DARD-E-MOHABBAT

by khwaish on June 28, 2007, 05:17:53 PM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 ... 13
Print
Author  (Read 11308 times)
SHONA
Guest
«Reply #75 on: September 18, 2007, 06:10:52 PM »
pehle kabhi yeh baatein,
yeh tanhai na thi..
zindagi pehle kabhi mujhpe
muskurai na thi...
dil mein yuh armaan na the..
yuh madhoshi chaai na thi..
jaane kya? asar kar gayi
aapki baatein...
varna is tarah yaad kisi ki
aayi na thi....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dard Yaa Mohabbat... by Qutubuddin in Shayri-E-Dard
Dard e Mohabbat by M. Rahman in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dard e Mohabbat by sanchit in Share:Love Poetry
Talat
Guest
«Reply #76 on: September 18, 2007, 10:33:30 PM »
Very nice Khwaish and Shona !
Logged
ISHPREET
Guest
«Reply #77 on: September 19, 2007, 03:54:41 PM »
Quote from: "khwaish"
SACHI MOHABBAT HAR INSAAN KO AZMAATI HAI
KISSI SE RUT JAATI HAI
AUR KISSI PE MUSKURATI HAI
MOHABBAT LAFZ HI AISA HAI,
JO INSAAN KE AANKHON MEIN
JAANE KITNE KHWAAB BASAATI HAI
YEH KHEL HAI DILO KA "KHWAISH"
KISI KA KUCH NAHI LETI
AUR KISI KA SAB KUCH LE JAATI HAI


kya baat hai khwaish..bahut khoob...shona aap bhi bahut acha likh rahe ho...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #78 on: September 19, 2007, 08:52:36 PM »
BAHUT BAHUT SHUKRIYA TALAT..ISHPREET ...
BAHUT KHOOB SHONA...BAHUT ACHA LIKHA HAI...

DARD KI SHAI SE LIKHA GAYA MERA NASEEB THA
PAA LETA  UNKI MOHABBAT..
PAR USNE  HUMSE POOCHA KUCH WAQT..
JO HUME KUBOOL THA...

US SHAKS KE INTEZAAR MEIN
JAANE KITNE AANSU HUMNE BAHA DIYE
MAIN HI GALAT THA JO SOCHTA THA KE..
 MAIN  USKE BAHUT KAREEB THA..

KYA KARTE JO INTEZAAR MEIN SADIYA BEET GAYE..
AGAR WOH HUME PEHLE HI INKAAR KARTE
TO MAIN YUHI DOOR HO JATA...
SHAYAD MAIN SACHE PYAAR SE AMEER PAR
TAQDEER SE GAREEB THA
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #79 on: September 23, 2007, 11:25:55 AM »
ZINDAGI SE MAUT TAK KA FAASLA
EK TANHA SAFAR KE SIVA KUCH BHI NAHI
MOHABBAT KE RAAHON MEIN
JO MILA HAI HUMEIN,
EK BEBAS YAAD KE SIVA KUCH BHI NAHI
KAANTO KI DUNIYA MEIN CHAL PADE THE YEH KADAM
IS SAFAR MEIN TANHAIYO KIE SIVA KUCH BHI NAHI
"KHWAISH" AB NA KOI UMEED RAHI KE,
ANJAAME-E-MOHABBAT MEIN KYA HOGA
APNI ZINDAGI  MEIN VIRANIYON KE SIVA KUCH BHI NAHI....
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #80 on: September 30, 2007, 11:31:56 AM »
JAB WOH HI HUMEIN BHOOLA DE
TO EH KHUDA TU HI BATA
HUM KAHA TAK USSE YAAD KARE

JISNE  SAATH BEETAYE HAR PAL KO
SAATH  BHI NA RAKHNA CHAHA
TO HUM BHI KYON NA...
IN AANSUO KO
AANKHON SE AZAAD KARE

JAB USNE IS  RISHTA KO KOI NAAM NE DIYA...
EH KHUDA TU HI BATA
AB KISE FARIYAAD KARE
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #81 on: September 30, 2007, 07:43:15 PM »
ZINDAGI MEIN HAR KOI KHAAS THA
PAR MOHABBAT KE SIVA,
KUCH NA MERE PAAS THA
PAA TO LETE ZINDAGI KI
HAR EK KHUSHI LEKIN.....
HAR KHUSHI MEIN,
TERI HI KAMI KA EHSAAS THA sad5
Logged
Tosha
Guest
«Reply #82 on: September 30, 2007, 07:52:37 PM »
kafi dil se likhte hai aap ... kafi gaherai se lafz aate hai aap ki ....!!

hum unhe kya bewafa ka kerar de
 wo to mohabbt nibhane chale the
 kya kare hum kisi se wafai ki 'KHUWAISH'
 zamane ki fitrat hai ki daard de
Puzzled !
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #83 on: September 30, 2007, 08:03:14 PM »
Quote from: "Tosha"
kafi dil se likhte hai aap ... kafi gaherai se lafz aate hai aap ki ....!!

hum unhe kya bewafa ka kerar de
 wo to mohabbt nibhane chale the
 kya kare hum kisi se wafai ki 'KHUWAISH'
 zamane ki fitrat hai ki daard de
Puzzled !


BAHUT KHOOB TOSHA..

NA BHAR SAKE ZAKHM MOHABBAT KE
ZAKHM HARE KE HARE HI RAHENGE...
RO LENE TO MUJHE KAHI TANHAI MEIN "KHWAISH"
VARNA AANKHEIN AANSUO SE
BHARE KE BHARE HI RAHENGE..
Logged
Tosha
Guest
«Reply #84 on: September 30, 2007, 08:10:23 PM »
nice ....

chalka le jaam in aakho se
 tu aaj mere pyaale ki bhi pe le
 doob jaun is samundar main hai 'KHWAISH'
 meri jaan bhi tu hi jee le
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #85 on: September 30, 2007, 08:34:26 PM »
Quote from: "Tosha"
nice ....

chalka le jaam in aakho se
 tu aaj mere pyaale ki bhi pe le
 doob jaun is samundar main hai 'KHWAISH'
 meri jaan bhi tu hi jee le


KUCH AISI BAAT HAI AB KE
INKAAR BHI KIYA NAHI JAATA
MILE HAI KUCH IS KADAR ZAKHM MOHABBAT MEIN
KE KISI PE AITBAAR BHI KIYA NAHI JAATA
KEHTE HAI LOG KE MOHABBAT KA KYA HAI?
BAHUT HAAI HASEEN ZAMAANE MEIN AUR BHI
KOI SAMJHAYE INHE....
MOHABBAT EK BAAR HOTI HAI
BAAR BAAR MOHABBAT KIYA NAHI JAATA
Logged
SHONA
Guest
«Reply #86 on: October 02, 2007, 04:00:37 PM »
Thankyou so much talat.ishpreet & khwaish...
nice one khwaish & tosha

Kaise chupau main yeh jazbaat apne
dil ki aag se daaman bachaya nahi jaata
hum to aate hai is mehfil mein pal do pal ke liye
har ek se haal-e-dil sunaya nahi jaata
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #87 on: October 02, 2007, 05:38:25 PM »
MOHABBAT MEIN AISE MAUSAM KABHI KABHI AATE HAI
GUZRE WAQT KO YAAD KAR,DIN GUZAR JAATE HAI
JAAGTI AANKHON SE DEKHI HAI DUNIYA HUMNE
KHWAAB HASEEN HOTE HAI..
KHWAAB KA KYA HAI,HAR SHAB AATE HAI

IN NAZRO KE SAAMNE AAJ BHI ...
TERA CHEHRA ROOBARU HOTA HAI
NA POOCH USS PAL....
KYA BEET THI HAI DIL MEIN??
AANHON MEIN ASHQ BHAR AATE HAI....
KYA KAHE HAAL-E-DIL KISSI SE
DILKASH KAHANI SAMAJKE
LOG SAAMNE SE GUZAR JAATE HAI

"KHWAISH" SAMAJ NA PAAYA MAIN ZINDAGI BHAR
MOHABBAT KE IS KHEL KO
PAR SAMAJDAAR LOG HAI DUNIYA MEIN BAHUT SE
SAMJHAANE HUMEIN  AATE HAI...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #88 on: October 12, 2007, 08:11:07 PM »
JAB HUMNE POOCHA AAKHIR KIS BAAT KA DAR HAI?
UNHONE KAHA MOHAABAT KE ANJAAM PAR
SAWALAAT KA DAR HAI....

LAB TO KHAMOSH HAI,PAR AANKHON SE KUCH KEH NAA DOON?
DIL MEIN BEHTE HUE JAZBAAT KA DAR HAI....

AAINA BHI USNE DEKHNA CHOD DIYA
KEHTE HAI,KHUD KI PARCHAI NE AGAR KUCH SAWAAL POOCHA?
TO KYA JAWAAB DOON?AISE HALAAT KA DAR HAI....

YEH RAASTA JIS PAR HUM CHAL PADE HAI "KHWAISH"
NAA JAANE YEH HUMEIN KAHAN LE JAAYEGA?
PAR USKI YAAD DIL MEIN BASI HAI IS KADAR...
KE USKE TASAVUR SE TANHAI BHI MEHAKTI HAI MERI...
TANHA KUSH HOON MAIN,BHEED MEIN KAHI KHO NA DOON TUJHE,
 YAHA TO KHUD SE BHI MULAKAAT KA DAR HAI.....
Logged
paani
Guest
«Reply #89 on: October 13, 2007, 04:19:32 AM »
wallha khawish
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 ... 13
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 03:40:24 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer