LE DIL TO
PHIR AAKHIR MILA KISSE KARE??
JAB WOH KHUD HI DIL HO APNA
TO APNE AAP KO RIHA KISSE KARE??
Logged
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 04:09:01 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer